"zamin pe jab kabhi jalve nazar ke dekhte hain ham aasmaan se aksar utar ke dekhte hain balaa kaa husn hai us ki subuk adaaon mein jo be-niyaaz hain vo bhi Thahar ke dekhte hain ye hausla hai hamaaraa ki baal-o-par apne uDaan bharne se pahle katar ke dekhte hain zarur dil mein koi khvaahish-e-safar hogi vo baar-baar hamein kyon sanvar ke dekhte hain unhi ko milti hai har gaam pe nai manzil tamaam 'umr jo imkaan safar ke dekhte hain vo naa-tavaan ho yaa ghaazi yaa ahl-e-sarvat ho tamaam log tumhein aah bhar ke dekhte hain jise zamaana samajhtaa hai pur-khatar 'saahil' ham aisi raah se aksar guzar ke dekhte hain"
hasrat-e-dida-e-shab-taab liye baiThe hain — Naeem Sahil
"hasrat-e-dida-e-shab-taab liye baiThe hain apni aankhon mein ham ik khvaab liye baiThe hain shahr-e-hasti mein kuchh aise bhi hamein log mile apni fitrat mein jo girdaab liye baiThe hain ham ne khud ko bhi khangaalaa hai samundar ki tarah haath mein gauhar-e-naayaab liye baiThe hain mujh pe allaah ki rahmat hai jo zinda huun main varna khanjar mire ahbaab liye baiThe hain haq-bayaani se jo Darte hain sar-e-mahfil vo zehn mein mimbar-o-mehraab liye baiThe hain zo'm ye hai ki unhin ko hi milegi jannat jo tabaahi ke har asbaab liye baiThe hain dard kyaa samjheinge 'saahil' vo siyah raaton kaa apne pahlu mein jo mahtaab liye baiThe hain"
حسرت دیدۂ شب تاب لئے بیٹھے ہیں اپنی آنکھوں میں ہم اک خواب لئے بیٹھے ہیں شہر ہستی میں کچھ ایسے بھی ہمیں لوگ ملے اپنی فطرت میں جو گرداب لئے بیٹھے ہیں ہم نے خود کو بھی کھنگالا ہے سمندر کی طرح ہاتھ میں گوہر نایاب لئے بیٹھے ہیں مجھ پہ اللہ کی رحمت ہے جو زندہ ہوں میں ورنہ خنجر مرے احباب لئے بیٹھے ہیں حق بیانی سے جو ڈرتے ہیں سر محفل وہ ذہن میں منبر و محراب لئے بیٹھے ہیں زعم یہ ہے کہ انہیں کو ہی ملے گی جنت جو تباہی کے ہر اسباب لئے بیٹھے ہیں درد کیا سمجھیں گے ساحلؔ وہ سیہ راتوں کا اپنے پہلو میں جو مہتاب لئے بیٹھے ہیں
हसरत-ए-दीदा-ए-शब-ताब लिए बैठे हैं अपनी आँखों में हम इक ख़्वाब लिए बैठे हैं शहर-ए-हस्ती में कुछ ऐसे भी हमें लोग मिले अपनी फ़ितरत में जो गिर्दाब लिए बैठे हैं हम ने ख़ुद को भी खंगाला है समुंदर की तरह हाथ में गौहर-ए-नायाब लिए बैठे हैं मुझ पे अल्लाह की रहमत है जो ज़िंदा हूँ मैं वर्ना ख़ंजर मिरे अहबाब लिए बैठे हैं हक़-बयानी से जो डरते हैं सर-ए-महफ़िल वो ज़ेहन में मिम्बर-ओ-मेहराब लिए बैठे हैं ज़ो'म ये है कि उन्हीं को ही मिलेगी जन्नत जो तबाही के हर अस्बाब लिए बैठे हैं दर्द क्या समझेंगे 'साहिल' वो सियह रातों का अपने पहलू में जो महताब लिए बैठे हैं

More by Naeem Sahil
View all →"'ishq jab maange hai bas saada-dili maange hai husn be-saakhta aashufta-sari maange hai aa gayaa raas zamaane ko jab andaaz miraa aaina bhi hunar-e-shisha-gari maange hain sab ki qismat mein kahaan hotaa hai khush-rang hayaat falsafa 'ishq kaa lamhon se sadi maange hai dard uThtaa hai to ik pal mein taDap jaataa hai sokhta dil miraa sandal ki nami maange hai jaan jaaoge to hairaani tumhein bhi hogi kaun kis kis se yahaan tishna-labi maange hai kahni paDti hai ghazal hasb-e-maraatib us ke qaafiya roz nayaa harf-e-ravi maange hai gumrahi kyon na baDhe had se ziyaada 'saahil' jo bhi naa-ahl hai vo raahbari maange hai"
"jab kabhi apni tamannaaon kaa gulshan dekhaa main ne dil-soz zamaane ko bhi dushman dekhaa apne baare mein ghalat-fahmi hui hai jab bhi main ne har baar puraanaa koi darpan dekhaa is qadar khoyaa huaa thaa main tiri yaadon mein sahraa dekhaa na kabhi raah mein gulshan dekhaa kaifiyat dil ki bayaan karti thiin aankhein sab ki main ne har shakhs kaa bhigaa huaa daaman dekhaa dushmani mein bhi mohabbat se vo pesh aataa hai us ke jaisaa na koi dost na dushman dekhaa ho gayaa us ki main 'azmat kaa jahaan mein qaail jab kahin bhi kisi daanaa ko firotan dekhaa teraa shaidaai huun main roz-e-azal se 'saahil' zindagi tujh ko har ik daur mein ahsan dekhaa"
"miT gayaa hotaa magar zinda huun tadbir ke saath roz hotaa hai tamaasha miri taqdir ke saath kyaa zaruri hai kai khvaab sunahre dekhun 'umr kaT jaati hai ik khvaab ki taa'bir ke saath chand ghazlein miri logon ki zabaan par bhi thiin vo mujhe kaise miTaataa miri tahrir ke saath vaqt insaan ke haalaat badal detaa hai kab talak qaid rahegaa koi zanjir ke saath chand lamhon ke liye roz main ji letaa huun jiinaa mushkil bhi nahin ‘izzat-o-tauqir ke saath kyon na ho aap kaa charchaa yahaan mahfil mahfil aap chhupte hain risaalon mein bhi tasvir ke saath kaamyaabi tiri qismat mein likhi hai 'saahil' do nishaane hain tire zehn mein ik tiir ke saath"
"duniyaa kahti hai kyaa an-sunaa kijiye saamne aaina rakh liyaa kijiye aaj-kal har safar mukhtasar hai bahut jald az jald har faisla kijiye aap ke shahr mein ek muddat se hain ham hain kis haal mein kuchh pata kijiye zindagi kaa safar tanhaa kaTtaa nahin 'ishq hai gar khataa to khataa kijiye ye sunaa hai ki suntaa hai rab aap ki mere haq mein kabhi to du'aa kijiye dard achchhaa nahin 'umr bhar ke liye mundamil zakhm ko mat haraa kijiye aap 'saahil' ki baaton mein mat aaiye dil jo kahtaa hai us ko sunaa kijiye"
"fazaa dushvaar-e-jaan ho to mohabbat aur baDhti hai koi jab raasta roke to himmat aur baDhti hai gile-shikve chalo mil baiTh kar sab duur ham kar lein nigaahein pher lene se kudurat aur baDhti hai hamaaraa mashvara ahl-e-jahaan ko raas kyon aae buraa jab vaqt hotaa hai himaaqat aur baDhti hai kisi mazlum ke haq mein kabhi sach bol kar dekho har ik insaan ki nazron mein 'izzat aur baDhti hai hamein aagaah kartaa hai hamesha hi buraai se khilaaf-e-qalb jaane par nadaamat aur baDhti hai yuun kahne ko hazaaron log kahte hain ghazal lekin saliqe se kahi jaae to shohrat aur baDhti hai khamoshi buzdili ki hai 'alaamat is liye 'saahil' 'adu ke zulm Dhaane ki jasaarat aur baDhti hai"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"