SHAWORDS

har taraf us ke sunahre lafz hain phaile hue — Ambar Bahraichi

"har taraf us ke sunahre lafz hain phaile hue aur ham kaajal ki ik tahrir mein Duube hue chaandni ke shahr mein hamraah thaa vo bhi magar duur tak khaamoshiyon ke saaz the bajte hue hans rahaa thaa vo hari rut ki suhaani chhaanv mein daf'atan har ik shajar ke pairahan maile hue aaj ik maa'sum bachchi ki zabaan khinchi gai meri basti mein andhere aur bhi gahre hue har gali mein thiin siyah parchhaaiyon ki yurishein shab kai gunge malak har chhat pe the baiThe hue sab adaaein vaqt ki vo jaantaa hai is liye TaaT ke niche sunahraa taaj hai rakkhe hue soup ke daane kabutar chug rahaa thaa aur vo sahn ko mahkaa rahi thi sunnatein paDhte hue raat 'ambar' kahkashaan se duub ye kahne lagi chhaanv mein meri hazaaron chaand hain soe hue"
Urdu

ہر طرف اس کے سنہرے لفظ ہیں پھیلے ہوئے اور ہم کاجل کی اک تحریر میں ڈوبے ہوئے چاندنی کے شہر میں ہم راہ تھا وہ بھی مگر دور تک خاموشیوں کے ساز تھے بجتے ہوئے ہنس رہا تھا وہ ہری رت کی سہانی چھاؤں میں دفعتاً ہر اک شجر کے پیرہن میلے ہوئے آج اک معصوم بچی کی زباں کھینچی گئی میری بستی میں اندھیرے اور بھی گہرے ہوئے ہر گلی میں تھیں سیہ پرچھائیوں کی یورشیں شب کئی گونگے ملک ہر چھت پہ تھے بیٹھے ہوئے سب ادائیں وقت کی وہ جانتا ہے اس لیے ٹاٹ کے نیچے سنہرا تاج ہے رکھے ہوئے سوپ کے دانے کبوتر چگ رہا تھا اور وہ صحن کو مہکا رہی تھی سنتیں پڑھتے ہوئے رات عنبرؔ کہکشاں سے دوب یہ کہنے لگی چھاؤں میں میری ہزاروں چاند ہیں سوئے ہوئے

Hindi

हर तरफ़ उस के सुनहरे लफ़्ज़ हैं फैले हुए और हम काजल की इक तहरीर में डूबे हुए चाँदनी के शहर में हमराह था वो भी मगर दूर तक ख़ामोशियों के साज़ थे बजते हुए हँस रहा था वो हरी रुत की सुहानी छाँव में दफ़'अतन हर इक शजर के पैरहन मैले हुए आज इक मा'सूम बच्ची की ज़बाँ खींची गई मेरी बस्ती में अँधेरे और भी गहरे हुए हर गली में थीं सियह परछाइयों की यूरिशें शब कई गूँगे मलक हर छत पे थे बैठे हुए सब अदाएँ वक़्त की वो जानता है इस लिए टाट के नीचे सुनहरा ताज है रक्खे हुए सूप के दाने कबूतर चुग रहा था और वो सहन को महका रही थी सुन्नतें पढ़ते हुए रात 'अम्बर' कहकशाँ से दूब ये कहने लगी छाँव में मेरी हज़ारों चाँद हैं सोए हुए

har taraf us ke sunahre lafz haiñ phaile hue
Ambar Bahraichi
Ambar Bahraichi
Ambar Bahraichi
poet36 quotes

More by Ambar Bahraichi

View all →
Quote
"burida baazuon mein vo parind laala-baar thaa shikaariyon ke ghol mein ajiib intishaar thaa hare phalon ko toDti hui havaa guzar gai bujhi bujhi fazaa mein har darakht sogvaar thaa safar kaa aakhiri paDaav aa gayaa thaa aur main jo ham-safar bichhaD rahe the un pe ashk-baar thaa gae the ham bhi bahr ki tahon mein jhumte hue har ek siip ke labon mein sirf regzaar thaa dhuli dhuli fazaa mein ho gai abas vo justuju ki manzar-e-nazar-navaaz to pas-e-ghubaar thaa dam-e-sahar na jaane jaane kaun aa gayaa use ravaan the ashk ankhDiyon se haath mein sitaar thaa jo vaqt aa gayaa tamaam tiir TuTte gae usi nai kamaan pe to mujhe bhi e'tibaar thaa baras rahi thi aag is dayaar-e-sang mein magar mire lahu mein gul-fishaan vo champai azaar thaa ajiib thi sarisht bhi hamaare dhaan paan ki kabhi to bahr-e-be-karaan kabhi saraab-zaar thaa"
Ambar BahraichiAmbar Bahraichi
Quote
"mire chehre pe jo aansu giraa thaa na jaane kitne shoalon mein jalaa thaa hamaare kaan bahre ho gae the udhar vo daastaan-go hans rahaa thaa andheri raat sannaaTe kaa aalam nadi ke paar ik lapkaa jagaa thaa bahut aazaar the raste mein lekin lahu mein phul-mausam hans rahaa thaa havaa-e-garm yuun dil mein chali thi miri aankhon mein saavan bas gayaa thaa andhere dasht se nikle ki dekhaa savaa neze pe suraj aa chukaa thaa labon pe thi mire subh-e-tabassum mire baatin mein koi ro rahaa thaa bahut din baad khul kar mil rahe the mire bachchon ko jaane kyaa huaa thaa bahut mushtaaq thaa shahr-e-khamoshaan ki basti mein faqat 'amabar' bachaa thaa"
Ambar BahraichiAmbar Bahraichi
Quote
"chehron pe zar-posh andhere phaile hain ab jiine ke Dhang baDe hi mahnge hain haathon mein suraj le kar kyuun phirte hain is basti mein ab dida-var kitne hain qadron ki shab-rezi par hairaani kyuun zehnon mein ab kaale suraj palte hain har bhare jangal kaT kar ab shahr hue banjaare ki aankhon mein sannaaTe hain phulon vaale Taapu to gharqaab hue aag agle nae jazire ubhre hain us ke bosida-kapDon par mat jaao mast qalandar ki jholi mein hiire hain zikr karo ho mujh se kyaa tughyaani kaa saahil par hi apne rain basere hain is vaadi kaa to dastur niraalaa hai phuul saron par kankar patthar Dhote hain 'amabar' laakh savaa pankhi mausam aaein olon ki zad mein anmol parinde hain"
Ambar BahraichiAmbar Bahraichi
Quote
"darvaaza vaa kar ke roz nikaltaa thaa sirf vahi apne ghar kaa sarmaaya thaa khaDe hue the peD jaDon se kaT kar bhi tez havaa kaa jhonkaa aane vaalaa thaa usi nadi mein us ke bachche Duub gae usi nadi kaa paani us kaa piinaa thaa sabz qabaaein roz luTaataa thaa lekin khud us ke tan par bosida kapDaa thaa baahar saare maidaan jiit chukaa thaa vo ghar lauTaa to pal bhar mein hi TuuTaa thaa but ki qimat aank rahaa thaa vaise vo mandir mein to puujaa karne aayaa thaa chikh paDin saari divaarein 'amabar'-ji main sab se chhup kar kamre mein baiThaa thaa"
Ambar BahraichiAmbar Bahraichi
Quote
"jalte hue jangal se guzarnaa thaa hamein bhi phir barf ke sahraa mein Thaharnaa thaa hamein bhi me'yaar-navaazi mein kahaan us ko sukun thaa us shokh ki nazron se utarnaa thaa hamein bhi jaan bakhsh thaa pal bhar ke liye lams kisi kaa phir karb ke dariyaa mein utarnaa thaa hamein bhi yaaron ki nazar hi mein na the pankh hamaare khud apni uDaanon ko katarnaa thaa hamein bhi vo shahd mein Duubaa huaa lahja vo takhaatub ikhlaas ke vo rang ki Darnaa thaa hamein bhi yaad aae jo qadron ke mahakte hue gulban chaandi ke hisaaron se ubharnaa thaa hamein bhi sone ke hinDole mein vo khush-posh magan thaa mausam bhi suhaanaa thaa sanvarnaa thaa hamein bhi har phuul pe us shakhs ko patthar the chalaane ashkon se har ik barg ko bharnaa thaa hamein bhi us ko thaa bahut naaz khad-o-khaal pe 'ambar' ik roz tah-e-khaak bikharnaa thaa hamein bhi"
Ambar BahraichiAmbar Bahraichi
Quote
"main apni vusaton ko us gali mein bhuul jaataa huun na jaane kaun se jaadu ke haathon mein khilaunaa huun safar ye paaniyon kaa jab mujhe be-aab kartaa hai main dariyaa ki rupahli ret ko bistar banaataa huun savaalon ke kai patthar uThaae log baiThe hain main apnaa nanhaa bachcha qabr mein dafnaa ke lauTaa huun na jaane kis fazaa mein kho gayaa vo dudhiyaa aanchal ki jis ke faiz se main kitni aankhon kaa ujaalaa huun vo suraj mere chaaron samt hai phailaa huaa lekin main aksar ajnabi dhundlaahaTon mein Duub jaataa huun lipaT jaati hai meri ungliyon se khud shafaq aa kar sahar ki samt jab main apne haathon ko baDhaataa huun koi to hai ki jo mujh ko ujaale bakhsh jaataa hai ba-zaahir main kisi taarik Taapu mein akelaa huun mire siine mein 'ambar' ik dhanak si phail jaati hai main apne aansuon ki chaandni mein she'r likhtaa huun"
Ambar BahraichiAmbar Bahraichi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud