SHAWORDS

dil se apne khud-ba-khud kuchh puchhiye mere liye — Indira Varma

HomeIndira VarmaGhazal
"dil se apne khud-ba-khud kuchh puchhiye mere liye faisla ab kijiye yaa sochiye mere liye fikr-e-duniyaa se na jaane aap kyuun hain ashk-baar in musalsal aansuon ko rokiye mere liye main to kab se muntazir huun aap ke ehsaan ki dard kaa aahon se saudaa kijiye mere liye aap kaa lahja shahad jaisaa tarannum-khez hai khaamushi ab toDiye aur boliye mere liye aap ko sab log kahte hain masihaa ai sanam zindagi mujh ko bhi de kar dekhiye mere liye"
Urdu

دل سے اپنے خودبخود کچھ پوچھئے میرے لیے فیصلہ اب کیجئے یا سوچئے میرے لیے فکر دنیا سے نہ جانے آپ کیوں ہیں اشک بار ان مسلسل آنسوؤں کو روکئے میرے لیے میں تو کب سے منتظر ہوں آپ کے احسان کی درد کا آہوں سے سودا کیجئے میرے لیے آپ کا لہجہ شہد جیسا ترنم خیز ہے خامشی اب توڑیئے اور بولئے میرے لیے آپ کو سب لوگ کہتے ہیں مسیحا اے صنم زندگی مجھ کو بھی دے کر دیکھیے میرے لیے

Hindi

दिल से अपने ख़ुद-ब-ख़ुद कुछ पूछिए मेरे लिए फ़ैसला अब कीजिए या सोचिए मेरे लिए फ़िक्र-ए-दुनिया से न जाने आप क्यूँ हैं अश्क-बार इन मुसलसल आँसुओं को रोकिए मेरे लिए मैं तो कब से मुंतज़िर हूँ आप के एहसान की दर्द का आहों से सौदा कीजिए मेरे लिए आप का लहजा शहद जैसा तरन्नुम-ख़ेज़ है ख़ामुशी अब तोड़िए और बोलिए मेरे लिए आप को सब लोग कहते हैं मसीहा ऐ सनम ज़िंदगी मुझ को भी दे कर देखिए मेरे लिए

dil se apne ḳhud-ba-ḳhud kuchh pūchhiye mere liye
Indira Varma
Indira Varma
Indira Varma
poet43 quotes

More by Indira Varma

View all →
Quote
"kabhi muD ke phir isi raah par na to aae tum na to aae ham kabhi faaslon ko sameT kar na to aae tum na to aae ham jo tumhein hai apni anaa pasand to mujh bhi shart kaa paas hai ye zidon ke silsile toD kar na to aae tum na to aae ham unhin chaahaton mein bandhe hue abhi tum bhi ho abhi ham bhi hain hai kashish dilon mein bahut magar na to aae tum na to aae ham shab-e-vasl bhi shab-e-hijr hai shab-e-hijr ab to hai mustaqil yahi sochne mein hui sahar na to aae tum na to aae ham vo jharoke pardon mein band hain vo tamaam galiyaan udaas hain kabhi khvaab mein sar-e-rahguzar na to aae tum na to aae ham usi shahr ki usi raah par the hamaare ghar bhi qarib-tar yunhi ghumte rahe 'umr bhar na to aae tum na to aae ham kabhi ittifaaq se mil gae kisi shahr ke kisi moD par to ye kah uThegi nazar nazar kyuun na aae tum kyuun na aae ham"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"dil ke bechain jaziron mein utar jaaegaa dard aahon ke muqaddar kaa pata laaegaa mere bichhDe hue lamhaat sajaa kar rakhnaa vaqt lafzon mein ghazal ban ke Thahar jaaegaa us ki har baat jafaa-pesha hui hai aksar zakhm kaa khauf kabhi us ko bhi dahlaaegaa vaqt khaamosh hai TuuTe hue rishton ki tarah vo bhalaa kaise mire dil ki khabar paaegaa shaam-e-gham aaj bhi guzri hai hasin khvaabon mein gham-e-jaanaan to mohabbat mein sitam Dhaaegaa dil miraa aaj jafaaon pe bahut naazaan hai mere honTon pe tabassum hi nazar aaegaa us ke mizraab se jab raag baneinge dipak megh chupke se mire dil pe baras jaaegaa"
Indira VarmaIndira Varma
Quote
"tire khayaal kaa charchaa tire khayaal ki baat shab-e-firaaq mein paiham rahi visaal ki baat tum apni chaaragari ko na phir karo rusvaa hamaare haal pe chhoDo hamaare haal ki baat kamaan si abru kaa aalam ajiib hai dekho falak ke chaand se behtar hai us hilaal ki baat yahi fasaana rahaa hai junun ke sahraa mein kabhi firaaq ke qisse kabhi visaal ki baat bahaar aai to khul kar kahaa hai phulon ne ye kis ne chheD di gulshan mein phir jamaal ki baat tu apne aap mein tanhaa hai meri nazron mein kahaan se DhunD ke laaun tire misaal ki baat binaa talab ke ataa kar rahaa hai vo mujh ko labon pe mere na aae kabhi savaal ki baat"
Indira VarmaIndira Varma

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb