SHAWORDS

ghar mein rahte hue Dar lagtaa hai — B S Jain Jauhar

"ghar mein rahte hue Dar lagtaa hai ab bayaabaan hi ghar lagtaa hai paanv rakhtaa huun to dhansti hai zamin sar uThaataa huun to sar lagtaa hai qatl-o-ghaarat hai gali kuchon mein shahr-e-dahshat kaa nagar lagtaa hai Dagmagaati hai dhamaakon se zamin aasmaan zer-o-zabar lagtaa hai zindagi yuun to guzar jaaegi kitnaa mushkil ye safar lagtaa hai ghair to ghair hamein aaj ke din apne ham-saae se Dar lagtaa hai"
Urdu

گھر میں رہتے ہوئے ڈر لگتا ہے اب بیابان ہی گھر لگتا ہے پاؤں رکھتا ہوں تو دھنستی ہے زمیں سر اٹھاتا ہوں تو سر لگتا ہے قتل و غارت ہے گلی کوچوں میں شہر دہشت کا نگر لگتا ہے ڈگمگاتی ہے دھماکوں سے زمیں آسماں زیر و زبر لگتا ہے زندگی یوں تو گزر جائے گی کتنا مشکل یہ سفر لگتا ہے غیر تو غیر ہمیں آج کے دن اپنے ہم سایے سے ڈر لگتا ہے

Hindi

घर में रहते हुए डर लगता है अब बयाबान ही घर लगता है पाँव रखता हूँ तो धँसती है ज़मीं सर उठाता हूँ तो सर लगता है क़त्ल-ओ-ग़ारत है गली कूचों में शहर-ए-दहशत का नगर लगता है डगमगाती है धमाकों से ज़मीं आसमाँ ज़ेर-ओ-ज़बर लगता है ज़िंदगी यूँ तो गुज़र जाएगी कितना मुश्किल ये सफ़र लगता है ग़ैर तो ग़ैर हमें आज के दिन अपने हम-साए से डर लगता है

ghar meñ rahte hue Dar lagtā hai
B S Jain Jauhar
B S Jain Jauhar
B S Jain Jauhar
poet13 quotes

More by B S Jain Jauhar

View all →
Quote
"naghme taDap rahe hain dil-e-be-qaraar mein aankhein baras rahi hain gham-e-intizaar mein fitrat udaas si hai ghaTaaein hain sogvaar ik gham-nasib husn hai abr-e-bahaar mein hai zarra zarra shauq-e-samaaat se be-qaraar tum gungunaa rahe ho kisi aabshaar mein saavan ki rut bahaar kaa mausam andheri raat rim-jhim ke giit guunj rahe hain phuvaar mein sapnon mein ho gayaa hai saveraa kahin mujhe baiThaa huaa huun jaise kisi laala-zaar mein aisaa lagaa ki saath hi gaate hain aabshaar kyaa mohni si lai hai tumhaare sitaar mein kyuun aaj sar jhukaae hue ro rahe ho tum bikhre hue hain baal gham-o-intishaar mein"
B S Jain JauharB S Jain Jauhar
Quote
"ghaTaa saavan ki umDi aa rahi hai payaam-e-ashk bhar bhar laa rahi hai ragon mein khuun gardish kar rahaa hai javaani saaz-e-dil par gaa rahi hai rulaataa hai unhein bhi kyaa ye saavan mujhe kaali ghaTaa taDpaa rahi hai tarannum-khez jamunaa ke kinaare kisi ki yaad paiham aa rahi hai ye aakhir kaun hai jo chup khaDaa hai nazar har baar dhokaa khaa rahi hai ham apne dil kaa dukhDaa ro rahe hain tumhaari aankh jhapki jaa rahi hai tum apne dhyaan mein Duubi hui ho tumhaari oDhni lahraa rahi hai miri be-khvaab aankhon ko mubaarak ki aakhir maut ki niind aa rahi hai"
B S Jain JauharB S Jain Jauhar

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar