SHAWORDS

dil ko lungaa na dil-rubaa ke evaz — Hamid Husain Hamid

"dil ko lungaa na dil-rubaa ke evaz muddai aur muddaaa ke evaz us ke kuche mein naqsh-e-paa us ke ban gae khizr-e-rahnumaa ke evaz ye bhi armaan rah gayaa dam-e-naza kaash aataa koi qazaa ke evaz yahi iqraar thaa yahi vaada ab jafaa hoti hai vafaa ke evaz mere jiine se kyaa tumhein haasil zahr de do mujhe davaa ke evaz shauq agar aap ko hai mehndi kaa khuun mal lijiye hinaa ke evaz kyaa jahannum mein mujh ko jaanaa hai tum ko chaahun buto khudaa ke evaz tum ko chaahaa yahi qusur huaa do saraa mujh ko is khataa ke evaz 'haamid'-e-zaar kyaa kahun un se hai duaa lab pe muddaaa ke evaz"
Urdu

دل کو لوں گا نہ دل ربا کے عوض مدعی اور مدعا کے عوض اس کے کوچے میں نقش پا اس کے بن گئے خضر رہ نما کے عوض یہ بھی ارمان رہ گیا دم نزع کاش آتا کوئی قضا کے عوض یہی اقرار تھا یہی وعدہ اب جفا ہوتی ہے وفا کے عوض میرے جینے سے کیا تمہیں حاصل زہر دے دو مجھے دوا کے عوض شوق اگر آپ کو ہے مہندی کا خون مل لیجئے حنا کے عوض کیا جہنم میں مجھ کو جانا ہے تم کو چاہوں بتو خدا کے عوض تم کو چاہا یہی قصور ہوا دو سرا مجھ کو اس خطا کے عوض حامدؔ زار کیا کہوں ان سے ہے دعا لب پہ مدعا کے عوض

Hindi

दिल को लूँगा न दिल-रुबा के एवज़ मुद्दई और मुद्दआ के एवज़ उस के कूचे में नक़्श-ए-पा उस के बन गए ख़िज़्रर-ए-हनुमा के एवज़ ये भी अरमान रह गया दम-ए-नज़अ काश आता कोई क़ज़ा के एवज़ यही इक़रार था यही वा'दा अब जफ़ा होती है वफ़ा के एवज़ मेरे जीने से क्या तुम्हें हासिल ज़हर दे दो मुझे दवा के एवज़ शौक़ अगर आप को है मेहंदी का ख़ून मल लीजिए हिना के एवज़ क्या जहन्नुम में मुझ को जाना है तुम को चाहूँ बुतो ख़ुदा के एवज़ तुम को चाहा यही क़ुसूर हुआ दो सरा मुझ को इस ख़ता के एवज़ 'हामिद'-ए-ज़ार क्या कहूँ उन से है दुआ लब पे मुद्दआ के एवज़

dil ko lūñgā na dil-rubā ke evaz
Hamid Husain Hamid
Hamid Husain Hamid
Hamid Husain Hamid
poet19 quotes

More by Hamid Husain Hamid

View all →
Quote
"hazaaron lafz hain lekin har ik ki jeb khaali hai ye iflaas-e-libaas-e-shaaeri yaaro misaali hai lage hain kaan aavaazon pe lekin lafz gunge hain guzarte mausamon ki daastaan sab se niraali hai kisi taarif hi ki raushni mein aankh khulti hai bataane ki zarurat hai ye kaali raat kaali hai hamin tanhaa nahin hain justuju ki dauD mein lekin hamin se kis liye phir aaj har zarra savaali hai ye yaktaai hamaari ham se hi mansub hai 'haamid' ye apni vaza apni tarz khud ham ne nikaali hai"
Hamid Husain HamidHamid Husain Hamid
Quote
"hamaari arz-e-matlab par tiraa bezaar ho jaanaa zaraa si baat par aamaada-e-paikaar ho jaanaa kisi ke ishq mein dil kaa kabhi bimaar ho jaanaa kabhi aankhon kaa apni taalib-e-didaar ho jaanaa tiri aankhon kaa aankhon se hamaari chaar ho jaanaa ye goyaa hogaa barchhi kaa jigar se paar ho jaanaa miraa dil halqa-e-zulm-o-sitam se chhuT sake kyunkar mizha ki jumbihson kaa gardish-e-parkaar ho jaanaa kisi se bhuul kar ik baar bhi milnaa qayaamat hai kisi par aap kaa lutf-o-karam sau baar ho jaanaa taajjub kuchh nahin is par ki shauq-e-did-e-jaanaan mein miri aankhon kaa su-e-rauzan-e-divaar ho jaanaa nahin hai ye karishma husn kaa to aur phir kyaa hai tiri mahfil mein meraa dafatan bimaar ho jaanaa kamaal-e-husn ko jab hai zavaal-e-husn bhi laazim to kyaa dushvaar hai phir in gulon kaa khaar ho jaanaa zaraa dekho udhar miinaa udhar saaghar udhar khum hai ghaTaa uTThi hai kaali mai-kasho hushiyaar ho jaanaa zamaane ki nai baaton mein shaamil ye bhi hai zaahid ki rahn-e-mai tumhaaraa jubba-o-dastaar ho jaanaa sahar chaunkaae jis dam khvaab se ai qaafile vaalo vahin kas kar kamar chalne ko tum tayyaar ho jaanaa gulistaan se nikal kar ye sharaf paanaa zahe-qismat gulon kaa mah-jabinon ke gale kaa haar ho jaanaa tasavvur bhi mujhe mizhgaan-o-abru kaa qayaamat hai kabhi to tiir ban jaanaa kabhi talvaar ban jaanaa mohabbat kaa karishma thaa tasavvur ki inaayat thi hamaaraa dafatan mahv-e-khayaal-e-yaar ho jaanaa jise dekho vahi ab aarzu-mand-e-shahaadat hai ghazab hai abru-e-khamdaar kaa talvaar ho jaanaa bahut kuchh saaqi-e-bazm-e-azal ki mehrbaani thi hamaaraa jazba-e-tauhid se sarshaar ho jaanaa dil-e-pur-shauq ko taDpaa gayaa kuchh aur ai 'haamid' hayaa kaa anjuman mein maana-e-guftaar ho jaanaa"
Hamid Husain HamidHamid Husain Hamid
Quote
"ik shakhs thaa so ab vo bayaabaan-navard hai is shahr mein hamaare sivaa kaun mard hai chehra har ek madd-e-muqaabil kaa zard hai ishq-e-nabard-pesha talabgaar-e-mard hai yak-jehti-e-nigaah ko aavaaz kaun de har daftar-e-khayaal yahaan fard fard hai is justuju ki dauD mein ye bhed bhi khulaa rang-e-sukhan talaash-e-maaani ki gard hai ghurfe se lamhe lamhe ke jhaankegaa asl rang chehre pe ham sabhon ke agar aab zard hai dast-e-sukhan mein tesha-e-baatil na dijiye dushman agarche raah kaa har sang-e-sard hai is mein haraarton ki nai ruuh phunk do khvaahish ki laash ek zamaane se sard hai"
Hamid Husain HamidHamid Husain Hamid
Quote
"haqiqat mein majaazi ishq kaa yuun rang bhartaa huun khudaa kaa naam le le kar buton ki chaah kartaa huun hasin milte nahin phir bhi havas milne ki kartaa huun ye qadr-e-zindagi kartaa huun naa-qadron pe martaa huun vufur-e-zof mein kyaa khaak aah-e-sard bhartaa huun kalejaa thaam letaa huun to koi baat kartaa huun talaash-e-dil mein jab main ku-e-jaanaan se guzartaa huun to ik ik zarre ko jhuk jhuk ke laakhon sajde kartaa tuun karo bhi imtihaan meraa abhi sar nazr kartaa huun Daraao aur ko tum main kahaan marne se Dartaa huun bulaataa huun kabhi un ko talab un ko jo kartaa huun to kahte hain abhi aataa huun bantaa huun sanvartaa huun tumhin jaancho tumhin dekho tumhin socho tumhin samjho mukarte ho qasam khaa khaa ke tum yaa main mukartaa huun bharosaa kyaa sabaat-e-zindagi kaa bahr-e-hasti mein habaabon ki tarah main TuTtaa huun jab ubhartaa huun asar lutf-o-ghazab mein tere aisaa hai ki har aashiq kabhi kahtaa hai jiitaa huun kabhi kahtaa hai martaa huun nazar aataa hai ik parde mein jalva donon aalam kaa mai-e-vahdat se jaam-e-maarifat ko apne bhartaa huun tujhe paaun to sar par rakkhun aankhon par biThaaun main tasavvur mein yahi baiThaa khayaali naqsh bhartaa huun na main ne kuchh kahaa tum se na tum ne kuchh kahaa ham se yahi hasrat liye main aaj duniyaa se guzartaa huun agar baais koi marne kaa hotaa to na gham hotaa magar afsos is kaa hai ki main be-maut martaa huun nahin kuchh pursish-e-mahshar kaa gham haan un se khaTkaa hai qayaamat se nahin Dartaa tiri chaalon se Dartaa huun maaal-e-kaar par ishq-o-mohabbat mein nazar kaisi jo kuchh karnaa mujhe hotaa hai us ko kar guzartaa huun samajhtaa huun ki jiite ji huaa firdaus mein daakhil tire kuche mein chalte phirte jab aa kar Thahartaa huun liyaa sayyaad se Dar kar jo qasd uDne kaa bulbul ne kahaa dast-e-muqaddar ne Thahar main par katartaa huun maaal-e-ishq ai 'haamid' jo kuchh honaa thaa hotaa hai buton ke jabr sahtaa huun khudaa kaa shukr kartaa huun"
Hamid Husain HamidHamid Husain Hamid

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud