Quote
"khvaab thaa armaan thaa kyaa kuchh tiri palkon pe thaa vo hamaaraa zikr jo kal tak tire honTon pe thaa vo musaafir paa-ba-jaulaan jaane kyuun lab-doz the ek jaisaa dard-e-afsaana sabhi chehron pe thaa khush-nasibon ko pahaaDon se khazaane mil gae mujh ko vo bhi mil na paayaa jo mire honTon pe thaa marhabaa teraa hunar to bhuul bhi kaise saki vo zamaana jab hamaaraa haq tiri saanson pe thaa khud-bakhud raaz-e-mohabbat munkashif kartaa rahaa vo gulaabi aks jo raqsaan tire gaalon pe thaa"
