"aavaargaan-e-ishq ko is ki khabar kahaan hoti hai un ko shaam kahaan aur sahar kahaan aaya abhi hai ashkon mein khun-e-jigar kahaan puuri hui muraad tiri chashm-e-tar kahaan kaaba kahaan hai dair kahaan ye khabar kahaan le jaae mujh ko dekhiye ab raahbar kahaan anjaam-e-ishq par hai hamaari nazar kahaan laale paDeinge jaan ke ye thi khabar kahaan sajde ki jaa hain dair-o-haram aastaan-e-yaar ab itnaa dekhnaa hai ki jhuktaa hai sar kahaan aaegi lauT kar shab-e-ishrat na phir kabhi ye lutf raat-bhar kaa hai vaqt-e-sahar kahaan saaqi tahi na jaam de behosh main nahin piine ko main ne pi hai magar is qadar kahaan hairat se dekhtaa huun haram ko main baar baar laai tiri talaash mujhe khinch kar kahaan kaahe ko aap aae the rindon mein shaikh ji ab be-piye janaab yahaan hai mafar kahaan ai gham-nasib dil tujhe taskin kyaa main duun ye raat hai firaaq ki is ki sahar kahaan khaana-kharaab ho gae ulfat mein jin ki ham ab puchhte vahi hain tumhaaraa hai ghar kahaan bahlaae tujh ko kaun mire be-qaraar dil rahtaa huun apne hosh mein do do pahar kahaan paas-e-adab se tum se kahun kyaa main ai kalim behosh aise hote hain ahl-e-nazar kahaan main to har ek shart mohabbat ki maan luun qaaem raheinge aap kisi baat par kahaan kahiye vo vaqt kyaa huaa Dhalne lagi hai dhuup ab vo shabaab-o-husn ki hai dopahar kahaan vaaiz hai do ghaDi kaa faqat shaghl-e-mai-kashi milti hai mujh ko piine ko aaThon pahar kahaan dil bhi hai zad pe aur jigar bhi hai saamne paDte hain aa ke dekhiye tir-e-nazar kahaan baaqi nigaah-e-yaar ne rakkhaa hai kyaa yahaan dhundle se kuchh nishaan hain qalb-o-jigar kahaan rukhsat shabaab kyaa huaa aandhi utar gai vo josh vo kharosh vo ab shor-o-shar kahaan soz-e-darun kaa haal main kaise bayaan karun mere bajaa havaas hain ai chaaraagar kahaan taqdir ke sivaa ise sayyaad kyaa kahein kholi kahaan thi aankh rahe umr-bhar kahaan muddat hui hai tuur pe chhaai hai khaamushi jalve vo ab kahaan hain vo ahl-e-nazar kahaan ye dair ye haram hai ye hai aastaan-e-yaar ai dil hai kyaa salaah jhukaaun main sar kahaan din mein hai dilkashi na maza koi raat mein 'ishrat' vo ab shabaab ke shaam-o-sahar kahaan"
din huaa khatm vaqt-e-shaam aaya — Ishrat Safipuri
"din huaa khatm vaqt-e-shaam aaya hijr mein maut kaa payaam aaya har ghaDi lab pe un kaa naam aaya bekasi mein yahi to kaam aaya hai mohabbat mein raazdaari shart lab tak un kaa kabhi na naam aaya shab ko vaada hai un ke aane kaa kis musibat se vaqt-e-shaam aaya gham nahin dil jo mil gayaa un se na sahi mere un ke kaam aaya sunne vaalaa bayaan hai vaaiz kaa main abhi pi ke ek jaam aaya kyaa mohabbat mein ghair kaa shikva dil jo apnaa thaa kab vo kaam aaya vasl kaa zikr sunte hi bole phir zabaan par vahi kalaam aaya khum ke khum ghair kar gae khaali mere hisse mein ek jaam aaya harf-e-matlab na thaa kahin marqum khat bhi un kaa baraae naam aaya khuub piite pilaate ai zaahid zohd-o-taqvaa bhi koi kaam aaya ek haalat se hijr mein guzri farq koi na subh-o-shaam aaya kis bayaabaan mein laai hai vahshat ai junun kaun ye maqaam aaya ab ye aalam hai naa-tavaani kaa lab pe naala bhi naa-tamaam aaya be-nishaan ho gai miri turbat is tarah kaun khush-khiraam aaya ibtidaa thi vo ishq-o-ulfat ki dil saa hamdard jis mein kaam aaya sharh-e-gham kar sakaa na mahshar mein sab ke aakhir mein meraa naam aaya chheD thi ye bhi aap ke khat mein ghair kaa jo likhaa salaam aaya rahne deinge na but haram mein mujhe dair se aaj phir payaam aaya dil se ummid thi hamein kyaa kyaa vo bhi 'ishrat' unhin ke kaam aaya"
دن ہوا ختم وقت شام آیا ہجر میں موت کا پیام آیا ہر گھڑی لب پہ ان کا نام آیا بیکسی میں یہی تو کام آیا ہے محبت میں رازداری شرط لب تک ان کا کبھی نہ نام آیا شب کو وعدہ ہے ان کے آنے کا کس مصیبت سے وقت شام آیا غم نہیں دل جو مل گیا ان سے نہ سہی میرے ان کے کام آیا سننے والا بیاں ہے واعظ کا میں ابھی پی کے ایک جام آیا کیا محبت میں غیر کا شکوہ دل جو اپنا تھا کب وہ کام آیا وصل کا ذکر سنتے ہی بولے پھر زباں پر وہی کلام آیا خم کے خم غیر کر گئے خالی میرے حصہ میں ایک جام آیا حرف مطلب نہ تھا کہیں مرقوم خط بھی ان کا برائے نام آیا خوب پیتے پلاتے اے زاہد زہد و تقویٰ بھی کوئی کام آیا ایک حالت سے ہجر میں گزری فرق کوئی نہ صبح و شام آیا کس بیاباں میں لائی ہے وحشت اے جنوں کون یہ مقام آیا اب یہ عالم ہے ناتوانی کا لب پہ نالہ بھی ناتمام آیا بے نشاں ہو گئی مری تربت اس طرح کون خوش خرام آیا ابتدا تھی وہ عشق و الفت کی دل سا ہمدرد جس میں کام آیا شرح غم کر سکا نہ محشر میں سب کے آخر میں میرا نام آیا چھیڑ تھی یہ بھی آپ کے خط میں غیر کا جو لکھا سلام آیا رہنے دیں گے نہ بت حرم میں مجھے دیر سے آج پھر پیام آیا دل سے امید تھی ہمیں کیا کیا وہ بھی عشرتؔ انہیں کے کام آیا
दिन हुआ ख़त्म वक़्त-ए-शाम आया हिज्र में मौत का पयाम आया हर घड़ी लब पे उन का नाम आया बेकसी में यही तो काम आया है मोहब्बत में राज़दारी शर्त लब तक उन का कभी न नाम आया शब को वा'दा है उन के आने का किस मुसीबत से वक़्त-ए-शाम आया ग़म नहीं दिल जो मिल गया उन से न सही मेरे उन के काम आया सुनने वाला बयाँ है वाइज़ का मैं अभी पी के एक जाम आया क्या मोहब्बत में ग़ैर का शिकवा दिल जो अपना था कब वो काम आया वस्ल का ज़िक्र सुनते ही बोले फिर ज़बाँ पर वही कलाम आया ख़ुम के ख़ुम ग़ैर कर गए ख़ाली मेरे हिस्से में एक जाम आया हर्फ़-ए-मतलब न था कहीं मर्क़ूम ख़त भी उन का बराए नाम आया ख़ूब पीते पिलाते ऐ ज़ाहिद ज़ोहद-ओ-तक़्वा भी कोई काम आया एक हालत से हिज्र में गुज़री फ़र्क़ कोई न सुब्ह-ओ-शाम आया किस बयाबाँ में लाई है वहशत ऐ जुनूँ कौन ये मक़ाम आया अब ये आलम है ना-तवानी का लब पे नाला भी ना-तमाम आया बे-निशाँ हो गई मिरी तुर्बत इस तरह कौन ख़ुश-ख़िराम आया इब्तिदा थी वो इश्क़-ओ-उल्फ़त की दिल सा हमदर्द जिस में काम आया शरह-ए-ग़म कर सका न महशर में सब के आख़िर में मेरा नाम आया छेड़ थी ये भी आप के ख़त में ग़ैर का जो लिखा सलाम आया रहने देंगे न बुत हरम में मुझे दैर से आज फिर पयाम आया दिल से उम्मीद थी हमें क्या क्या वो भी 'इशरत' उन्हीं के काम आया
More by Ishrat Safipuri
View all →"khatm hoti hai kahaan gardish-e-ayyaam abhi zulm sahnaa hain bahut se dil-e-naakaam abhi naa-mukammal hai mohabbat mein har ik kaam abhi DhunDhtaa hai dil-e-mahjur tu anjaam abhi bul-havas ishq saraasar hai tiraa khaam abhi dil mein baaqi hai tire khvaahish-e-aaraam abhi ham-safiraan-e-chaman rahnaa khabar-daar zaraa aaya gulshan mein hai sayyaad liye daam abhi khul gai aankh miri khvaab se kyaa zulm huaa meri aaghosh mein thaa koi dil-aaraam abhi ek do jaam se seri nahin hoti saaqi chaahte piinaa hain ji-bhar ke mai-aashaam abhi ye sazaa us ki hai bad-khu se mohabbat kyon ki jhiDkiyaan kaisi vo deinge mujhe dushnaam abhi mujh ko rahte hue kaabe mein zamaana guzraa dil mein baaqi hai mire ulfat-e-asnaam abhi dekhiye hoti hai tai ishq ki manzil kaise sakht dushvaar hai is raah mein har gaam abhi jurm aisaa hi kiyaa hai ki mohabbat ki hai dekhiye lagte hain kyaa kyaa nae ilzaam abhi kaun saa zikr thaa kyaa baat thi main bhi to sunun kis gharaz se liyaa jaataa thaa miraa naam abhi de diyaa dil unhein ab aage jo taqdir dikhaae kaun jhagDe mein paDe soch ke anjaam abhi uTh paDaa raat se kambakht sitam Dhaane ko ai moazzin hai azaan kaa kahaan hangaam abhi ab to din khatm huaa hai dil-e-betaab sanbhal vaqt aane kaa hai ye kaun sar-e-shaam abhi itni himmat to ho koi ho pilaane vaalaa vo balaa-nosh huun pi jaaun main sau jaam abhi vo bhi din duur nahin hain jo salaamat aghyaar gaaliyaan deinge vo le le ke miraa naam abhi chaahte vo hain ki izhaar ta'alluq kaa na ho khat bhi aaya hai kabhi un kaa to gumnaam abhi der se piite hain aghyaar baraabar saaqi saamne mere nahin aaya hai ik jaam abhi ik nazar paDte hi jaate rahe sab hosh-o-havaas jalva-afroz thaa ye kaun lab-e-baam abhi chain se but mujhe kaabe mein na rahne deinge dair se roz chale aate hain paighaam abhi kaargar vasl ki tadbir na hogi koi phir bhi karnaa hai mujhe koshish-e-naakaam abhi dekhiye jhuktaa hai dil dair-o-haram mein kis jaa hai mire pesh-e-nazar kufr abhi islaam abhi laa sake taab na the tuur pe jis ki muusaa jalva dekhaa hai vahi main ne lab-e-baam abhi dil-e-gum-gashta kaa kuchh zikr na karnaa hamdam hasraton mein miri paD jaaegaa kohraam abhi hashr ke shor se ji-bhar ke na sone paae mil chalaa thaa hamein turbat mein kuchh aaraam abhi jald se jald ilaahi shab-e-vaada aae chaahtaa dil hai ye din hi se ki ho shaam abhi kuchh bhi 'ishrat' nahin anjaam-e-mohabbat ki khabar kaTte hain aah-o-fughaan mein sahar-o-shaam abhi"
"khafaa sayyaad barham baaghbaan maalum hotaa hai bahut jald ab to chhuTte gulistaan maalum hotaa hai sharik-e-ranj-o-gham dard-e-nihaan maalum hotaa hai mohabbat mein yahi raahat-rasaan maalum hotaa hai koi mehr-o-vafaa kaa naam tak bhi ab nahin letaa ajab badlaa huaa rang-e-jahaan maalum hotaa hai maze mein umr kaTti hai koi shar hai na fitna hai hamein to mai-kada daar-ul-amaan maalum hotaa hai tamanna hasrat-o-armaan jaise ho gae rukhsat dil-e-naakaam ik viraan makaan maalum hotaa hai kaleja khinch ke aa jaaegaa ik din dekhnaa baahar yahi anjaam-e-fariyaad-o-fughaan maalum hotaa hai samajh mein kuchh nahin aataa hai kyaa mafhum hai is kaa muamma ek qaasid kaa bayaan maalum hotaa hai muhayyaa kaise kaise aish ke ishrat ke saamaan hain ye mai-khaana to ab jannat-nishaan maalum hotaa hai kahaan kaa vaasta rasm-e-mohabbat dosti kaisi hamaaraa zikr tak un ko giraan maalum hotaa hai tumhaari hazrat-e-vaaiz dil-aazaari na jaaegi ye zohd-o-ittiqaa sab raaegaan maalum hotaa hai asar ulTaa hi hotaa hai har ik tadbir-o-darmaan kaa har ik zarra yahaan izaa-rasaan maalum hotaa hai qarina to bataataa hai yahi hai kucha-e-qaatil har ik zarra yahaan izaa-rasaan maalum hotaa hai mohabbat mein hazaaron marhale dushvaar jhele hain hamein ik khel jaur-e-aasmaan maalum hotaa hai hui hai kyaa inaayat barq ki mere nasheman par chaman se aaj kuchh uThtaa dhuaan maalum hotaa hai kabhi bhule se ab dil mein tasavvur tak nahin aataa khayaal un kaa bhi mujh se bad-gumaan maalum hotaa hai asiri mein chaman ki yaad se taskin hoti hai tasavvur mein qafas bhi gulsitaan maalum hotaa hai sahe ranj-o-alam itne tabiat ho gai khugar hamein ab gham nishaat-e-jaavedaan maalum hotaa hai pataa to aur kuchh miltaa nahin hai dil kaa pahlu mein magar haan ek dhundlaa saa nishaan maalum hotaa hai khayaal-e-khaam hai ai dil natija kuchh na niklegaa visaal-e-yaar ik vahm-o-gumaan maalum hotaa hai khudaa hi laaj rakkhe aabru rah jaae ulfat mein bahut hi sakht ham ko imtihaan maalum hotaa hai gham-e-jaanaan ne aa kar dil pe qabza kar liyaa apnaa bahut hi be-takalluf mehmaan maalum hotaa hai khudaa jaane javaab-e-khat mein kyaa likh kar ke aaya hai ba-zaahir naama-bar to shaadmaan maalum hotaa hai tariq-e-ishq mein sab diqqatein dil ki badaulat hain yahi is raah mein sang-e-giraan maalum hotaa hai ye sabr-o-zabt ye himmat dil-e-mahjur kyaa kahnaa musibat mein bhi har dam shaadmaan maalum hotaa hai bharosaa kis pe ho 'ishrat' shikaayat ham karein kis ki hamein dil bhi sharik-e-dushmanaan maalum hotaa hai"
"din huaa khatm vaqt-e-shaam aaya hijr mein maut kaa payaam aaya har ghaDi lab pe un kaa naam aaya bekasi mein yahi to kaam aaya hai mohabbat mein raazdaari shart lab tak un kaa kabhi na naam aaya shab ko vaada hai un ke aane kaa kis musibat se vaqt-e-shaam aaya gham nahin dil jo mil gayaa un se na sahi mere un ke kaam aaya sunne vaalaa bayaan hai vaaiz kaa main abhi pi ke ek jaam aaya kyaa mohabbat mein ghair kaa shikva dil jo apnaa thaa kab vo kaam aaya khum ke khum ghair kar gae khaali mere hisse mein ek jaam aaya harf-e-matlab na thaa kahin marqum khat bhi un kaa baraae-naam aaya khuub piite pilaate ai zaahid zohd-o-taqvaa bhi koi kaam aaya ek haalat se hijr mein guzri farq koi na subh-o-shaam aaya kis bayaabaan mein laai hai vahshat ai junun kaun ye maqaam aaya ab ye aalam hai naa-tavaani kaa lab pe naala bhi naa-tamaam aaya be-nishaan ho gai miri turbat is taraf kaun khush-khiraam aaya ibtidaa thi vo ishq-o-ulfat ki dil saa hamdard jis mein kaam aaya sharh-e-gham kar sakaa na mahshar mein sab ke aakhir mein meraa naam aaya chheD thi ye bhi aap ke khat mein ghair kaa jo likhaa salaam aaya rahne deinge na but haram mein mujhe dair se aaj phir payaam aaya dil se ummid thi hamein kyaa kyaa vo bhi 'ishrat' unhin ke kaam aaya"
"mukhtasar ye hai haqiqat ishq ke aazaar ki umr-bhar timaar-daari ki dil-e-bimaar ki chain lene de dil-e-muztar kisi dam bahr-e-shaghl tu ne o kam-bakht ab to zindagi dushvaar ki hijr ki shab sochtaa huun main kahaan huun kaun huun dekhtaa huun ghaur se surat dar-o-divaar ki ab to ji ghabraa gayaa hur-o-jinaan ke zikr se hazrat-e-vaaiz bhalaa had hai koi tumaar ki aah-o-zaari ki kabhi akhtar-shumaari ki kabhi kis musibat se kaTi hai raat hijr-e-yaar ki khuub soche hazrat-e-vaaiz jo chupke pi gae laaj rakh li aap ne jo jubba-o-dastaar ki gham nahin kuchh bah gayaa aankhon se gar khun-e-jigar ho gai puuri khushi to dida-e-khun-baar ki aaj kyaa samjhaa hai saaqi ne jo mai detaa nahin main ne tauba is se pahle bhi to laakhon baar ki ai asiraan-e-qafas kyaa aaeinge aise bhi dil phir kabhi dekheinge surat ham gul-o-gulzaar ki ab to vo har baat par kar dete hain fauran nahin paD gai hai aisi kuchh aadat unhein inkaar ki aaj kuchh barham the vo bhi aur ham bhi the bhare baaton hi baaton mein naubat aa gai takraar ki de chuki jab nazaa ki haalat mein goyaai javaab puchhne baiThe hain khvaahish aah ab bimaar ki har qadam par aablon se ik nai taklif hai kis tarah tai hogi manzil vaadi-e-pur-khaar ki ho saki 'ishrat' na koshish aah koi kaamyaab har ghaDi karte rahe tadbir vasl-e-yaar ki"
"rafta-rafta gham se dil ko rabt paidaa ho gayaa sahte sahte sakhtiyaan patthar kalejaa ho gayaa ek hi hichki mein saaraa khatm qissa ho gayaa aaj bimaar-e-mohabbat kaa mudaavaa ho gayaa ghair ke mazkur par takraar-o-hujjat baDh gai baaton hi baaton mein un se aaj jhagDaa ho gayaa hijr ki ye raat yaa-rab kis tarah hogi basar shaam hi se ghar mein mere hashr barpaa ho gayaa kaam sidhe-pan se ulfat mein koi chaltaa nahin aa gae jab ham kaji par charkh sidhaa ho gayaa dasht thaa sunsaan bilkul qais ke marne ke baad dam se vahshi ke tire aabaad sahraa ho gayaa ho gae mujh se mukhaatab haal-e-dil sunte rahe meri surat par unhein dushman kaa dhokaa ho gayaa ye shab-e-hijraan ki taariki kaa hai ab tak asar roz-e-raushan mein mire ghar mein andheraa ho gayaa chain tujh ko bhi na haasil ho kabhi kambakht dil teri betaabi se main ulfat mein rusvaa ho gayaa ye haqiqat hai use haasil hui mearaaj-e-ishq yaar ke naqsh-e-qadam par jis kaa sajda ho gayaa ishq ke aazaar paiham main ne jhele is qadar ek ibrat kaa muraqqaa main saraapaa ho gayaa hamdamo kaise bataaein lazzat-e-zakhm-e-darun ban gayaa naasur vo jo zakhm achchhaa ho gayaa hijr ki taarik shab us par balaaon kaa hujum kyaa bataaein raat ko is ghar mein kyaa kyaa ho gayaa un ki paDnaa thi nazar pahlu se dil jaataa rahaa dam-zadan mein saaneha ye ruh-farsaa ho gayaa aa paDi hai is tarah ki ham-nashin uftaad-e-ishq zindagi kaa zikr kyaa dushvaar marnaa ho gayaa gham ghalat karte hain 'ishrat' is tarah se hijr mein ro liye kuchh der dil kaa bojh halkaa ho gayaa"
More on Maa
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"