Quote
"intizaar-e-did mein yuun aankh pathraai ki bas marte marte vo hui aalam mein rusvaai ki bas dekh kar shabnam ki haalat hans paDi nau-ras-kali do-ghaDi patton pe rah kar itnaa itraai ki bas dil ki dhaDkan baDh gai aankhon mein aansu aa gae ik zaraa si baat par itni hansi aai ki bas maut ko bhi marne vaale par taras aa hi gayaa is tarah chaDhti javaani mein qazaa aai ki bas baat kaisi ab to honTon par hai aahon kaa hujum choT khaane par bhi aisi choT par khaai ki bas tauba karne ko to kar li hazrat-e-'ghavvaas' ne yak-ba-yak gardun pe vo kaali ghaTaa chhaai ki bas"
G
Gawwas Qureshi