Quote
"jis se falak paDegi dil-e-paaemaal mein vo kahkashaan nahin hai tire khadd-o-khaal mein vo raat meri niind kaa qaziya uThaa na de din kaaTtaa huun ab main isi ehtimaal mein khvaabidgi ki taab ubhaarungaa sher mein teraa jamaal uungh rahaa hai khayaal mein ab giili lakDiyon kaa bahaana fuzul hai din bhar se aag ghuum rahi hai jalaal mein yaani ye jism apni khanak se khaDaa huaa yaa ikhtiyaar-e-aab se utraa sifaal mein"
