SHAWORDS

hijr-e-paiham hai kyaa kiyaa jaae — Ejaz Haidar

HomeEjaz HaidarGhazal
"hijr-e-paiham hai kyaa kiyaa jaae mustaqil gham hai kyaa kiyaa jaae ek tasvir saamne hai magar aankh pur-nam hai kyaa kiyaa jaae us ki aadat hai der kar denaa zindagi kam hai kyaa kiyaa jaae saunp detaa havaa ko khaak apni par abhi nam hai kyaa kiyaa jaae kaisaa jhagDaa hai mere andar ye shor har dam hai kyaa kiyaa jaae main huun tanhaa aur aap ke haq mein ek aalam hai kyaa kiyaa jaae jhuuT kaa aur adl kaa 'haidar' rabt-e-baaham hai kyaa kiyaa jaae"
Urdu

ہجر پیہم ہے کیا کیا جائے مستقل غم ہے کیا کیا جائے ایک تصویر سامنے ہے مگر آنکھ پر نم ہے کیا کیا جائے اس کی عادت ہے دیر کر دینا زندگی کم ہے کیا کیا جائے سونپ دیتا ہوا کو خاک اپنی پر ابھی نم ہے کیا کیا جائے کیسا جھگڑا ہے میرے اندر یہ شور ہر دم ہے کیا کیا جائے میں ہوں تنہا اور آپ کے حق میں ایک عالم ہے کیا کیا جائے جھوٹ کا اور عدل کا حیدرؔ ربط باہم ہے کیا کیا جائے

Hindi

हिज्र-ए-पैहम है क्या किया जाए मुस्तक़िल ग़म है क्या किया जाए एक तस्वीर सामने है मगर आँख पुर-नम है क्या किया जाए उस की आदत है देर कर देना ज़िंदगी कम है क्या किया जाए सौंप देता हवा को ख़ाक अपनी पर अभी नम है क्या किया जाए कैसा झगड़ा है मेरे अन्दर ये शोर हर दम है क्या किया जाए मैं हूँ तन्हा और आप के हक़ में एक आलम है क्या किया जाए झूट का और अद्ल का 'हैदर' रब्त-ए-बाहम है क्या किया जाए

hijr-e-paiham hai kyā kiyā jaa.e
Ejaz Haidar
Ejaz Haidar
Ejaz Haidar
poet11 quotes

More by Ejaz Haidar

View all →
Quote
"ajiib tarah kaa ik gham hai jaan se lipTaa huaa bagulaa jaise koi baadbaan se lipTaa huaa main likhne baiThun to kaaghaz hi bhiig jaataa hai vo shakhs yuun hai miri daastaan se lipTaa huaa talab sukun mein kartaa huun be-sukuni se ki meraa suud hai mere ziyaan se lipTaa huaa main niind mein huun magar khvaab kis tarah dekhun miraa shuur hai mere gumaan se lipTaa huaa agarche niind mujhe ab bhi aa hi jaati hai magar vo niind ki sotaa thaa maan se lipTaa huaa baghair puchhe mujhe raasta bataataa hai koi to hai ki mire kaarvaan se lipTaa huaa"
Ejaz HaidarEjaz Haidar
Quote
"khushi ki baat thi lekin mujhe rulaa gai hai kahaan se baat chali thi kahaan tak aa gai hai miraa khudaa to yaqinan bharam rakhegaa miraa main jaantaa huun ki us tak miri duaa gai hai main aam taur pe chaltaa huun us se aage magar kahin kahin mire aage miri anaa gai hai main apne naam ki takhti nahin lagaataa kahin miraa pata miri be-maaegi bataa gai hai sanbhal ke baiTh tu masnad pe saahib-e-mansab kisi ki jaan kisi ki yahaan qabaa gai hai tujhe ye zoam faqat tu thaa raunaq-e-mahfil jaras ki guunj tire baad jaa-ba-jaa gai hai"
Ejaz HaidarEjaz Haidar

More on Zindagi

View all →
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"
Irfan SattarIrfan Sattar