"main ghaar mein thaa aur havaa ke baghair thaa ik roz aaftaab ziyaa ke baghair thaa saahil pe aa ke Duub gai naav apne aap ik shakhs us mein apni razaa ke baghair thaa sab ro rahe the khauf ki divaar se lage kohraam thaa ki saut-o-sadaa ke baghair thaa kyuun naqsh-e-paa tamaam kisi daaere mein the ye kaun thaa jo dast-e-duaa ke baghair thaa 'faisal' jo shahr aap hi mismaar ho gayaa kyaa ilm kab se hamd-o-sanaa ke baghair thaa"
in logon mein rahne se ham beghar achchhe the — Faisal Ajmi
"in logon mein rahne se ham beghar achchhe the kuchh din pahle tak to sab ke tevar achchhe the dekh rahaa hai jis hairat se paagal kar degaa aaine se Dar lagtaa hai patthar achchhe the naadida aazaar badan ko ghaarat kar degaa zakhm jo dil mein jaa utre hain baahar achchhe the raat sitaaron vaali thi aur dhuup bharaa thaa din jab tak aankhein dekh rahi thiin manzar achchhe the aakhir kyuun ehsaan kiyaa hai zinda rakhne kaa ham jo mar jaate to banda-parvar achchhe the aankhein bhar aai hain 'faisal' Duub gae hain log in mein kuchh zaalim the lekin aksar achchhe the"
ان لوگوں میں رہنے سے ہم بے گھر اچھے تھے کچھ دن پہلے تک تو سب کے تیور اچھے تھے دیکھ رہا ہے جس حیرت سے پاگل کر دے گا آئینے سے ڈر لگتا ہے پتھر اچھے تھے نادیدہ آزار بدن کو غارت کر دے گا زخم جو دل میں جا اترے ہیں باہر اچھے تھے رات ستاروں والی تھی اور دھوپ بھرا تھا دن جب تک آنکھیں دیکھ رہی تھیں منظر اچھے تھے آخر کیوں احسان کیا ہے زندہ رکھنے کا ہم جو مر جاتے تو بندہ پرور اچھے تھے آنکھیں بھر آئی ہیں فیصلؔ ڈوب گئے ہیں لوگ ان میں کچھ ظالم تھے لیکن اکثر اچھے تھے
इन लोगों में रहने से हम बेघर अच्छे थे कुछ दिन पहले तक तो सब के तेवर अच्छे थे देख रहा है जिस हैरत से पागल कर देगा आईने से डर लगता है पत्थर अच्छे थे नादीदा आज़ार बदन को ग़ारत कर देगा ज़ख़्म जो दिल में जा उतरे हैं बाहर अच्छे थे रात सितारों वाली थी और धूप भरा था दिन जब तक आँखें देख रही थीं मंज़र अच्छे थे आख़िर क्यूँ एहसान किया है ज़िंदा रखने का हम जो मर जाते तो बंदा-परवर अच्छे थे आँखें भर आई हैं 'फ़ैसल' डूब गए हैं लोग इन में कुछ ज़ालिम थे लेकिन अक्सर अच्छे थे

More by Faisal Ajmi
View all →"dukh nahin hai ki jal rahaa huun main raushni mein badal rahaa huun main TuTtaa hai to TuuT jaane do aaine se nikal rahaa huun main rizq miltaa hai kitni mushkil se jaise patthar mein pal rahaa huun main har khazaane ko maar di Thokar aur ab haath mal rahaa huun main khauf gharqaab ho gayaa 'faisal' ab samundar pe chal rahaa huun main"
"us ne dekhaa jo mujhe aalam-e-hairaani mein gir paDaa haath se aaina pareshaani mein aa gae ho to baraabar hi mein khema kar lo main to rahtaa huun isi be-sar-o-saamaani mein is qadar ghaur se mat dekh bhanvar ki jaanib tu bhi chakraa ke na gir jaae kahin paani mein kabhi dekhaa hi nahin is ne pareshaan mujh ko main ki rahtaa huun sadaa apni nigahbaani mein vo miraa dost thaa dushman to nahin thaa 'faisal' main ne har baat bataa di use naadaani mein"
"gir jaae jo divaar to maatam nahin karte karte hain bahut log magar ham nahin karte hai apni tabiat mein jo khaami to yahi hai ham ishq to karte hain magar kam nahin karte nafrat se to behtar hai ki raste hi judaa hon bekaar guzargaahon ko baaham nahin karte har saans mein dozakh ki tapish si hai magar ham suraj ki tarah aag ko maddham nahin karte kyaa ilm ki rote hon to mar jaate hon 'faisal' vo log jo aankhon ko kabhi nam nahin karte"
"mujh ko ye fikr kab hai ki saaya kahaan gayaa suraj ko ro rahaa huun khudaayaa kahaan gayaa phir aaine mein khuun dikhaai diyaa mujhe aankhon mein aa gayaa to chhupaayaa kahaan gayaa aavaaz de rahaa thaa koi mujh ko khvaab mein lekin khabar nahin ki bulaayaa kahaan gayaa kitne charaagh ghar mein jalaae gae na puchh ghar aap jal gayaa hai jalaayaa kahaan gayaa ye bhi khabar nahin hai ki hamraah kaun hai puchhaa kahaan gayaa hai bataayaa kahaan gayaa vo bhi badal gayaa hai mujhe chhoDne ke baad mujh se bhi apne aap mein aayaa kahaan gayaa tujh ko ganvaa diyaa hai magar apne aap ko barbaad kar diyaa hai ganvaayaa kahaan gayaa"
"us ko jaane de agar jaataa hai zahr kam ho to utar jaataa hai peD dimak ki paziraai mein dekhte dekhte mar jaataa hai ek lamhe kaa safar hai duniyaa aur phir vaqt Thahar jaataa hai chand khushiyon ko baham karne mein aadmi kitnaa bikhar jaataa hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"