SHAWORDS

is qadar jazbaat mein ham bah gae — Abrar Naghmi

HomeAbrar NaghmiGhazal
"is qadar jazbaat mein ham bah gae jo na kahnaa thaa zabaan se kah gae zindagi baar-e-giraan thi dosh par un ki yaadon ke sahaare sah gae dushmanon ne gham-gusaari ki vahaan dost jin raahon mein pichhe rah gae zindagi par maut kaa ehsaan hai haadse sab haath malte rah gae kaun kar saktaa hai lahron kaa shumaar silsile yaadon ke 'naghmi' kah gae"
Urdu

اس قدر جذبات میں ہم بہہ گئے جو نہ کہنا تھا زباں سے کہہ گئے زندگی نار گراں تھی دوش پر ان کی یادوں کے سہارے سہہ گئے دشمنوں نے غم گساری کی وہاں دوست جن راہوں میں پیچھے رہ گئے زندگی پر موت کا احسان ہے حادثے سب ہاتھ ملتے رہ گئے کون کر سکتا ہے لہروں کا شمار سلسلے یادوں کے نغمیؔ کہہ گئے

Hindi

इस क़दर जज़्बात में हम बह गए जो न कहना था ज़बाँ से कह गए ज़िंदगी बार-ए-गिराँ थी दोष पर उन की यादों के सहारे सह गए दुश्मनों ने ग़म-गुसारी की वहाँ दोस्त जिन राहों में पीछे रह गए ज़िंदगी पर मौत का एहसान है हादसे सब हाथ मलते रह गए कौन कर सकता है लहरों का शुमार सिलसिले यादों के 'नग़मी' कह गए

is qadar jazbāt meñ ham bah ga.e
A
Abrar Naghmi
Abrar Naghmi
poet8 quotes

More by Abrar Naghmi

View all →
Quote
"ba-faiz-e-‘ishq ab ye ‘aalam-e-dil hotaa jaataa hai jahaan-e-aarzu ik harf-e-baatil hotaa jaataa hai asar-andaaz shaayad jazba-e-dil hotaa jaataa hai jafaaon par pashemaan khud hi qaatil hotaa jaataa hai numud-e-sajda rasm-e-bandagi laazim nahin koi 'aqidat dil se ho to qurb haasil hotaa jaataa hai talaatum hi talaatum hai safine ke muqaddar mein miri kashti se har dam duur saahil hotaa jaataa hai huaa jaataa hai rashk-e-anjuman tanhaai kaa 'aalam miri shaam-o-sahar mein kaun shaamil hotaa jaataa hai tadabbur ho agar 'naghmi' yaqin-o-‘azm o himmat ho nishaan-e-har-qadam khud naqsh-e-manzil hotaa jaataa hai"
A
Abrar Naghmi
Quote
"raah-e-hayaat garche hai dushvaar-tar chalo har ik qadam banaate nai rah-guzar chalo hogaa kahin to khatm saraabon kaa silsila aakhir kabhi to aaegi manzil nazar chalo chashm-e-khirad se dekh ke raftaar vaqt ki haalaat par rakhe hue apni nazar chalo ye zakhm-haa-e-dil bhi 'inaayat unhi ki hai ab un ko kyaa dikhaaein ye zakhm-e-jigar chalo zulmaat-e-gham ke baa'd hai khushiyon ki raushni sahraa-e-shab ko paar karo taa-sahar chalo 'naghmi' dayaar-e-sarvar-e-kaunain hai yahaan har ik qadam jhukaae jabin chashm-e-tar chalo"
A
Abrar Naghmi
Quote
"zamaana-saaz nikle fakhr-e-rudaad-e-jahaan nikle nazar jis varq par Daalo hamaari daastaan nikle hamesha sar-ba-kaf sina-sipar himmat-shikan ban kar ajal ke saae mein bhi kaamyaab-e-imtihaan nikle vatan ki khaak ko bhi mansab-e-'ain-ul-yaqin bakhshaa zamin ki pastiyon mein bhi faraaz-e-aasmaan nikle hamaari khush-nasibi hai ki manzil-aashnaa hain ham talaash-e-manzil-e-haq mein hazaaron kaarvaan nikle hamein dhokaa diyaa hai 'naghmi' dil ki saada-lauhi ne jinhein samjhe the ham apnaa vo un ke raaz-daan nikle"
A
Abrar Naghmi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi