SHAWORDS

is tarah duniyaa mili shikva-gila jaataa rahaa — Bashir Badr

HomeBashir BadrGhazal
"is tarah duniyaa mili shikva-gila jaataa rahaa main samajhtaa thaa miraa tere sivaa koi nahin khat nahin huun jis pe tum raahon ki tafsilein likho us ke ghar jaaungaa main jis kaa pata koi nahin aisaa lagtaa hai ki tu mujh se judaa ho jaaegaa tere mere darmiyaan ab faasla koi nahin ek din vo kho gayaa thaa ek din mil jaaegaa aasraa aisaa hai jaise aasraa koi nahin ab tumhein sachchi mohabbat kaa yaqin aa jaaegaa is baDe shahr-e-vafaa mein be-vafaa koi nahin main payambar to nahin lekin mujhe ehsaas hai in bure logon mein bhi mujh se buraa koi nahin"
Urdu

اس طرح دنیا ملی شکوہ گلہ جاتا رہا میں سمجھتا تھا مرا تیرے سوا کوئی نہیں خط نہیں ہوں جس پہ تم راہوں کی تفصیلیں لکھو اس کے گھر جاؤں گا میں جس کا پتہ کوئی نہیں ایسا لگتا ہے کہ تو مجھ سے جدا ہو جائے گا تیرے میرے درمیاں اب فاصلہ کوئی نہیں ایک دن وہ کھو گیا تھا ایک دن مل جائے گا آسرا ایسا ہے جیسے آسرا کوئی نہیں اب تمہیں سچی محبت کا یقیں آ جائے گا اس بڑے شہر وفا میں بے وفا کوئی نہیں میں پیمبر تو نہیں لیکن مجھے احساس ہے ان برے لوگوں میں بھی مجھ سے برا کوئی نہیں

Hindi

इस तरह दुनिया मिली शिकवा-गिला जाता रहा मैं समझता था मिरा तेरे सिवा कोई नहीं ख़त नहीं हूँ जिस पे तुम राहों की तफ़्सीलें लिखो उस के घर जाऊँगा मैं जिस का पता कोई नहीं ऐसा लगता है कि तू मुझ से जुदा हो जाएगा तेरे मेरे दरमियाँ अब फ़ासला कोई नहीं एक दिन वो खो गया था एक दिन मिल जाएगा आसरा ऐसा है जैसे आसरा कोई नहीं अब तुम्हें सच्ची मोहब्बत का यक़ीं आ जाएगा इस बड़े शहर-ए-वफ़ा में बे-वफ़ा कोई नहीं मैं पयम्बर तो नहीं लेकिन मुझे एहसास है इन बुरे लोगों में भी मुझ से बुरा कोई नहीं

is tarah duniyā milī shikva-gila jaatā rahā
Bashir Badr
Bashir Badr
Bashir Badr
poet340 quotes

More by Bashir Badr

View all →
Quote
"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
Bashir BadrBashir Badr
Quote
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
Bashir BadrBashir Badr

More on Mohabbat

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb