SHAWORDS

ek chehra hadaf banaane par — J E Najm

HomeJ E NajmGhazal
"ek chehra hadaf banaane par dhar liyaa kyon hamein nishaane par sochtaa huun ye kyaa tasalsul hai TuuT jaataa hai saans aane par saare moti bikharte jaate hain ek dhaage ke TuuT jaane par hijr pichhe hi paD gayaa mere chand lamhon ko gudgudaane par ungliyaan 'najm' khud pe uThne de tu na ungli uThaa zamaane par"
Urdu

ایک چہرہ ہدف بنانے پر دھر لیا کیوں ہمیں نشانے پر سوچتا ہوں یہ کیا تسلسل ہے ٹوٹ جاتا ہے سانس آنے پر سارے موتی بکھرتے جاتے ہیں ایک دھاگے کے ٹوٹ جانے پر ہجر پیچھے ہی پڑ گیا میرے چند لمحوں کو گدگدانے پر انگلیاں نجمؔ خود پہ اٹھنے دے تو نہ انگلی اٹھا زمانے پر

Hindi

एक चेहरा हदफ़ बनाने पर धर लिया क्यों हमें निशाने पर सोचता हूँ ये क्या तसलसुल है टूट जाता है साँस आने पर सारे मोती बिखरते जाते हैं एक धागे के टूट जाने पर हिज्र पीछे ही पड़ गया मेरे चंद लम्हों को गुदगुदाने पर उँगलियाँ 'नज्म' ख़ुद पे उठने दे तू न उँगली उठा ज़माने पर

ek chehra hadaf banāne par
J E Najm
J E Najm
J E Najm
poet10 quotes

More by J E Najm

View all →
Quote
"saans meri ye aakhiri to nahin saath tere mili hui to nahin jab talak hai ise guzaarungaa zindagi teri di hui to nahin jo suhulat bani hai tere liye vo suhulat bani hui to nahin apnaa honaa ganvaanaa paDtaa hai sahl itni bhi saadgi to nahin chhoD aae ho jo bhari duniyaa phir se tum ko pukaarti to nahin ai mire dil fareb kyaa tujh ko phir se ummid shaam ki to nahin dil mein chingaariyaan si jalti hain ye mohabbat bhi aakhiri to nahin saari chhuTTiyon mein tujh ko yaad kiyaa ishq hai tujh se naukri to nahin 'najm' kyon paagalon se phirte ho aaine par nazar paDi to nahin"
J E NajmJ E Najm

More on Maa

View all →
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi