"yuun to har ek ne ki rasm adaa mere baad kar na paayaa koi takmil-e-vafaa mere baad main ne anjaam diye kaar-e-numaayaan jo bhi baa-vafaa koi bhi vo kar na sakaa mere baad kaun samjhegaa taqaddus jo hai bahr-e-gham kaa zindagi ko koi saahil na milaa mere baad sajda-e-shukr ba-har-gaam adaa kartaa huun kaun samjhegaa ye taslim-o-razaa mere baad saaf-goi kaa har ik kartaa hai daavaa lekin kis ne mahfil mein ye izhaar kiyaa mere baad inqalaab aaya zamaane mein to kis ke dam se kis kaa lahja asar-andaaz huaa mere baad khair maqdam ke liye khud baDhi manzil meri duur tak phir na chalaa us kaa pataa mere baad bazm-e-duniyaa to hai 'maqsud' saraa-e-faani kyaa khabar kaun ho phir jalva-numaa mere baad"
fazl mujh par mire khudaa kaa hai — Maqsood Nashtari
"fazl mujh par mire khudaa kaa hai ye karishma kisi duaa kaa hai imtihaan ab miri anaa kaa hai ye taqaaza tiri razaa kaa hai bahr-e-taazim surkh-rui hai faiz ye sab tiri ataa kaa hai baadshaahon ko sar-nigun dekhaa martaba ye tire gadaa kaa hai kaun kis ko vafaa-shanaas kahe raaj har samt ab jafaa kaa hai mujh ko rusvaaiyon ne gher liyaa sar mein saudaa tiri vafaa kaa hai jis se insaaniyat hai sharminda ye tariqa hi irtiqaa kaa hai jis ki tahrir se kiran phuTi khat ye 'maqsud' khush-adaa kaa hai"
فضل مجھ پر مرے خدا کا ہے یہ کرشمہ کسی دعا کا ہے امتحاں اب مری انا کا ہے یہ تقاضہ تری رضا کا ہے بہر تعظیم سرخ روئی ہے فیض یہ سب تری عطا کا ہے بادشاہوں کو سرنگوں دیکھا مرتبہ یہ ترے گدا کا ہے کون کس کو وفا شناس کہے راج ہر سمت اب جفا کا ہے مجھ کو رسوائیوں نے گھیر لیا سر میں سودا تری وفا کا ہے جس سے انسانیت ہے شرمندہ یہ طریقہ ہی ارتقا کا ہے جس کی تحریر سے کرن پھوٹی خط یہ مقصودؔ خوش ادا کا ہے
फ़ज़्ल मुझ पर मिरे ख़ुदा का है ये करिश्मा किसी दुआ का है इम्तिहाँ अब मिरी अना का है ये तक़ाज़ा तिरी रज़ा का है बहर-ए-ताज़ीम सुर्ख़-रूई है फ़ैज़ ये सब तिरी अता का है बादशाहों को सर-निगूँ देखा मर्तबा ये तिरे गदा का है कौन किस को वफ़ा-शनास कहे राज हर सम्त अब जफ़ा का है मुझ को रुस्वाइयों ने घेर लिया सर में सौदा तिरी वफ़ा का है जिस से इंसानियत है शर्मिंदा ये तरीक़ा ही इर्तिक़ा का है जिस की तहरीर से किरन फूटी ख़त ये 'मक़्सूद' ख़ुश-अदा का है

More by Maqsood Nashtari
View all →"khauf us kaa usi se Dartaa huun main kahaan aadmi se Dartaa huun tirgi ab miraa muqaddar hai is liye raushni se Dartaa huun maut bar-haq hai aaegi lekin teri chaaragari se Dartaa huun jis kaa ehsaan bojh ban jaae bas usi aadmi se Dartaa huun aakhirat kaa nahin khayaal zaraa dil ki is gum-rahi se Dartaa huun jis se aae amal mein kotaahi main usi aagahi se Dartaa huun yuun mile mujh ko dosti mein fareb aaj tak dosti se Dartaa huun main bhi 'maqsud' daur-e-haazir mein maut yaa zindagi se Dartaa huun"
"haail hain miri raah mein ye dair-o-haram kyon baDhtaa huun to har gaam pe rukte hain qadam kyon jo haq ki himaayat mein nikal aataa hai ghar se us mard-e-mujaahid ko ho andesha-e-gham kyon ye rahbar-e-manzil hain nishaan in se milegaa raahon se miTaate ho mire naqsh-e-qadam kyon mahfil ki nigaahein to hain markuz unhin par khaamosh nazar aate hain aazar ke sanam kyon main ne unhein apnaa kahaa apnaa hi to samjhaa vo chaahte hain karnaa mire sar ko qalam kyon jo baat bhi haq hogi vahi baat kaheinge munsif se karein ham koi ummid-e-karam kyon sad-shukr ki tu ne mujhe insaan banaayaa gham hi miri qismat hai to ye bhi mujhe kam kyon qudrat ne tumhein aish-o-masarrat se navaazaa 'maqsud' nazar aate ho baa-dida-e-nam kyon"
"rah-e-hayaat pe yuun bach ke chal rahaa huun main ki khaae Thokarein koi sanbhal rahaa huun main tafakkuraat ke indhan mein jal rahaa huun main ba-shakl-e-barf isi se pighal rahaa huun main baraa-e-raushni suraj bikher de kirnein zamin pe teri tamaazat se jal rahaa huun main na zaad-e-raah na manzil kaa hai pata mujh ko safar tavil hai ghar se nikal rahaa huun main har ek daur ne baDh kar mujhe salaam kiyaa kharaa huun qimti sikka huun chal rahaa huun main balaa se manzilein mujh ko milin milin na milin kisi ke naqsh-e-qadam par to chal rahaa huun mein diyaa hai dars jinhein main ne dard-mandi kaa unhin ki nazron mein 'maqsud' khal rahaa huun main"
"jaise tazaad hotaa hai lail-o-nahaar mein vaisaa hi farq hotaa hai qaul-o-qaraar mein tum hi bataao kyaa hai mire ikhtiyaar mein main is bisaat-e-dahr pe huun kisi shumaar mein kyaa jaane kyaa kashish hai ye musht-e-ghubaar mein jakDe hue sabhi hain gham-e-rozgaar mein taDpaa hai khuub maahi-e-be-aab ki tarah ab bhi dil-e-hazin hain tire intizaar mein mahsus kar rahe hain magar bolte nahin tabdiliyaan jo aai hain kirdaar-e-yaar mein ye inqalaab dekhaa hai daur-e-jadid kaa ghaddaar khud ko ginte hain ab jaan-nisaar mein 'maqsud' vo bhi bahr-e-mulaaqaat aaeinge pathraa gai hain aankhein isi intizaar mein"
"naa-ahl se bhule se daanaai na li jaae dariyaa se samundar ki gahraai na li jaae har pal ho sanaa-khvaani us rabb-e-haqiqat ki is aalam-e-irfaan se tanhaai na li jaae jis bazm mein miltaa ho insaaf-e-jahaangiri us bazm se phir kaise achchhaai na li jaae jo gulshan-e-hasti ko shaadaab na kar paae purvaai ho vo phir bhi purvaai na li jaae tazin-e-takhayyul to hai laazmi fankaaro auron se kisi surat goyaai na li jaae jo khusrav-e-hasti hain aksar yahi kahte hain sadqe mein kisi se bhi daaraai na li jaae aain-e-zabaan-bandi kyaa is liye naafiz hai bedaar na ho paaein angDaai na li jaae haan sabr-o-qanaaat kaa 'maqsud' ye matlab hai qarze ki koi shai bhi ai bhaai na li jaae"
More on Dua
View all →"tujh ko khiffat se bachaa luun paani tishnagi apni chhupaa luun paani khaak uDti hai har ik chehre par kis ki aankhon se nikaalun paani dhuup dariyaa pe nazar rakhti hai tujh ko kuuze mein chhupaa luun paani uDte phirte hain saron par baadal khvaab aankhon mein basaa luun paani roz bachchon ko sulaa duun yunhi roz patthar ko ubaalun paani aag se kheltaa hai kal mujh ko aa tujhe apnaa banaa luun paani khaarzaaron pe chalun nange paanv khushk dharti ki duaa luun paani sabr ki had bhi to kuchh hoti hai kitnaa palkon pe sambhaalun paani bhuul jaaun na kahin tairaaki kyuun na kashti hi jalaa luun paani apni vahshat kaa ik izhaar sahi kar ke sard aag jalaa luun paani zakhm ho phuul ho yaa angaara ho jo raushan to bulaa luun paani shart hai teri rifaaqat varna vaqt ki aag mein Daalun paani aag matlub-e-lab-e-tishna hai main tujhe kaise bulaa luun paani chashm-e-ahbaab jo ho khushk 'ataa' khuun ko apne banaa luun paani"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
"dam-ba-khud meri anaa teri adaa bhi dam-ba-khud tere pahlu mein rahaa main aur rahaa bhi dam-ba-khud dekhiye pahle lahu Tapke ki phailein kirchiyaan dam-ba-khud teri nazar bhi aaina bhi dam-ba-khud itnaa sannaaTaa ki jaise avvalin shaam-e-firaaq dam-ba-khud hai aasmaan bhi aur havaa bhi dam-ba-khud yaad hai tujh ko vo pahle lams ki hiddat ki jab rah gai thi dafatan teri hayaa bhi dam-ba-khud ek se aalam mein donon mukhtalif asbaab se dam-ba-khud teraa karam meri duaa bhi dam-ba-khud aisaa lagtaa hai ki donon se nahin nisbat mujhe dam-ba-khud umr-e-ravaan sail-e-fanaa bhi dam-ba-khud khauf-e-tajdid-e-taaluq darmiyaan haail rahaa dam-ba-khud teraa sitam meraa galaa bhi dam-ba-khud yuun gumaan hotaa hai donon ki tavaqqoa ek thi dam-ba-khud teri vafaa meri sazaa bhi dam-ba-khud jab khule meri haqiqat tum vo manzar dekhnaa dam-ba-khud naa-aashnaa bhi aashnaa bhi dam-ba-khud"
"yaar ke bhes mein mahbub sitamgar niklaa phuul ham jis ko samajhte the vo patthar niklaa ek roTi ke evaz de gayaa jannat ki duaa mere kuche kaa bhikaari bhi mukhayyar niklaa aaj-kal aankh kaa dekhaa bhi ghalat hotaa hai jis ko samjhe the apaahij vo tavangar niklaa vaqt kamzor ko shah-zor banaa detaa hai shaam ko Duubaa magar subh mein khaavar niklaa ghar badalne se bhi taqdir badal jaati hai siip mein paani paDaa ban ke vo gauhar niklaa jo mire zehn-o-takhayyul mein bahut unchaa thaa us kaa qad taalib-e-duniyaa ke baraabar niklaa jis ke zimme thi mire ghar ki hifaazat 'muztar' dushmanon kaa mire vo shakhs bhi ham-sar niklaa"
"dard kab dil mein mehrbaan na rahaa haan magar qaabil-e-bayaan na rahaa ham jo gulshan mein the bahaar na thi jab bahaar aai aashiyaan na rahaa gham garaan jab na thaa garaan thaa mujhe jab garaan ho gayaa garaan na rahaa doston kaa karam maaaz-allaah shikva-e-jaur-e-dushmanaan na rahaa bijliyon ko duaaein detaa huun dosh par baar-e-aashiyaan na rahaa"
"havaa ke siing na pakDo khadeD deti hai zamin se peDon ke Taanke udheD deti hai main chup karaataa huun har shab umaDti baarish ko magar ye roz gai baat chheD deti hai zamin saa dusraa koi sakhi kahaan hogaa zaraa saa biij uThaa le to peD deti hai rundhe gale ki duaaon se bhi nahin khultaa dar-e-hayaat jise maut bheD deti hai"