SHAWORDS

hamein vaqf-e-gham sar-ba-sar dekh lete — Hasrat Mohani

HomeHasrat MohaniGhazal
"hamein vaqf-e-gham sar-ba-sar dekh lete vo tum kuchh na karte magar dekh lete na karte kabhi khvaahish-e-sair-e-jannat jo vaaiz tiraa rahguzar dekh lete rasaai kahaan bazm-e-dushman mein apni ki ham bhi unhein ik nazar dekh lete tamannaa ko phir kuchh shikaayat na rahti jo tum bhuul kar bhi idhar dekh lete na rahti khabar diin o duniyaa ki 'hasrat' jo sote unhein be-khabar dekh lete"
Urdu

ہمیں وقف غم سر بسر دیکھ لیتے وہ تم کچھ نہ کرتے مگر دیکھ لیتے نہ کرتے کبھی خواہش سیر جنت جو واعظ ترا رہ گزر دیکھ لیتے رسائی کہاں بزم دشمن میں اپنی کہ ہم بھی انہیں اک نظر دیکھ لیتے تمنا کو پھر کچھ شکایت نہ رہتی جو تم بھول کر بھی ادھر دیکھ لیتے نہ رہتی خبر دین و دنیا کی حسرتؔ جو سوتے انہیں بے خبر دیکھ لیتے

Hindi

हमें वक़्फ़-ए-ग़म सर-ब-सर देख लेते वो तुम कुछ न करते मगर देख लेते न करते कभी ख़्वाहिश-ए-सैर-ए-जन्नत जो वाइज़ तिरा रहगुज़र देख लेते रसाई कहाँ बज़्म-ए-दुश्मन में अपनी कि हम भी उन्हें इक नज़र देख लेते तमन्ना को फिर कुछ शिकायत न रहती जो तुम भूल कर भी इधर देख लेते न रहती ख़बर दीन ओ दुनिया की 'हसरत' जो सोते उन्हें बे-ख़बर देख लेते

hameñ vaqf-e-ġham sar-ba-sar dekh lete
Hasrat Mohani
Hasrat Mohani
Hasrat Mohani
poet152 quotes

More by Hasrat Mohani

View all →
Quote
"taabaan jo nur-e-husn ba-simaa-e-ishq hai kis darja dil-pazir tamaashaa-e-ishq hai arbaab-e-hosh jitne hain bimaar-e-aql hain un ke liye zarur mudaavaa-e-ishq hai main kyaa huun ek zarra-e-sahraa-e-ishtiyaaq dil kyaa hai ek qatra-e-dariyaa-e-ishq hai shaah o gadaa kaa farq nahin ahd-e-husn mein ab jis ko dekhiye use daavaa-e-ishq hai zaahir hai be-qaraari-e-paiham se haal-e-dil bekaar ham ko daavaa-e-ikhfaa-e-ishq hai pinhaan hijaab-e-naaz mein hai surat-e-jamaal paidaa haruf-e-shauq se maanaa-e-ishq hai ai ahl-e-aql kyuun ho use fikr-e-naam-o-nang 'hasrat' kharaab-e-ishq hai rusvaa-e-ishq hai"
Hasrat MohaniHasrat Mohani
Quote
"husn-e-be-mehr ko parvaa-e-tamannaa kyaa ho jab ho aisaa to ilaaj-e-dil-e-shaidaa kyaa ho kasrat-e-husn ki ye shaan na dekhi na suni barq larzaan hai koi garm-e-tamaashaa kyaa ho be-misaali ke hain ye rang jo baa-vasf-e-hijaab be-naqaabi pe tiraa jalva-e-yaktaa kyaa ho dekhein ham bhi jo tire husn-e-dil-aaraa ki bahaar is mein nuqsaan tiraa ai gul-e-raa'naa kyaa ho ham gharaz-mand kahaan martaba-e-ishq kahaan ham ko samjhein vo havas-kaar to bejaa kyaa ho dil-farebi hai tiri baais-e-sad josh o kharosh haal ye ho to dil-e-zaar shakebaa kyaa ho raat din rahne lagi us sitam-ijaad ki yaad 'hasrat' ab dekhiye anjaam hamaaraa kyaa ho"
Hasrat MohaniHasrat Mohani
Quote
"phir bhi hai tum ko masihaai kaa daavaa dekho mujh ko dekho mire marne ki tamanna dekho ham na kahte the banaavaT hai ye saaraa ghussa hans ke lo phir vo unhon ne hamein dekhaa dekho ghar se har-vaqt nikal aate ho khole hue baal shaam dekho na miri jaan saveraa dekho mahfil-e-ghair mein be-parda tumhein dekh liyaa ab kabhi ham se khabar-daar na chhupnaa dekho khaana-e-jaan mein numudaar hai ik paikar-e-nur hasrato aao rukh-e-yaar kaa jalva dekho dil ko rangini-e-khvaahish ki khataa par aakhir milti hai us gul-e-raanaa se sazaa kyaa dekho saamne sab ke munaasib nahin ham par ye itaab sar se Dhal jaae na ghusse mein dupaTTa dekho mar-miTe ham to kabhi yaad bhi tum ne na kiyaa ab mohabbat kaa na karnaa kabhi daavaa dekho sar kahin baal kahin haath kahin paanv kahin un kaa sonaa bhi hai kis shaan kaa sonaa dekho ab vo shokhi se ye kahte hain sitamgar hain jo ham dil kisi aur se kuchh roz ko bahlaa dekho vaaizo munh mein tumhaare bhi bhar aae paani mai-e-rangin kaa jo saaghar se chhalaknaa dekho baat kyaa hai jo hue jaate ho tum yunhi khafaa mujh ko dekho na mire dil kaa dhDaknaa dekho jurm-e-nazzaara pe kaun itni khushaamad kartaa ab vo ruThe hain lo aur tamaashaa dekho masti-e-husn se apni bhi nahin tum ko khabar kyaa suno arz miri haal miraa kyaa dekho dosto tark-e-mohabbat ki nasihat hai fuzul aur na maano to dil-e-zaar ko samjhaa dekho havas-e-did miTi hai na miTegi 'hasrat' dekhne ke liye chaaho unhein jitnaa dekho"
Hasrat MohaniHasrat Mohani
Quote
"apnaa saa shauq auron mein laaein kahaan se ham ghabraa gae hain be-dili-e-hamrahaan se ham kuchh aisi duur bhi to nahin manzil-e-muraad lekin ye jab ki chhuT chalein kaarvaan se ham ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr masrur hain tiri khalish-e-naa-tavaan se ham maalum sab hai puchhte ho phir bhi muddaaa ab tum se dil ki baat kahein kyaa zabaan se ham ai zohd-e-khushk teri hidaayat ke vaaste saughaat-e-ishq laae hain ku-e-butaan se ham betaabiyon se chhup na sakaa haal-e-aarzu aakhir bache na us nigah-e-bad-gumaan se ham piraana-sar bhi shauq ki himmat buland hai khvaahaan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujavaan se ham maayus bhi to karte nahin tum za-raah-e-naaz tang aa gae hain kashmakash-e-imtihaan se ham khalvat banegi tere gham-e-jaan-navaaz ki leinge ye kaam apne dil-e-shaadmaan se ham hai intihaa-e-yaas bhi ik ibtidaa-e-shauq phir aa gae vahin pe chale the jahaan se ham 'hasrat' phir aur jaa ke karein kis ki bandagi achchhaa jo sar uThaaein bhi is aastaan se ham"
Hasrat MohaniHasrat Mohani

More on Hasrat

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"saaqi tiraa jamaal bhi meri nazar mein hai main jaantaa huun nuur jo shams-o-qamar mein hai meraa lahu bahaa ke adu mutmain nahin ab meraa khaandaan bhi us ki nazar mein hai akhbaar dekhtaa hai vo hasrat ki aankh se qaari ki zindagi kisi achchhi khabar mein hai yunhi nahin hai shaam se aankhon mein iztiraab khushbu bataa rahi hai koi rahguzar mein hai maanjhi badal badal ke miri fikr thak gai lekin miraa safina abhi tak bhanvar mein hai chhuTkaaraa paa gae hain sabhi is khayaal se insaaniyat kaa dard faqat mere sar mein hai dariyaa ke do kinaare hain milte nahin kabhi 'muztar' azal se bair yahaan khair-o-shar mein hai"
Muztar AzmiMuztar Azmi
Quote
"ik zaraa si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum bas hai itni si zarurat thoDi raahat aur tum muddaton se mukhtalif hain meri qismat aur tum kyon muqaddar mein nahin tum se mohabbat aur tum ho bahut masruf tum yaa hai koi naaraazgi saath mein milte nahin ab thoDi fursat aur tum tum bichhaD kar bhi na mujh se ho sake pal-bhar judaa mujh mein baaqi hai tumhaari har ik aadat aur tum apne aangan se nahin kuchh duriyon se hi sahi hai mujhe haasil tumhaare gul ki nikhat aur tum huun baDi mushkil mein apne dil-makaan ko dekh kar saath kaise rah sakeinge is mein vahdat aur tum munhasir tum par hai mere dil ki har ik aarzu ek minnat ek jannat ek farhat aur tum"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"jab kabhi khubi-e-qismat se tujhe dekhte hain aaina-khaane ki hairat se tujhe dekhte hain vo jo paamaal-e-zamaana hain mire takht-nashin dekh to kaisi mohabbat se tujhe dekhte hain kaasa-e-did mein bas ek jhalak kaa sikka ham faqiron ki qanaa'at se tujhe dekhte hain tere jaane kaa khayaal aataa hai ghar se jis dam dar-o-divaar ki hasrat se tujhe dekhte hain tere kuche mein chale jaate hain qaasid ban kar aur aksar usi surat se tujhe dekhte hain kah gai baad-e-sabaa aaj tire kaan mein kyaa phuul kis darja sharaarat se tujhe dekhte hain tujh ko kyaa 'ilm tujhe haarne vaale kuchh log kis qadar sakht nadaamat se tujhe dekhte hain"
Parveen ShakirParveen Shakir