SHAWORDS

har saans mein mismaar khanDar TuTte rahnaa — Musavvir Sabzwari

"har saans mein mismaar khanDar TuTte rahnaa sun sun ke shikaston ki khabar TuTte rahnaa aflaak se maatam-zada aavaazon ki aamad rah rah ke sitaaron ke gajar TuTte rahnaa yalghaar havaaon ki parindon ki safon par aandhi mein pari-zaadon ke par TuTte rahnaa din bhar vahi lamhaat se rahnaa mutasaadim shab bhar vahi lamhon ki kamar TuTte rahnaa malbe pe savaar aakhiri faateh ki tarah the bachchon kaa mire khel thaa ghar TuTte rahnaa laDkon kaa alamiyyaa ki masein tak nahin bhigin shaakhon se sabhi kachche samar TuTte rahnaa"
Urdu

ہر سانس میں مسمار کھنڈر ٹوٹتے رہنا سن سن کے شکستوں کی خبر ٹوٹتے رہنا افلاک سے ماتم زدہ آوازوں کی آمد رہ رہ کے ستاروں کے گجر ٹوٹتے رہنا یلغار ہواؤں کی پرندوں کی صفوں پر آندھی میں پری زادوں کے پر ٹوٹتے رہنا دن بھر وہی لمحات سے رہنا متصادم شب بھر وہی لمحوں کی کمر ٹوٹتے رہنا ملبے پہ سوار آخری فاتح کی طرح تھے بچوں کا مرے کھیل تھا گھر ٹوٹتے رہنا لڑکوں کا المیہ کہ مسیں تک نہیں بھیگیں شاخوں سے سبھی کچے ثمر ٹوٹتے رہنا

Hindi

हर साँस में मिस्मार खंडर टूटते रहना सुन सुन के शिकस्तों की ख़बर टूटते रहना अफ़्लाक से मातम-ज़दा आवाज़ों की आमद रह रह के सितारों के गजर टूटते रहना यलग़ार हवाओं की परिंदों की सफ़ों पर आँधी में परी-ज़ादों के पर टूटते रहना दिन भर वही लम्हात से रहना मुतसादिम शब भर वही लम्हों की कमर टूटते रहना मलबे पे सवार आख़िरी फ़ातेह की तरह थे बच्चों का मिरे खेल था घर टूटते रहना लड़कों का अलमिय्या कि मसें तक नहीं भीगीं शाख़ों से सभी कच्चे समर टूटते रहना

har saañs meñ mismār khañDar TūTte rahnā
Musavvir Sabzwari
Musavvir Sabzwari
Musavvir Sabzwari
poet91 quotes

More by Musavvir Sabzwari

View all →
Quote
"baraabar khvaab se chehron ki hijrat dekhte rahnaa guzar chukne pe bhi vo shaam-e-rahlat dekhte rahnaa dhanak ki baarishein barfaab shahron par nahin hotin yahaan phulon kaa rasta umr bhar mat dekhte rahnaa kitaabon ki tahon mein DhunDhnaa naa-dida ashyaa kaa palaT kar phir koi khaali ibaarat dekhte rahnaa hujum-e-shahr ke sannaaTe mein gum-sum vo Tiila saa usi ko aate jaate be-zarurat dekhte rahnaa jise main chhu nahin saktaa dikhaai kyuun vo detaa hai farishton jaisi bas meri ibaadat dekhte rahnaa 'musavvir' kuchh na kahne kaa ye dukh bhi sakht zaalim hai talab kar legi lafzon ki adaalat dekhte rahnaa"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari
Quote
"yuun chup hai shahr jaise ki kuchh bhi huaa na ho shaayad ab is ke baad koi haadisa na ho kaanpaa hai barg barg saa jo be-sabab abhi ye jism aandhiyon kaa koi raasta na ho main thak chukaa huun dasht-e-masaafat ki dhuup mein koi saraab raah mari dekhtaa na ho tughyaan-e-bevafaai mein Duubaa rahun main kaash mere nasib mein tujhe ab dekhnaa na ho ubhri hai khushk patton mein ik chikh duur tak be-rahm koi paanv unhein raundtaa na ho sham-e-taraf jalaane se pahle hi dekh lo ye dasht-e-naa-muraadi-e-dil kaa diyaa na ho jo shakhs kal milaa thaa 'musavvir' ba-tarz-e-khaas us ki hi shakl kaa vo koi dusraa na ho"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari
Quote
"ziyaan hai jaan kaa ye kaarobaar mat karnaa sabaa se saae se khushbu se pyaar mat karnaa hamein vahaan ke bagule bane jo kahte the tavaaf-e-kucha-e-shahr-e-nigaar mat karnaa main Dhalti dhuup ki lau huun miraa bharosa kyaa nigaah-e-shaam miraa intizaar mat karnaa na khud tumhin pe kuchh ilzaam-e-vaqt aa jaae hamaaraa shikva-e-sabr-o-qaraar mat karnaa ye sach hai ishq hi saabit-qadam nahin meraa main kah rahaa huun miraa e'tibaar mat karnaa abhi hai ku-ba-ku phirnaa tujhe 'musavvir' abhi umid-e-saaya-e-divaar-e-yaar mat karnaa"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb