SHAWORDS

jag mein aataa hai har bashar tanhaa — Elizabeth Kurian Mona

"jag mein aataa hai har bashar tanhaa lauT jaataa hai phir kidhar tanhaa kuchh duaa bhi to ho mariz ke naam kab davaa kaa huaa asar tanhaa muddaton khud ko hi taraashaa hai siip mein rah ke ik guhar tanhaa umr-bhar sab ke kaam aayaa jo ro paDaa khud ko dekh kar tanhaa sab masarrat mein saath dete hain gham uThaaeinge ham magar tanhaa tark ulfat jo us ne ki ham se thaamte ham rahe jigar tanhaa chhaanv mein baiTh kar gae hain sabhi rah gayaa phir se ik shajar tanhaa kahkashaan bhi hai aur taare bhi chaand aataa hai kyuun nazar tanhaa yaadon ke kaarvaan mile ham se khud ko samjhe the ham jidhar tanhaa chaar pal vasl ke jo biit gae khud ko paayaa hai kis qadar tanhaa beach apnon ke rah ke bhi 'monaa' zindagi ham ne ki basar tanhaa"
Urdu

جگ میں آتا ہے ہر بشر تنہا لوٹ جاتا ہے پھر کدھر تنہا کچھ دعا بھی تو ہو مریض کے نام کب دوا کا ہوا اثر تنہا مدتوں خود کو ہی تراشا ہے سیپ میں رہ کے اک گہر تنہا عمر بھر سب کے کام آیا جو رو پڑا خود کو دیکھ کر تنہا سب مسرت میں ساتھ دیتے ہیں غم اٹھائیں گے ہم مگر تنہا ترک الفت جو اس نے کی ہم سے تھامتے ہم رہے جگر تنہا چھاؤں میں بیٹھ کر گئے ہیں سبھی رہ گیا پھر سے اک شجر تنہا کہکشاں بھی ہے اور تارے بھی چاند آتا ہے کیوں نظر تنہا یادوں کے کارواں ملے ہم سے خود کو سمجھے تھے ہم جدھر تنہا چار پل وصل کے جو بیت گئے خود کو پایا ہے کس قدر تنہا بیچ اپنوں کے رہ کے بھی موناؔ زندگی ہم نے کی بسر تنہا

Hindi

जग में आता है हर बशर तन्हा लौट जाता है फिर किधर तन्हा कुछ दुआ भी तो हो मरीज़ के नाम कब दवा का हुआ असर तन्हा मुद्दतों ख़ुद को ही तराशा है सीप में रह के इक गुहर तन्हा उम्र-भर सब के काम आया जो रो पड़ा ख़ुद को देख कर तन्हा सब मसर्रत में साथ देते हैं ग़म उठाएँगे हम मगर तन्हा तर्क उल्फ़त जो उस ने की हम से थामते हम रहे जिगर तन्हा छाँव में बैठ कर गए हैं सभी रह गया फिर से इक शजर तन्हा कहकशाँ भी है और तारे भी चाँद आता है क्यूँ नज़र तन्हा यादों के कारवाँ मिले हम से ख़ुद को समझे थे हम जिधर तन्हा चार पल वस्ल के जो बीत गए ख़ुद को पाया है किस क़दर तन्हा बीच अपनों के रह के भी 'मोना' ज़िंदगी हम ने की बसर तन्हा

jag meñ aatā hai har bashar tanhā
Elizabeth Kurian Mona
Elizabeth Kurian Mona
Elizabeth Kurian Mona
poet10 quotes

More by Elizabeth Kurian Mona

View all →
Quote
"kho gae ho tum jab se vaqt ki khalaaon mein maangti huun main tum ko raat-din du'aaon mein mujh ko thi ye khush-fahmi phir bahaar aaegi raunaqein kahaan aatin dil ke in khizaaon mein dil dhaDakne lagtaa hai sun ke halki aahaT bhi tere pyaar ki dastak jo hui havaaon mein bhulne ki koshish bhi kaamyaab kyaa hoti 'aks teraa dikhtaa hai mujh ko sab dishaaon mein saath teraa paaun gar khil uThegaa phir jivan intizaar kaa 'aalam hai abhi fazaaon mein phir se shaam-e-tanhaai yaad teri laai hai phir se kho gayaa hai dil maazi ki guphaaon mein kyaa gila karun 'monaa' teri bevafaai kaa jab vafaa nahin shaamil husn ki adaaon mein"
Elizabeth Kurian MonaElizabeth Kurian Mona
Quote
"gham kisi kaa miTaa kar to dekho apne gham ko bhulaa kar to dekho rang chehre kaa zaahir karegaa raaz-e-ulfat chhupaa kar to dekho tum se saaraa zamaana jalegaa naam-o-shohrat kamaa kar to dekho dost dushman ki pahchaan hogi dard apnaa sunaa kar to dekho ik zaraa muskuraahaT se apni ranjishon ko haTaa kar to dekho 'aib auron ke ginne se pahle khud se nazrein milaa kar to dekho be-khudi chiiz hoti hai kaisi dil kisi par luTaa kar to dekho log kaise badalte hain 'monaa' koi rishta nibhaa kar to dekho"
Elizabeth Kurian MonaElizabeth Kurian Mona
Quote
"daaman teraa mujh se chhuTaa milne ke haalaat nahin lekin tujh ko bhuul sakun main aisi bhi to baat nahin badle badle se lagte hain aaj ye tere tevar kyuun pahle jaise kyuun ab tere pyaar ke vo jazbaat nahin mere haath ki saari lakirein uljhi uljhi laakh sahi un mein mujh ko tu mil jaae hogi meri maat nahin tum se bichhDe arsa biitaa phir bhi aks hai aankhon mein aae na ho tum khvaabon mein jo aisi koi raat nahin khush-qismat hain log vo jin ko pyaar ke badle pyaar milaa is duniyaa mein har insaan ko haasil ye saughaat nahin jaate jaate gham ki daulat tum ne bhar di jholi mein ab ye ziist kaa sarmaaya hai maamuli khairaat nahin dard-bhari hai yaad-e-maazi phir bhi bas ji lete hain ham ne jaanaa har manDap mein aati hai baaraat nahin chaahe bahaar kaa mausam ho yaa vasl kaa koi aalam ho biit gae jo phir se vaapas aate vo lamhaat nahin jab jab tum yaad aae 'monaa' bhar aaiin meri aankhein aag lagaae dil mein aansu ye koi barsaat nahin"
Elizabeth Kurian MonaElizabeth Kurian Mona
Quote
"hai nahin koi naakhudaa dil kaa dil hi hai ek aasraa dil kaa chaar-su be-khudi mein phirtaa hai kuchh Thikaanaa nahin rahaa dil kaa rasm-e-duniyaa ko kyuun ye maanegaa hai alag jag se qaaeda dil kaa shekh-o-panDit ko koi samjhaae rab se rahtaa hai raabta dil kaa raah-e-insaaniyat hi avval hai hai yaqinan ye falsafa dil kaa do-jahaan bhi yahaan samaa jaaein kitnaa phailaa hai daaera dil kaa lab talak aa ke baat hi badli kyaa kare lafz tarjuma dil kaa aql kab aaegi tumhein 'monaa' maante kyuun ho tum kahaa dil kaa"
Elizabeth Kurian MonaElizabeth Kurian Mona
Quote
"khushi ki mili ye sazaa rafta rafta taaaruf ghamon se huaa rafta rafta thi chehre ki rangat to nazron ke aage chalaa rang dil kaa pata rafta rafta bhalaai kiye jaa yaqin rab pe rakh kar vo detaa hai sab ko sila rafta rafta suni bhuke bachche ne jab maan ki lori to ro ro ke vo so gayaa rafta rafta tire bin bhi kaT jaaegi umr lekin chhuDaa apnaa daaman zaraa rafta rafta nazar jo mili dil huaa raakh jal kar dhuaan phir usi se uThaa rafta rafta chaman mein khilin hanste hanste jo kaliyaan to khushbu se mahki fazaa rafta rafta na ghabraao 'monaa' pareshaaniyon se asar laaegi har duaa rafta rafta"
Elizabeth Kurian MonaElizabeth Kurian Mona

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi