SHAWORDS

is darja bhaag dauD ke itnaa kamaaenge — Jaleel Arshad Khan Rashid

"is darja bhaag dauD ke itnaa kamaaenge ham zindagi ki shaam talak ghar banaaeinge pahle to zindagi ki bahut chaah thi hamein kis ko khabar thi raah mein ye moD aaeinge kahte hain kaT hi jaati hai umr-e-daraaz bhi so mutmain hain apne bhi din biit jaaeinge mahrumiyon ke daagh naa-aasuda khvaahishein in sab ke saath ham tujhe kyaa munh dikhaaeinge mar kar bhi khvaahishon se na mil paaegi najaat ham khvaahish-e-bahisht ke chakkar mein aaeinge allaah mehrbaan bhi aadil bhi hai 'jalil' chaliye usi se chal ke zaraa lau lagaaeinge"
Urdu

اس درجہ بھاگ دوڑ کے اتنا کمائیں گے ہم زندگی کی شام تلک گھر بنائیں گے پہلے تو زندگی کی بہت چاہ تھی ہمیں کس کو خبر تھی راہ میں یہ موڑ آئیں گے کہتے ہیں کٹ ہی جاتی ہے عمر دراز بھی سو مطمئن ہیں اپنے بھی دن بیت جائیں گے محرومیوں کے داغ نا آسودہ خواہشیں ان سب کے ساتھ ہم تجھے کیا منہ دکھائیں گے مر کر بھی خواہشوں سے نہ مل پائے گی نجات ہم خواہش بہشت کے چکر میں آئیں گے اللہ مہربان بھی عادل بھی ہے جلیلؔ چلئے اسی سے چل کے ذرا لو لگائیں گے

Hindi

इस दर्जा भाग दौड़ के इतना कमाएँगे हम ज़िंदगी की शाम तलक घर बनाएँगे पहले तो ज़िंदगी की बहुत चाह थी हमें किस को ख़बर थी राह में ये मोड़ आएँगे कहते हैं कट ही जाती है उम्र-ए-दराज़ भी सो मुतमइन हैं अपने भी दिन बीत जाएँगे महरूमियों के दाग़ ना-आसूदा ख़्वाहिशें इन सब के साथ हम तुझे क्या मुँह दिखाएँगे मर कर भी ख़्वाहिशों से न मिल पाएगी नजात हम ख़्वाहिश-ए-बहिश्त के चक्कर में आएँगे अल्लाह मेहरबान भी आदिल भी है 'जलील' चलिए उसी से चल के ज़रा लौ लगाएँगे

is darja bhaag dauḌ ke itnā kamā.enge
Jaleel Arshad Khan Rashid
Jaleel Arshad Khan Rashid
Jaleel Arshad Khan Rashid
poet4 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar