SHAWORDS

imkaan se baahar kabhi aasaar se aage — Khalid Karrar

HomeKhalid KarrarGhazal
"imkaan se baahar kabhi aasaar se aage mahshar hai mire dida-e-khun-baar se aage irfaan ki had yaa mire paikar ki sharaarat niklaa miraa saaya miri dastaar se aage ik jins-zada nasl hai tahzib ke pichhe baazaar hai ik kucha-o-baazaar se aage suraj hai shab-o-roz taaaqub mein vagarna hai aur bahut raat ke asraar se aage ham log ki manzil ke bhulaave ke giraftaar aasaar se pichhe kabhi aasaar se aage"
Urdu

امکان سے باہر کبھی آثار سے آگے محشر ہے مرے دیدۂ خوں بار سے آگے عرفان کی حد یا مرے پیکر کی شرارت نکلا مرا سایہ مری دستار سے آگے اک جنس زدہ نسل ہے تہذیب کے پیچھے بازار ہے اک کوچہ و بازار سے آگے سورج ہے شب و روز تعاقب میں وگرنہ ہے اور بہت رات کے اسرار سے آگے ہم لوگ کہ منزل کے بھلاوے کے گرفتار آثار سے پیچھے کبھی آثار سے آگے

Hindi

इम्कान से बाहर कभी आसार से आगे महशर है मिरे दीदा-ए-ख़ूँ-बार से आगे इरफ़ान की हद या मिरे पैकर की शरारत निकला मिरा साया मिरी दस्तार से आगे इक जिंस-ज़दा नस्ल है तहज़ीब के पीछे बाज़ार है इक कूचा-ओ-बाज़ार से आगे सूरज है शब-ओ-रोज़ तआक़ुब में वगरना है और बहुत रात के असरार से आगे हम लोग कि मंज़िल के भुलावे के गिरफ़्तार आसार से पीछे कभी आसार से आगे

imkān se bāhar kabhī āsār se aage
Khalid Karrar
Khalid Karrar
Khalid Karrar
poet21 quotes

More by Khalid Karrar

View all →
Quote
"dasht hai kaun-o-makaan aur laa-makaan duur tak vahm-o-gumaan aur laa-makaan ibtidaa na intihaa na raasta main abad ke darmiyaan aur laa-makaan ek dhaDkaa khaak mein Daalaa huaa ek sa’i-e-raaegaan aur laa-makaan jal-bujhaa hai aag mein meraa paDaao chaar-su meraa dhuaan aur laa-makaan ik zamin-e-be-yaqini mere saath ik gumaan-e-laa-gumaan aur laa-makaan ek sahraa zaat se aage kahin ek hijrat darmiyaan aur laa-makaan baadalon mein gum hue jaate hain sab kaarvaan-dar-kaarvaan aur laa-makaan ek sayyaara mire raste mein hai varna main thaa aasmaan aur laa-makaan"
Khalid KarrarKhalid Karrar
Quote
"vurud-e-jism thaa jaan kaa azaab hone lagaa lahu mein utraa magar zahr aab hone lagaa koi to aae sunaae naved-e-taaza mujhe uTho ki hashr se pahle hisaab hone lagaa use shubah hai jhulas jaaegaa vo saath mire mujhe ye khauf ki main aaftaab hone lagaa phir us ke saamne chup ki kaDi labon pe lagi miraa ye mansab-e-harf aab aab hone lagaa main apne khol mein khush bhi thaa mutmain bhi thaa main apni khaak se niklaa kharaab hone lagaa zarur mujh se ziyaada hai us mein kuchh 'khaalid' miraa harif agar fatah-yaab hone lagaa"
Khalid KarrarKhalid Karrar
Quote
"baat ye hai ki koi baat puraani bhi nahin aur is khaak mein ab koi nishaani bhi nahin ye to zaahir mein tamavvuj thaa balaa kaa lekin ye badan meraa jahaan koi ravaani bhi nahin yaa to ik mauj-e-balaa-khez hai meri khaatir yaa ki mashkiza-e-jaan mein kahin paani bhi nahin baat ye hai ki sabhi bhaai mire dushman hain masala ye hai ki main yusuf-e-saani bhi nahin sach to ye hai ki mire paas hi dirham kam hain varna is shahr mein is darja giraani bhi nahin saare kirdaar hain angusht-ba-dandaan mujh mein ab to kahne ko mire paas kahaani bhi nahin ek benaam-o-nasab sach miraa izhaar huaa varna alfaaz mein vo sail-e-maaani bhi nahin"
Khalid KarrarKhalid Karrar
Quote
"kisi ke khvaab ko ehsaas se baandhaa huaa hai bahut pukhta bahut hi paas se baandhaa huaa hai hamaare takht ko mashrut kar rakkhaa hai us ne hamaare taaj ko ban-baas se baandhaa huaa hai siyaahi umr bhar mere taaaqub mein rahegi ki main ne jism ko qirtaas se baandhaa huaa hai mire isbaat ki chaabi ko apne paas rakh kar mire inkaar ko ehsaas se baandhaa huaa hai hamaare baad in aabaadiyon ki khair kiijo samundar ham ne apni pyaas se baandhaa huaa hai sajaa rakkhi hai us ne apni khaatir ek masnad mire aafaaq ko anfaas se baandhaa huaa hai ajab pahre mire afkaar par rakkhe hain 'khaalid' ajab khaTkaa mire ehsaas se baandhaa huaa hai"
Khalid KarrarKhalid Karrar
Quote
"hai mol-bhaao mein baazaar mein hai saath mire vo ek kaar-e-fanaa-zaar mein hai saath mire salib-e-jaan se visaal aasmaan ke saahil tak har ek lazzat-e-aazaar mein hai saath mire kabhi to hero banaataa hai aur kabhi joker har ek rang ke kirdaar mein hai saath mire yahi bahut hai mire jism o jaan kaa hissa hai kahin to mauja-e-khun-baar mein hai saath mire ajab gumaan hai jaise ki sarfaraaz huun main ajiib fitna-e-dastaar mein hai saath mire kabhi mujhe bhi zaraa mojaza-numaa kartaa jo apni zaat ke asraar mein hai saath mire vo dastaras mein hai lekin nazar se ghaaeb hai harif-e-jaan koi paikaar mein hai saath mire main ik nigaah ko mahsus kar rahaa huun mudaam koi to reg-e-fanaa-zaar mein hai saath mire vo saare kheme lagaataa hai phir ukhaaDtaa hai saraab-e-manzil-o-aasaar mein hai saath mire jo chhoD detaa hai dasht-e-zavaal mein tanhaa vo rel-pel mein baazaar mein hai saath mire"
Khalid KarrarKhalid Karrar

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri