SHAWORDS

din ko dariyaa paar karungaa raat samundar paar — Dilawar Ali Aazar

"din ko dariyaa paar karungaa raat samundar paar tujh se milne aaungaa main saat-samundar paar jab tak saaya saath hai mere haar na maanungaa suraj mujh ko de saktaa hai maat samundar paar jaane kaise girti hain bundein tamsilon par jaane kaise hoti hai barsaat samundar paar dekho to kashkol-ba-kaf hain sab ke sab mallaah baanT rahaa hai kyaa koi khairaat samundar paar main TuuTi hui kashti se bas dekhtaa rahtaa huun mujh ko bulaate rahte hain vo haat samundar paar jiine ki ummid pe naav duur hai saahil se maut lagaa kar baiThi hogi ghaat samundar paar qatl-o-ghaarat dekh ke 'aazar' lauT aayaa thaa main shaayad badal gae hon ab haalaat samundar paar"
Urdu

دن کو دریا پار کروں گا رات سمندر پار تجھ سے ملنے آؤں گا میں سات سمندر پار جب تک سایہ ساتھ ہے میرے ہار نہ مانوں گا سورج مجھ کو دے سکتا ہے مات سمندر پار جانے کیسے گرتی ہیں بوندیں تمثیلوں پر جانے کیسے ہوتی ہے برسات سمندر پار دیکھو تو کشکول بکف ہیں سب کے سب ملاح بانٹ رہا ہے کیا کوئی خیرات سمندر پار میں ٹوٹی ہوئی کشتی سے بس دیکھتا رہتا ہوں مجھ کو بلاتے رہتے ہیں وہ ہات سمندر پار جینے کی امید پہ ناؤ دور ہے ساحل سے موت لگا کر بیٹھی ہوگی گھات سمندر پار قتل و غارت دیکھ کے آزرؔ لوٹ آیا تھا میں شاید بدل گئے ہوں اب حالات سمندر پار

Hindi

दिन को दरिया पार करूँगा रात समुंदर पार तुझ से मिलने आऊँगा मैं सात-समुंदर पार जब तक साया साथ है मेरे हार न मानूँगा सूरज मुझ को दे सकता है मात समुंदर पार जाने कैसे गिरती हैं बूँदें तम्सीलों पर जाने कैसे होती है बरसात समुंदर पार देखो तो कश्कोल-ब-कफ़ हैं सब के सब मल्लाह बाँट रहा है क्या कोई ख़ैरात समुंदर पार मैं टूटी हुई कश्ती से बस देखता रहता हूँ मुझ को बुलाते रहते हैं वो हात समुंदर पार जीने की उम्मीद पे नाव दूर है साहिल से मौत लगा कर बैठी होगी घात समुंदर पार क़त्ल-ओ-ग़ारत देख के 'आज़र' लौट आया था मैं शायद बदल गए हों अब हालात समुंदर पार

din ko dariyā paar karūñgā raat samundar paar
Dilawar Ali Aazar
Dilawar Ali Aazar
Dilawar Ali Aazar
poet136 quotes

More by Dilawar Ali Aazar

View all →
Quote
"'ajab sukhan hai asar kaa pataa nahin chaltaa ki ismein zer-o-zabar kaa pataa nahin chaltaa na jaane kab miri vahshat charaagh-paa ho jaae mujh aise sokhtaa-sar kaa pataa nahin chaltaa bhaTak rahaa huun main kab se khudaa ki basti mein dabiz dhund hai ghar kaa pataa nahin chaltaa kisi ko 'ilm hai apni ik-ek saa'at kaa kisi ko shaam-o-sahar kaa pataa nahin chaltaa zaraa 'amiq nazar Daaliye kharaabe par ki aisi khaak mein zar kaa pataa nahin chaltaa nikaale kaun se dasht-o-daman se raahi ko guzar kaa raahguzar kaa pataa nahin chaltaa khalaa mein qaid nahin koi vaqt par 'aazar' khalaa mein shaam-o-sahar kaa pataa nahin chaltaa"
Dilawar Ali AazarDilawar Ali Aazar
Quote
"manzar se udhar khvaab ki paspaai se aage main dekh rahaa huun had-e-binaai se aage ye 'qais' ki masnad hai so zebaa hai usi ko hai ishq saraasar miri daanaai se aage shaayad mire ajdaad ko maalum nahin thaa ik baagh hai is dasht ki raanaai se aage sab dekh rahi thi pas-e-divaar thaa jo kuchh thi chashm-e-tamaashaai tamaashaai se aage ham qaafiya-paimaai ke chakkar mein paDe hain hai sinf-e-ghazal qaafiya-paimaai se aage ik din jo yunhi parda-e-aflaak uThaayaa barpaa thaa tamaashaa koi tanhaai se aage mujh kaaghzi kashti pe nazar kijiye 'aazar' baDhti hai jo lahron ki tavaanaai se aage"
Dilawar Ali AazarDilawar Ali Aazar
Quote
"main TuuT jaataa huun jab hijr mujh ko toDtaa hai tiraa khayaal mujhe is qadar jhinjhoDtaa hai mazid 'ishq pe mat sochiye ki ye khud-sar dil-o-dimaagh ko naasur kar ke chhoDtaa hai vo shah-savaar azal se huun muntazir jiskaa na jaane kab miri jaanib mahaar moDtaa hai usi ke khuun ke chhinTon se hai sahar raushan jo shab ke surmai patthar pe sar ko phoDtaa hai vo kaun hai jo lagaataa hai girhein lamhon ki vo kaun hai jo zamaanon mein vaqt joDtaa hai usi ki shaa'iri karti hai fath qaari ko jo lafz-lafz pe dil kaa lahu nichoDtaa hai main qahqaha jo lagaataa huun hijr mein 'aazar' to qahqahe mein udaasi kaa zahr dauDtaa hai"
Dilawar Ali AazarDilawar Ali Aazar
Quote
"rokaa hai mujh ko dil ne ki rasta bhaTak na jaaun main us ki justuju mein bahut duur tak na jaaun vaqfa bhi laazmi hai mohabbat ki fasl mein kartaa huun us ko yaad tasalsul se thak na jaaun maanaa ki aaina huun par ai husn-e-be-misaal aise na mujh ko dekh kahin main chaTak na jaaun kahti hai mujh se 'ishq ki paimaan-rasidgi jis-jis taraf bhi ho mujhe duniyaa kaa shak na jaaun tufaan-e-harf mujh se yahi chaahtaa hai kyaa uljhaa rahun khayaal mein tahrir tak na jaaun khilnaa hai 'aazar' ab mujhe lekin ye Dar bhi hai teri pahunch se duur ki Tahni pe pak na jaaun"
Dilawar Ali AazarDilawar Ali Aazar
Quote
"raaegaan jaate hue din ki pareshaani mein Dubtaa dekhiye suraj ko ghane paani mein rang poron se mire khuun mein utar aayaa hai phuul ko haath lagaa baiThaa huun naa-daani mein 'ishq kis-kis ne hijaabon mein chhupaa dekhaa hai husn kis-kis ko nazar aataa hai 'uryaani mein varna is khvaab ko tasvir kiyaa jaa saktaa chaand kaa 'aks Thahrtaa hi nahin paani mein is liye sukhaa huaa peD nahin kaTne diyaa kaam aaegaa parindon ki nigahbaani mein kis se maa'lum karun mujh pe karam hai ki 'azaab main jo masruf hi rahtaa huun ghazal-khvaani mein dil pe har lahza nazar rakhnaa paDegi 'aazar' yaad kaa phuul khilegaa isi viraani mein"
Dilawar Ali AazarDilawar Ali Aazar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud