SHAWORDS

is se hi baaqi hai saanson ki ravaani logo — Asima Faraz

HomeAsima FarazGhazal
"is se hi baaqi hai saanson ki ravaani logo mujh se mat chhino miri aankh kaa paani logo aagahi karb ke imkaan baDhaa deti hai mat sunaao mujhe ye saari kahaani logo paarsaai ki gavaahi to na maango us se tanhaa beva ne guzaari hai javaani logo ham bayaabaanon ke 'aadi the kahin par na base dasht-e-tanhaai mein ki naql-e-makaani logo ham ki saada rahe jiddat mein na Dhaalaa khud ko ham ko aae hi nahin taur-e-zamaani logo us ki tasvir ko chupke se jalaayaa main ne vo thi kam-zarf mohabbat ki nishaani logo"
Urdu

اس سے ہی باقی ہے سانسوں کی روانی لوگو مجھ سے مت چھینو مری آنکھ کا پانی لوگو آگہی کرب کے امکان بڑھا دیتی ہے مت سناؤ مجھے یہ ساری کہانی لوگو پارسائی کی گواہی تو نہ مانگو اس سے تنہا بیوہ نے گزاری ہے جوانی لوگو ہم بیابانوں کے عادی تھے کہیں پر نہ بسے دشت تنہائی میں کی نقل مکانی لوگو ہم کہ سادہ رہے جدت میں نہ ڈھالا خود کو ہم کو آئے ہی نہیں طور زمانی لوگو اس کی تصویر کو چپکے سے جلایا میں نے وہ تھی کم ظرف محبت کی نشانی لوگو

Hindi

इस से ही बाक़ी है साँसों की रवानी लोगो मुझ से मत छीनो मिरी आँख का पानी लोगो आगही कर्ब के इम्कान बढ़ा देती है मत सुनाओ मुझे ये सारी कहानी लोगो पारसाई की गवाही तो न माँगो उस से तन्हा बेवा ने गुज़ारी है जवानी लोगो हम बयाबानों के 'आदी थे कहीं पर न बसे दश्त-ए-तन्हाई में की नक़्ल-ए-मकानी लोगो हम कि सादा रहे जिद्दत में न ढाला ख़ुद को हम को आए ही नहीं तौर-ए-ज़मानी लोगो उस की तस्वीर को चुपके से जलाया मैं ने वो थी कम-ज़र्फ़ मोहब्बत की निशानी लोगो

is se hī baaqī hai sāñsoñ kī ravānī logo
Asima Faraz
Asima Faraz
Asima Faraz
poet9 quotes

More by Asima Faraz

View all →
Quote
"zinda rahne ko bhi laazim hai sahaaraa koi kaash mil jaae gham-e-hijr kaa maaraa koi hai tiri zaat se mujh ko vahi nisbat jaise chaand ke saath chamaktaa ho sitaaraa koi ye mohabbat to kisi paar na lagne degi ye vo dariyaa hai nahin jis kaa kinaaraa koi kaise jaanoge ki raaton kaa taDapnaa kyaa hai tum se bichhDaa jo nahin jaan se pyaaraa koi ham mohabbat mein bhi qaail rahe yaktaai ke ham ne rakkhaa hi nahin dil mein dubaara koi sochti huun tire pahlu mein jo baiThaa hogaa kaisaa hogaa vo pari-vash vo tumhaaraa koi kaun baanTegaa mire saath miri tanhaai DhunD ke laa do mujhe ziist se haaraa koi"
Asima FarazAsima Faraz
Quote
"khizaan ke daur mein khilti bahaar mere liye khudaa ne bhejaa hai ik gham-gusaar mere liye vo kah rahaa hai main us ko 'aziz huun itni karegaa vaqf vo lail-o-nahaar mere liye kaThin safar ye agar us ke saath guzre to ye sang-o-khisht bhi hain laala-zaar mere liye kaDaa hai vaqt to nazrein churaa ke guzraa hai jo kar rahaa thaa zamaana nisaar mere liye sunaa hai nazmein bhi likhtaa hai ab judaai par ki ho rahaa hai baDaa dil-figaar mere liye dar-e-batul ki adnaa si ik kaniz huun main yahi havaala hai sad-iftikhaar mere liye"
Asima FarazAsima Faraz
Quote
"gar mohabbat ho to aisaa nahin karte jaanaan biich raste mein to chhoDaa nahin karte jaanaan tum kisi khvaab ki surat ho miri aankhon mein khvaab aankhon ko to nochaa nahin karte jaanaan jaan se pyaaron pe bahut maan huaa kartaa hai yuun kisi maan ko toDaa nahin karte jaanaan yaad rakhne ke jo qaabil hon unhi logon ko is qadar jald to bhulaa nahin karte jaanaan 'ishq mein jhukne se tauqir nahin ghaTti hai khud-parasti ko labaada nahin karte jaanaan raah-e-pur-khaar pe hotaa hai kaThin chalnaa magar saath denaa ho to sochaa nahin karte jaanaan zarf vaale hain isi vaaste chup hain itne gham ko sahte hain tamaashaa nahin karte jaanaan tum jo kahte ho ki ji paaoge mere bin bhi khud pe itnaa bhi bharosaa nahin karte jaanaan saamne vaalaa hi har baar manaaegaa hamein aisi ummid pe ruThaa nahin karte jaanaan"
Asima FarazAsima Faraz
Quote
"dil mein rah jaate hain sab log bhulaane vaale ham hain har haal mein rishton ko nibhaane vaale kyaa koi rang hai jo mujh ko mukammal kar de meri tasvir ko rangon se sajaane vaale ham ne taa-'umr tujhe man mein basaae rakkhaa ranj to aur bhi the dil se lagaane vaale aisaa lagtaa thaa mujhe kho ke badal jaaegaa aaj bhi us ke hain andaaz puraane vaale meri pahchaan to duniyaa mein thi tujh se lekin ab nae Dhang se jaaneinge zamaane vaale mujh ko jaanaa hai kisi aur hi manzil ki taraf ab mujhe yaad na kar chhoD ke jaane vaale main ne is vaaste is aag ko bujhne na diyaa mere apne the mujhe zinda jalaane vaale"
Asima FarazAsima Faraz

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb