"ye daastaan-e-dil hai kyaa ho adaa zabaan se aansu Tapak rahe hain lafzein milein kahaan se hai rabt do dilon ko be-rabti-e-bayaan se kuchh vo kahein nazar se kuchh ham kahein zabaan se ye rote rote hansnaa tartib-e-zikr-e-gham hai aayaa huun ibtidaa par chheDaa thaa darmiyaan se haasil to zindagi kaa thi zindagi yahin ki ab main huun ik janaaza uThvaa do aastaan se is tul-e-khaamushi kaa zor-e-bayaan bhi dekhaa thi baat mere dil ki nikli tiri zabaan se jab husn khud-numaa hai aur ishq rakhna-afgan is kashmakash mein parda niklegaa darmiyaan se maidaan-e-imtihaan mein ai be-gharaz mohabbat dil ki zamin tu ne Takraa di aasmaan se us raazdaar-e-gham ki haalat na puchh jis ko kahnaa to hai bahut kuchh mahrum hai zabaan se ai jazb-e-shauq-e-manzil mamnun-e-ghair kyuun hon khud raasta badal kar bichhDaa huun kaarvaan se har gaam par ThiThaknaa har baar muD ke taknaa o muskuraane vaale kyaa le chalaa yahaan se zaahir fareb-e-vaada phir e'tibaar itnaa vo likh gayaa dilon par jo kah diyaa zabaan se aaankhon se baaghbaan ki shoale nikle rahe hain tinke dabaae munh mein niklaa huun aashiyaan se dil kaa sakun ganvaa kar hon aarzu pashemaan kuchh le ke rakh na chhoDaa kyuun jins-e-raaegaan se"
hain des-bides ek guzar aur basar mein — Arzoo Lakhnavi
"hain des-bides ek guzar aur basar mein be-aas ko kab chain milaa hai kisi ghar mein chup main ne lagaai to huaa us kaa bhi charchaa jo bhed na khultaa ho vo khul jaataa hai Dar mein suraj kaa ghamanD aur nahin taare ke baraabar aisi hi to baatein hain is andher-nagar mein vo Tal nahin sakti jo pahunchne ki ghaDi hai chaltaa rahe galiyon mein ki baiThaa rahe ghar mein huuk uTThi idhar ji mein udhar kuuk uThi koyal puchhe koi to kaun idhar mein na udhar mein ai 'aarzu' aankhon hi mein kaT jaate hain din-raat koi bhi ghaDi chain ki hai aaTh-pahr mein"
ہیں دیس بدیس ایک گزر اور بسر میں بے آس کو کب چین ملا ہے کسی گھر میں چپ میں نے لگائی تو ہوا اس کا بھی چرچا جو بھید نہ کھلتا ہو وہ کھل جاتا ہے ڈر میں سورج کا گھمنڈ اور نہیں تارے کے برابر ایسی ہی تو باتیں ہیں اس اندھیر نگر میں وہ ٹل نہیں سکتی جو پہنچنے کی گھڑی ہے چلتا رہے گلیوں میں کہ بیٹھا رہے گھر میں ہوک اٹھی ادھر جی میں ادھر کوک اٹھی کوئل پوچھے کوئی تو کون ادھر میں نہ ادھر میں اے آرزوؔ آنکھوں ہی میں کٹ جاتے ہیں دن رات کوئی بھی گھڑی چین کی ہے آٹھ پہر میں
हैं देस-बिदेस एक गुज़र और बसर में बे-आस को कब चैन मिला है किसी घर में चुप मैं ने लगाई तो हुआ उस का भी चर्चा जो भेद न खुलता हो वो खुल जाता है डर में सूरज का घमंड और नहीं तारे के बराबर ऐसी ही तो बातें हैं इस अंधेर-नगर में वो टल नहीं सकती जो पहुँचने की घड़ी है चलता रहे गलियों में कि बैठा रहे घर में हूक उट्ठी इधर जी में उधर कूक उठी कोयल पूछे कोई तो कौन इधर में न उधर में ऐ 'आरज़ू' आँखों ही में कट जाते हैं दिन-रात कोई भी घड़ी चैन की है आठ-पहर में

More by Arzoo Lakhnavi
View all →"jitnaa thaa sargarm-e-kaar utnaa hi dil naakaam thaa hosh jis kaa naam hai vo bhi junun-e-khaam thaa hosh kaa zaamin thaa saaqi kaif-parvar dil kaa shauq jaam thaa paas aur be-andesha-e-anjaam thaa khatm karti jald kyunkar ziist ki manzil ko saans pher koson kaa thaa lekin faasla ik gaam thaa josh-e-shorida-sari thaa taa-ba-vahm-e-ikhtiyaar thak ke dam TuuTaa to phir aaraam hi aaraam thaa ab kahaan vo aamad-o-raft-e-nafas ki shaah-raah ik kashaakash thi ki jis kaa zindagaani naam thaa chaunk kar khud manzar-e-hasti se aankhein pher liin hichkiyaan kaahe ko thiin poshida ik paighaam thaa gul huaa aakhir bhaDak kar shoala-e-josh-e-shabaab thi kaf-e-mauj-e-havaadis aur charaagh-e-shaam thaa be-jale kis tarah bantaa shama parvaane kaa dil vo use anjaam kyaa dete jo meraa kaam thaa tum ne khud naakaam rakh ke us ki himmat ki thi past aarzu-e-be-gunah par muft kaa ilzaam thaa"
"mujh ko dil qismat ne us ko husn-e-ghaarat-gar diyaa chuur kar de kyuun na vo shisha jise patthar diyaa us se taalib huun diyat kaa aap se matlab nahin jis ne gardan ek ko di ek ko khanjar diyaa thaa mukaafaat-e-amal ahbaab kaa husn-e-amal ye bhi aisaa qarz thaa jo aur se le kar diyaa ab na hai fikr-e-hifaazat aur na ziq-e-raf-e-kaar dene vaale ne diyaa aur meri khvaahish bhar diyaa girya-e-be-ikhtiyaar-e-gham bhi thaa fitri ilaaj jis ne thoDe josh ko har martaba kam kar diyaa jis mein kaif-e-gham nahin baaz aae aise dil se ham ye bhi duniyaa hai koi mai to na di saaghar diyaa 'aarzu' ik roz Dhaa detaa mujhe meraa hi zor ye bhi us ki kaarsaazi dil mein jis ne Dar diyaa"
"tumhein kyaa kaam naalon se tumhein kyaa kaam aahon se chhupaayaa ho gunaah-e-ishq to puchho gavaahon se main kajkol-e-dil-e-be-muddaaa le kar kahaan jaaun ye paighaam-e-talab kyuun unchi unchi baargaahon se zabaan ho ek ulfat ki to mumkin hai zabaan-bandi hui jo baat chupke ki vo kah Daali nigaahon se mohabbat andar andar ziist kaa naqsha palaTti hai yahi chalti hui saansein badal jaaeingi aahon se sanad be-aitmaadi ki hai qabl-e-imtihaan goyaa bayaan-e-haal kai pahle halaf lenaa gavaahon se mohabbat nek-o-bad ko sochne de ghair mumkin hai baDhi jab be-khudi phir kaun Dartaa hai gunaahon se hue jab aap se baahar phir ehsaas-e-dui kaisaa pata manzil kaa miltaa hai inhin gum-karda raahon se bataa sakti nahin ruidgi-e-sabza-o-gul bhi faqiron se paTe the ye gaDhe yaa baadshaahon se chhalakte zarf kaa khultaa bharam khotaa hai baat apni sukun paataa hai dil kaa dard naalon se na aahon se ye pahle soch lein aankhon mein lahraate hue aansu ki vo phir uTh bhi sakte hain jo gir jaaein nigaahon se milaa baiThaa hai sab mein kuchh magar munh se nahin kahtaa alag samjho tum apne 'aarzu' ko daad-khvaahon se"
"dil mein yaad-e-but-e-be-pir liye baiThaa huun yaani ik zulm ki tasvir liye baiThaa huun aah mein dard ki taasir liye baiThaa huun dil mein ik khuun bharaa tiir liye baiThaa huun ik zaraa si khalish-e-dard-e-jigar par ye ghamanD jaise kul ishq ki jaagir liye baiThaa huun hai mujhe saaz-e-tarab sokhta-saamaani-e-dil parda-e-khaak mein iksir liye baiThaa huun chuur shishe pe nazar paDte hi dil yaad aayaa miTne vaale tiri tasvir liye baiThaa huun qaid ko toD ke samjhaa ki sahaaraa toDaa haath mein paanv ki zanjir liye baiThaa huun 'aarzu' ho chuki sau martaba duniyaa bedaar aur main soi hui taqdir liye baiThaa huun"
"taDapte dil ko na le iztiraab letaa jaa paTak de saaghar-e-khaali sharaab letaa jaa vo haath maar palaT kar jo kar de kaam tamaam baDe 'azaab mein huun main savaab letaa jaa vo ban hi ghar se hai achchhaa sukun jis mein mile mujhe bhi o dil-e-khaana-kharaab letaa jaa mile ik aah kaa vaqfa to vaqt-e-purshish-e-haal har ik savaal kaa apne javaab letaa jaa naqaab uThaa ke kiyaa saamnaa to munh ko na pher dikhaa ke khvaab na aankhon se khvaab letaa jaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"