SHAWORDS

jaan nazr-e-shabaab ho ke rahi — Aziz Warsi

HomeAziz WarsiGhazal
"jaan nazr-e-shabaab ho ke rahi zindagi kaamyaab ho ke rahi meri jaanib jo uTh gai thi kabhi vo nazar laa-javaab ho ke rahi ishq mein raah-e-raast bhi aksar raah-e-pur-pech-o-taab ho ke rahi baad tauba ke aur bhi saaqi meri haalat kharaab ho ke rahi un ki mahfil mein be-kasi meri baais-e-inqalaab ho ke rahi fasl-e-gul mein maze uDaaeinge ye tamannaa bhi khvaab ho ke rahi dahr mein ai 'aziz' apni vafaa aap apnaa javaab ho ke rahi"
Urdu

جان نذر شباب ہو کے رہی زندگی کامیاب ہو کے رہی میری جانب جو اٹھ گئی تھی کبھی وہ نظر لا جواب ہو کے رہی عشق میں راہ راست بھی اکثر راہ پر پیچ‌ و تاب ہو کے رہی بعد توبہ کے اور بھی ساقی میری حالت خراب ہو کے رہی ان کی محفل میں بے کسی میری باعث انقلاب ہو کے رہی فصل گل میں مزے اڑائیں گے یہ تمنا بھی خواب ہو کے رہی دہر میں اے عزیزؔ اپنی وفا آپ اپنا جواب ہو کے رہی

Hindi

जान नज़्र-ए-शबाब हो के रही ज़िंदगी कामयाब हो के रही मेरी जानिब जो उठ गई थी कभी वो नज़र ला-जवाब हो के रही इश्क़ में राह-ए-रास्त भी अक्सर राह-ए-पुर-पेच-ओ-ताब हो के रही बा'द तौबा के और भी साक़ी मेरी हालत ख़राब हो के रही उन की महफ़िल में बे-कसी मेरी बाइ'स-ए-इंक़लाब हो के रही फ़स्ल-ए-गुल में मज़े उड़ाएँगे ये तमन्ना भी ख़्वाब हो के रही दहर में ऐ 'अज़ीज़' अपनी वफ़ा आप अपना जवाब हो के रही

jaan nazr-e-shabāb ho ke rahī
Aziz Warsi
Aziz Warsi
Aziz Warsi
poet52 quotes

More by Aziz Warsi

View all →
Quote
"tiri mahfil mein farq-e-kufr-o-imaan kaun dekhegaa fasaana hi nahin koi to unvaan kaun dekhegaa yahaan to ek lailaa ke na jaane kitne majnun hain yahaan apnaa garebaan apnaa daamaan kaun dekhegaa bahut nikle hain lekin phir bhi kuchh armaan hain dil mein ba-juz tere miraa ye soz-e-pinhaan kaun dekhegaa agar parde ki jumbish se laraztaa hai to phir ai dil tajalli-e-jamaal-e-ru-e-jaanaan kaun dekhegaa agar ham se khafaa honaa hai to ho jaaiye hazrat hamaare baad phir andaaz-e-yazdaan kaun dekhegaa mujhe pi kar bahakne mein bahut hi lutf aataa hai na tum dekhoge to phir mujh ko farhaan kaun dekhegaa jise kahtaa hai ik aalam 'aziz'-e-vaaris-e-aalam use aalam mein hairaan-o-pareshaan kaun dekhegaa"
Aziz WarsiAziz Warsi
Quote
"sozish-e-gham ke sivaa kaahish-e-furqat ke sivaa ishq mein kuchh bhi nahin dard ki lazzat ke sivaa dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke sivaa sab fasaane hain haqiqat mein haqiqat ke sivaa kaun kah saktaa hai ye ahl-e-tariqat ke sivaa saare jhagDe hain jahaan mein tiri nisbat ke sivaa kitne chehron ne mujhe daavat-e-jalva bakhshi koi surat na mili aap ki surat ke sivaa gham-e-uqbaa gham-e-dauraan gham-e-hasti ki qasam aur bhi gham hain zamaane mein mohabbat ke sivaa bazm-e-jaanaan mein are zauq-e-faraavaan ab tak kuchh bhi haasil na huaa dida-e-hairat ke sivaa vo shab-e-hijr vo taarik fazaa vo vahshat koi gham-khvaar na thaa dard ki shiddat ke sivaa mohtasib aao chalein aaj to mai-khaane mein ek jannat hai vahaan aap ki jannat ke sivaa jo tahi-dast bhi hai aur tahi-daaman bhi vo kahaan jaaegaa tere dar-e-daulat ke sivaa jis ne qudrat ke har iqdaam se Takkar li hai vo pashimaan na huaa jabr-e-mashiyyat ke sivaa mujh se ye puchh rahe hain mire ahbaab 'aziz' kyaa milaa shahr-e-sukhan mein tumhein shohrat ke sivaa"
Aziz WarsiAziz Warsi
Quote
"dil mein hamaare ab koi armaan nahin rahaa vo ehtimaam-e-gardish-e-dauraan nahin rahaa pesh-e-nazar vo khusrav-e-khubaan nahin rahaa meri hayaat-e-shauq kaa saamaan nahin rahaa samjhaa rahaa huun yuun dil-e-muztar ko hijr mein vo kaun hai jo gham se pareshaan nahin rahaa dekhaa hai main ne gesu-e-kaafir kaa mojaza taar-e-nafas bhi meraa musalmaan nahin rahaa ashkon ke saath saath kuchh armaan nikal gae bechainiyon kaa dil mein vo tufaan nahin rahaa ai chaarasaaz sai-e-musalsal fuzul hai teraa mariz qaabil-e-darmaan nahin rahaa us ki hayaat us ke liye maut ai 'aziz' jis par ki us nigaah kaa ehsaan nahin rahaa"
Aziz WarsiAziz Warsi
Quote
"us mast-e-nazar kaa uf re sitam jis vaqt idhar ho jaati hai majruh jigar ho jaataa hai betaab nazar ho jaati hai allaah re ye dastur-e-amal allaah re ye qaanun-e-aTal jis samt vo nazrein uThti hain duniyaa hi udhar ho jaati hai ik vo bhi zamaana thaa apnaa phulon pe baseraa hotaa thaa ik ye bhi zamaana hai apnaa kaanTon pe basar ho jaati hai jis shaam-e-alam ki taariki gham dil kaa faraavaan karti ho us shaam ki aksar taariki pur-nur sahar ho jaati hai ik roz qamar ban jaataa hai jis tarh mah-e-nau gardish se us tarh mohabbat mein dil ki har aah sharar ho jaati hai jo 'nuh' se nisbat rakhte hain laa-raib 'aziz' un ki kashti dam bhar mein idhar ho jaati hai dam bhar mein udhar ho jaati hai"
Aziz WarsiAziz Warsi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar