SHAWORDS

ishq mein kaun bataa saktaa hai — Ahmad Mushtaq

HomeAhmad MushtaqGhazal
"ishq mein kaun bataa saktaa hai kis ne kis se sach bolaa hai ham tum saath hain is lamhe mein dukh sukh to apnaa apnaa hai mujh ko to saare naamon mein teraa naam achchhaa lagtaa hai bhuul gai vo shakl bhi aakhir kab tak yaad koi rahtaa hai"
Urdu

عشق میں کون بتا سکتا ہے کس نے کس سے سچ بولا ہے ہم تم ساتھ ہیں اس لمحے میں دکھ سکھ تو اپنا اپنا ہے مجھ کو تو سارے ناموں میں تیرا نام اچھا لگتا ہے بھول گئی وہ شکل بھی آخر کب تک یاد کوئی رہتا ہے

Hindi

इश्क़ में कौन बता सकता है किस ने किस से सच बोला है हम तुम साथ हैं इस लम्हे में दुख सुख तो अपना अपना है मुझ को तो सारे नामों में तेरा नाम अच्छा लगता है भूल गई वो शक्ल भी आख़िर कब तक याद कोई रहता है

ishq meñ kaun batā saktā hai
Ahmad Mushtaq
Ahmad Mushtaq
Ahmad Mushtaq
poet149 quotes

More by Ahmad Mushtaq

View all →
Quote
"tire divaane har rang rahe tire dhyaan ki jot jagaae hue kabhi nithre suthre kapDon mein kabhi ang bhabhut ramaae hue us raah se chhup chhup kar guzri rut sabz sunahre phulon ki jis raah pe tum kabhi nikle the ghabraae hue sharmaae hue ab tak hai vahi aalam dil kaa vahi rang-e-shafaq vahi tez havaa vahi saaraa manzar jaadu kaa mere nain se nain milaae hue chehre pe chamak aankhon mein hayaa lab garm khunuk chhab narm navaa jinhein itne sukun mein dekhaa thaa vahi aaj mile ghabraae hue ham ne 'mushtaaq' yuun hi kholaa yaadon ki kitaab-e-muqaddas ko kuchh kaaghaz nikle khasta se kuchh phuul mile murjhaae hue"
Ahmad MushtaqAhmad Mushtaq
Quote
"phir vahi raat phir vahi aavaaz mere dil ki thaki hui aavaaz kahin baagh-e-nakhust se aai kisi koyal ki dukh-bhari aavaaz abhi chhaayaa nahin hai sannaaTaa aa rahi hai koi koi aavaaz phaDphaDaahaT kisi parinde ki kisi konpal ki phuTti aavaaz abhi mahfuz hai tiraa chehra abhi bhuli nahin tiri aavaaz mere bistar pe aa ke leT gai raushni ki lakir si aavaaz munh andhere jagaa ke chhoD gai ek subh-e-jamaal ki aavaaz din se fursat kabhi mile to suno shaam kaa saaz raat ki aavaaz gunjtaa hai abhi taraana-e-shauq vahi aahang hai vahi aavaaz TeDhe-meDhe muDe-tuDe mukhDe TuTi-phuTi kaTi-phaTi aavaaz baDe dukh jhiil kar kamaai hai jo bhi hai ye buri-bhali aavaaz"
Ahmad MushtaqAhmad Mushtaq

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer