SHAWORDS

us ko jaane de agar jaataa hai — Faisal Ajmi

HomeFaisal AjmiGhazal
"us ko jaane de agar jaataa hai zahr kam ho to utar jaataa hai peD dimak ki paziraai mein dekhte dekhte mar jaataa hai ek lamhe kaa safar hai duniyaa aur phir vaqt Thahar jaataa hai chand khushiyon ko baham karne mein aadmi kitnaa bikhar jaataa hai"
Urdu

اس کو جانے دے اگر جاتا ہے زہر کم ہو تو اتر جاتا ہے پیڑ دیمک کی پذیرائی میں دیکھتے دیکھتے مر جاتا ہے ایک لمحے کا سفر ہے دنیا اور پھر وقت ٹھہر جاتا ہے چند خوشیوں کو بہم کرنے میں آدمی کتنا بکھر جاتا ہے

Hindi

उस को जाने दे अगर जाता है ज़हर कम हो तो उतर जाता है पेड़ दीमक की पज़ीराई में देखते देखते मर जाता है एक लम्हे का सफ़र है दुनिया और फिर वक़्त ठहर जाता है चंद ख़ुशियों को बहम करने में आदमी कितना बिखर जाता है

us ko jaane de agar jaatā hai
Faisal Ajmi
Faisal Ajmi
Faisal Ajmi
poet37 quotes

More by Faisal Ajmi

View all →
Quote
"mujh ko ye fikr kab hai ki saaya kahaan gayaa suraj ko ro rahaa huun khudaayaa kahaan gayaa phir aaine mein khuun dikhaai diyaa mujhe aankhon mein aa gayaa to chhupaayaa kahaan gayaa aavaaz de rahaa thaa koi mujh ko khvaab mein lekin khabar nahin ki bulaayaa kahaan gayaa kitne charaagh ghar mein jalaae gae na puchh ghar aap jal gayaa hai jalaayaa kahaan gayaa ye bhi khabar nahin hai ki hamraah kaun hai puchhaa kahaan gayaa hai bataayaa kahaan gayaa vo bhi badal gayaa hai mujhe chhoDne ke baad mujh se bhi apne aap mein aayaa kahaan gayaa tujh ko ganvaa diyaa hai magar apne aap ko barbaad kar diyaa hai ganvaayaa kahaan gayaa"
Faisal AjmiFaisal Ajmi
Quote
"main zakhm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa muaaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa main so gayaa to koi niind se uThaa mujh mein phir apne haath mein sab intizaam us ne liyaa kabhi bhulaayaa kabhi yaad kar liyaa us ko ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liyaa na jaane kis ko pukaaraa gale lagaa ke mujhe magar vo meraa nahin thaa jo naam us ne liyaa bahaar aai to phulon se un ki khushbu li havaa chali to havaa se khiraam us ne liyaa fanaa ne kuchh nahin maangaa savaal karte hue isi adaa pe khudaa se davaam us ne liyaa"
Faisal AjmiFaisal Ajmi

More on Khushi

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid