SHAWORDS

havaa kyaa hashr barpaati nahin hai — Ahmad Nesar

HomeAhmad NesarGhazal
"havaa kyaa hashr barpaati nahin hai miri saanson ko mahkaati nahin hai yahaan jazbon ke sote phuTte hain nadi aankhon ki barsaati nahin hai koi bhi subh jo hamdard nikle koi bhi shaam jo ghaati nahin hai musalsal ghumne mehvar pe apne ye duniyaa phir bhi chakraati nahin hai makin saare hain sab kaa aashiyaana kisi kaa mulk ye zaati nahin hai kaTaa ik peD aangan kaa hamaare nahusat ghar se ab jaati nahin hai baDaa ehsaan gardish ne kiyaa ye hamaare saath uktaati nahin hai"
Urdu

ہوا کیا حشر برپاتی نہیں ہے مری سانسوں کو مہکاتی نہیں ہے یہاں جذبوں کے سوتے پھوٹتے ہیں ندی آنکھوں کی برساتی نہیں ہے کوئی بھی صبح جو ہمدرد نکلے کوئی بھی شام جو گھاتی نہیں ہے مسلسل گھومنے محور پہ اپنے یہ دنیا پھر بھی چکراتی نہیں ہے مکیں سارے ہیں سب کا آشیانہ کسی کا ملک یہ ذاتی نہیں ہے کٹا اک پیڑ آنگن کا ہمارے نحوست گھر سے اب جاتی نہیں ہے بڑا احسان گردش نے کیا یہ ہمارے ساتھ اکتاتی نہیں ہے

Hindi

हवा क्या हश्र बरपाती नहीं है मिरी साँसों को महकाती नहीं है यहाँ जज़्बों के सोते फूटते हैं नदी आँखों की बरसाती नहीं है कोई भी सुब्ह जो हमदर्द निकले कोई भी शाम जो घाती नहीं है मुसलसल घूमने मेहवर पे अपने ये दुनिया फिर भी चकराती नहीं है मकीं सारे हैं सब का आशियाना किसी का मुल्क ये ज़ाती नहीं है कटा इक पेड़ आँगन का हमारे नहूसत घर से अब जाती नहीं है बड़ा एहसान गर्दिश ने किया ये हमारे साथ उकताती नहीं है

havā kyā hashr barpātī nahīñ hai
Ahmad Nesar
Ahmad Nesar
Ahmad Nesar
poet7 quotes

More by Ahmad Nesar

View all →
Quote
"khud par nahin tuyur ki ab dastaras ki bas masti mein jaa rahe hain yuun su-e-qafas ki bas khvaahish kahaan uruuj se utri hai zer-e-khaak mazbut duur se use is tarah kas ki bas mahkaa huaa vajud hai raushan hai meri khaak aise ravaan hai phir teri bu-e-nafas ki bas har dam tire khayaal ne niilaa kiyaa badan sab zahr khinch le miraa is tarah Das ki bas maktub mein likhaa hai mujhe ab shifaa mile bimaar ko ataa ho kabhi ek mas ki bas aankhein lahu-luhaan thiin chehre bhi the malaal is tarah didani thaa vo sola-baras ki bas ik umr ki thakaan se hai jism shal 'nisaar' manzur ab nahin mujhe bhaang-o-jaras ki bas"
Ahmad NesarAhmad Nesar
Quote
"tu khud ko dekh le kitnaa daraaz-qaamat hai tiraa falak to mire chaand ki badaulat hai kisi bhi haal mein ham kharch kar nahin sakte hamaaraa dard tiri di hui amaanat hai miraa vajud abhi barf ki misaal nahin bachi hui abhi is raakh mein tamaazat hai javaab iinT kaa denaa paDegaa patthar se yahi hai rasm yahaan ki yahi rivaayat hai ajiib chaar-taraf hai fazaa mein khaamoshi ye kyaa maqaam hai kis qahr ki alaamat hai nahin charaagh to jugnu kaa qaafila bheje bahut siyaah hai rasta bahut zarurat hai 'nisaar' tez qadam hai bahut ye duniyaa to ki ab paDaav bhi karnaa tujhe qayaamat hai"
Ahmad NesarAhmad Nesar
Quote
"bujhti aankhon se miri khvaab kahaan jaataa hai ab mujhe le ke ye sailaab kahaan jaataa hai ruuh to kab se pareshaan hai numu ki khaatir musht bhar khitta-e-shaadaab kahaan jaataa hai apni hasti mein to tufaan khinche aate hain hai jo paanv mein vo girdaab kahaan jaataa hai us ki taqdir mein likkhaa hai nami mein rahnaa chhoD kar aab ko surkhaab kahaan jaataa hai apni tahzib kaa ham paas bahut rakhte hain ghusse mein lahja-e-aadaab kahaan jaataa hai jaagnaa meri nigaahon kaa muqaddar hai 'nisaar' aankh se jalva-e-mahtaab kahaan jaataa he"
Ahmad NesarAhmad Nesar
Quote
"tamaam jism agar laa-ubaal hai to rahe vahi jo dasht mein tanhaa ghazaal hai to rahe faqir bhuul chukaa hai nisaab duniyaa kaa tire nasib mein maal-o-manaal hai to rahe 'aziz rakhti hai mujh ko vatan ki khaak bahut tire khulus mein ranj-o-malaal hai to rahe kiyaa hai jang ko rukhsat magar du'aa de kar 'adu ke paas agar us ki Dhaal hai to rahe talaash karne ko nikle bahut se log tujhe nishaan qadmon kaa milnaa muhaal hai to rahe hisaar baandh rahi hai 'nisaar' sarshaari khilaaf aaj junub-o-shumaal hai to rahe"
Ahmad NesarAhmad Nesar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud