"raah viraan vaadiyaan tanhaa dil ye bhaTkaa yahaan vahaan tanhaa chhoDne vaale chhoD jaaeinge laakh rokegaa aashiyaan tanhaa aap gar duur ham se jaaeinge ji na paaeinge ham yahaan tanhaa apne nazdik sab akele hain sab kaa apnaa hai ik jahaan tanhaa gum-shuda raahein laapata manzil ruktaa chaltaa hai kaarvaan tanhaa zindagi kis tarah guzaareinge khushiyaan tanhaa udaasiyaan tanhaa"
dosto ummid hai aisaa zamaana aaegaa — Chandrakant Rawat
"dosto ummid hai aisaa zamaana aaegaa sab ke hisson mein jab ik ik aashiyaana aaegaa aaj patjhaD kal bahaaraan mausamon ki gasht hai ai gul-e-maayus mausam phir suhaanaa aaegaa jin ki nazron mein hain sho'la jin ke sinon mein jalan un ke honTon par mohabbat kaa taraana aaegaa saaqi aur mai-khvaar ke kirdaar badlaa kijiye sab ko piinaa aaegaa sab ko pilaanaa aaegaa kaam ko imaan se anjaam detaa chal bashar jaane kis surat mein teraa mehnataana aaegaa"
دوستو امید ہے ایسا زمانہ آئے گا سب کے حصوں میں جب اک اک آشیانہ آئے گا آج پت جھڑ کل بہاراں موسموں کی گشت ہے اے گل مایوس موسم پھر سہانا آئے گا جن کی نظروں میں ہیں شعلہ جن کے سینوں میں جلن ان کے ہونٹوں پر محبت کا ترانہ آئے گا ساقی اور مے خوار کے کردار بدلا کیجئے سب کو پینا آئے گا سب کو پلانا آئے گا کام کو ایمان سے انجام دیتا چل بشر جانے کس صورت میں تیرا محنتانہ آئے گا
दोस्तो उम्मीद है ऐसा ज़माना आएगा सब के हिस्सों में जब इक इक आशियाना आएगा आज पतझड़ कल बहाराँ मौसमों की गश्त है ऐ गुल-ए-मायूस मौसम फिर सुहाना आएगा जिन की नज़रों में हैं शो'ला जिन के सीनों में जलन उन के होंटों पर मोहब्बत का तराना आएगा साक़ी और मय-ख़्वार के किरदार बदला कीजिए सब को पीना आएगा सब को पिलाना आएगा काम को ईमान से अंजाम देता चल बशर जाने किस सूरत में तेरा मेहनताना आएगा

More by Chandrakant Rawat
View all →"dil mein aainda mire ye be-qaraari ho na ho aap kaa armaan phir yuun jaan pe bhaari ho na ho ji bhi lene de isi lamha mujhe marne bhi de zindagi ki phir kabhi aisi khumaari ho na ho ik daf'a uTh kar miri jaanib jhuki hi rah gai meri baabat us nazar se hukm jaari ho na ho aap ki yaadein rahin siine mein zinda chaahe phir aap kaa didaar mujh ko 'umr saari ho na ho apnaa paighaam-e-judaai khud hi main le kar chalun kyunki qaasid ko khayaal-e-raazdaari ho na ho"
"apni samjhe the magar nikli paraai zindagi jaane kis miTTi ki thi qaabu na aai zindagi tai-shuda thaa laDkhaDaanaa aur girnaa ek din thaa kuaan aage kabhi pichhe thi khaai zindagi yuun hi to chhoDaa na ham ne biich raste mein tujhe jab talak ham se nibhi ham ne nibhaai zindagi ham se sab achchhaa buraa kyaa kyaa na karvaati rahi le bhugat ab shauq se ye jag-hansaai zindagi dhire dhire khud se apnaa faasla baDhtaa gayaa lamha lamha vaqt ne ham se churaai zindagi zindagi ko is tarah kuchh ham ne zaae' kar diyaa jaise ki khairaat mein thi ham ne paai zindagi"
"pahaaDon ko jhinjhoDaa jaa rahaa hai baDi saDkon se joDaa jaa rahaa hai havaa mein pul banaae jaa rahe hain dishaaon ko maroDaa jaa rahaa hai nai tarkib ye sochi gai hai nadi ke rukh ko moDaa jaa rahaa hai surangein kyaa bichaai jaa rahi hain ki sar patthar pe phoDaa jaa rahaa hai gaganchumbi 'imaarat ban rahi hai puraane ghar ko toDaa jaa rahaa hai khadaanein khaanein khodi jaa rahi hain ki dharti ko nichoDaa jaa rahaa hai"
"zindagi ham na tujh se haareinge tujh ko teri gali mein maareinge kuchh nahin in sitaaron ke bas mein ye faqat duur se nihaareinge haath baandhe hue jo baiThe hain vo koi zulf kyaa sanvaareinge apni aankhon mein muund le ham ko ham vahin zindagi guzaareinge tum koi khvaab ban ke aa jaanaa ham tumhein niind mein pukaareinge"
"hamein mushkilon mein jo Daale bhi tu to phir mushkilon se nikaale bhi tu tiraa khel kyaa hai tujhi ko pata giraae bhi tu hai sanbhaale bhi tu kabhi aa ke haathon se mai chhin le kabhi rakh de honTon pe pyaale bhi tu hai tu hi samundar tu hi aasmaan Duboe bhi tu hai uchhaale bhi tu 'ajab hain khudaa yojnaaein tiri balaaein bhi de un ko Taale bhi tu"
More on Maa
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"