"paain har ek raah-guzar par udaasiyaan nikli hui hain kab se safar par udaasiyaan khvaabida shahr jaagne vaalaa hai lauT aao baiThi hui hain shaam se ghar par udaasiyaan main khauf se laraztaa rahaa paDh nahin sakaa phaili hui thiin ek khabar par udaasiyaan suraj ke haath sabz qabaaon tak aa gae ab hain yahaan har ek shajar par udaasiyaan apne bhi khatt-o-khaal nigaahon mein ab nahin is tarah chhaa gai hain nazar par udaasiyaan phailaa rahaa hai kaun kabhi sochtaa huun main khvaabon ke ek ek nagar par udaasiyaan sab log ban gae hain agar ajnabi to kyaa chhoD aaeingi mujhe mire dar par udaasiyaan"
ik parinda abhi uDaan mein hai — Ameer Qazalbash
"ik parinda abhi uDaan mein hai tiir har shakhs ki kamaan mein hai jis ko dekho vahi hai chup chup saa jaise har shakhs imtihaan mein hai kho chuke ham yaqin jaisi shai tu abhi tak kisi gumaan mein hai zindagi sang-dil sahi lekin aaina bhi isi chaTaan mein hai sar-bulandi nasib ho kaise sar-nigun hai ki saaebaan mein hai khauf hi khauf jaagte sote koi aaseb is makaan mein hai aasraa dil ko ik umiid kaa hai ye havaa kab se baadbaan mein hai khud ko paayaa na umr bhar ham ne kaun hai jo hamaare dhyaan mein hai"
اک پرندہ ابھی اڑان میں ہے تیر ہر شخص کی کمان میں ہے جس کو دیکھو وہی ہے چپ چپ سا جیسے ہر شخص امتحان میں ہے کھو چکے ہم یقین جیسی شے تو ابھی تک کسی گمان میں ہے زندگی سنگ دل سہی لیکن آئینہ بھی اسی چٹان میں ہے سربلندی نصیب ہو کیسے سرنگوں ہے کہ سائبان میں ہے خوف ہی خوف جاگتے سوتے کوئی آسیب اس مکان میں ہے آسرا دل کو اک امید کا ہے یہ ہوا کب سے بادبان میں ہے خود کو پایا نہ عمر بھر ہم نے کون ہے جو ہمارے دھیان میں ہے
इक परिंदा अभी उड़ान में है तीर हर शख़्स की कमान में है जिस को देखो वही है चुप चुप सा जैसे हर शख़्स इम्तिहान में है खो चुके हम यक़ीन जैसी शय तू अभी तक किसी गुमान में है ज़िंदगी संग-दिल सही लेकिन आईना भी इसी चटान में है सर-बुलंदी नसीब हो कैसे सर-निगूँ है कि साएबान में है ख़ौफ़ ही ख़ौफ़ जागते सोते कोई आसेब इस मकान में है आसरा दिल को इक उमीद का है ये हवा कब से बादबान में है ख़ुद को पाया न उम्र भर हम ने कौन है जो हमारे ध्यान में है

More by Ameer Qazalbash
View all →"vo ik lafz jo be-sadaa jaaegaa vahi muddaton tak sunaa jaaegaa koi hai jo mere taaaqub mein hai mujhe meraa chehra dikhaa jaaegaa vo ik shakhs jo dushman-e-jaan sahi magar phir bhi apnaa kahaa jaaegaa jalegi koi mishal-e-jaan abhi magar phir andheraa saa chhaa jaaegaa nafi-e-jurat-e-haq-numaai sahi magar kab kisi se kahaa jaaegaa yahaan ik shajar muntazir saa bhi hai ab aakhir kahaan tak chalaa jaaegaa main vo mishal-e-nim-shab huun 'amir' jise kal kaa suraj bujhaa jaaegaa"
"tumhaari maang mein sindur jab se dekhaa hai hamaare saamne tanhaaiyon kaa chehra hai ik aur 'umr guzaarungaa dasht-e-vahshat mein sunaa ye hai ki abhi bastiyon mein khatra hai chhupaa rahaa hai kisi karb ko kisi gham ko jo hans rahaa hai musalsal vo shakhs jhuTaa hai tumhaare baa'd main is shahr mein akelaa thaa ye kaun hai jo mire saath saath chaltaa hai Dubo sakegaa na tufaan-e-tirgi us ko jo aaftaab mire zehn ne taraashaa hai"
"dard kaa shahr kahin karb kaa sahraa hogaa log vaaqif the koi ghar se na niklaa hogaa vo jo ik shakhs ba-zid hai ki bhulaa do mujh ko bhuul jaaun to usi shakhs ko sadma hogaa aankh khulte hi bichhaD jaaegaa har manzar-e-shab chaand phir subh ke maqtal mein akelaa hogaa jin ujaalon ki taraf dauD rahi hai duniyaa un ujaalon mein qayaamat kaa andheraa hogaa ek ummid har ik dar pe liye jaati hai ye miraa shahr thaa koi to shanaasaa hogaa"
"kahin salib kahin karbalaa nazar aae jidhar nigaah uThe zakhm saa nazar aae bujhi hai pyaas zamin ki to ye tapish kyuun hai vo abr hai to barastaa huaa nazar aae bajaa hai apni aqidat magar savaal ye hai vo aadmi ho to kyunkar khudaa nazar aae chalo ki gher lein us ko lahu lahu chehre har ek samt use aaina nazar aae hamin ne tan se judaa kar liyaa hai sar apnaa bas ek ham the jo sab se judaa nazar aae kahaan kahaan abhi imkaan-e-zindagi hai 'amir' dhuaan chhaTe to koi raasta nazar aae"
"agar masjid se vaaiz aa rahe hain qadam kyuun Dagmagaae jaa rahe hain kisi ki bevafaai kaa gila thaa na jaane aap kyuun sharmaa rahe hain ye divaana kisi ki kyaa sunegaa ye divaane kise samjhaa rahe hain manaane ke liye jashn-e-bahaaraan nasheman bhi jalaae jaa rahe hain 'amir' un ko hai fikr-e-chashm-e-nam bhi vo daaman bhi bachaae jaa rahe hain"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"