Quote
"aadmi dikhtaa nahin is shahr mein ab koi apnaa nahin is shahr mein har taraf baisaakhiyon kaa shor hai koi bhi chaltaa nahin is shahr mein shabd arthon ko taraste hain yahaan kyaa sukhan zinda nahin is shahr mein ho gayaa ghaaeb dupaTTon kaa chalan aaj-kal pardaa nahin is shahr mein jo hue zaalim vyavasthaa ke shikaar un ki bhi charchaa nahin is shahr mein har taraf galiyon mein sannaaTaa saa hai kuchh kahin hotaa nahin is shahr main"
