SHAWORDS

jis ko chaahaa thaa kab milaa mujh ko — Atiq Ur Rehman Safi

"jis ko chaahaa thaa kab milaa mujh ko zindagi se hai ye gila mujh ko dard yaadein aur ik shikasta-dil aashiqi kaa hai ye sila mujh ko aur kisi se bhi rabt rakhne kaa raas aayaa na silsila mujh ko ab to aankhon se ji nahin bhartaa ab ke honTon se hi pilaa mujh ko meri qismat mein qurb kaa lamha gar likhaa hai to phir dilaa mujh ko us ki yaadon ki chaandni har shab bakhsh deti hai kuchh jilaa mujh ko"
Urdu

جس کو چاہا تھا کب ملا مجھ کو زندگی سے ہے یہ گلہ مجھ کو درد یادیں اور اک شکستہ دل عاشقی کا ہے یہ صلہ مجھ کو اور کسی سے بھی ربط رکھنے کا راس آیا نہ سلسلہ مجھ کو اب تو آنکھوں سے جی نہیں بھرتا اب کے ہونٹوں سے ہی پلا مجھ کو میری قسمت میں قرب کا لمحہ گر لکھا ہے تو پھر دلا مجھ کو اس کی یادوں کی چاندنی ہر شب بخش دیتی ہے کچھ جلا مجھ کو

Hindi

जिस को चाहा था कब मिला मुझ को ज़िंदगी से है ये गिला मुझ को दर्द यादें और इक शिकस्ता-दिल आशिक़ी का है ये सिला मुझ को और किसी से भी रब्त रखने का रास आया न सिलसिला मुझ को अब तो आँखों से जी नहीं भरता अब के होंटों से ही पिला मुझ को मेरी क़िस्मत में क़ुर्ब का लम्हा गर लिखा है तो फिर दिला मुझ को उस की यादों की चाँदनी हर शब बख़्श देती है कुछ जिला मुझ को

jis ko chāhā thā kab milā mujh ko
Atiq Ur Rehman Safi
Atiq Ur Rehman Safi
Atiq Ur Rehman Safi
poet6 quotes

More by Atiq Ur Rehman Safi

View all →
Quote
"miri mushkil agar aasaan banaa dete to achchhaa thaa labon se lab dam-e-aakhir milaa dete to achchhaa thaa main ji saktaa thaa bas teri zaraa si ik inaayat se mire haathon mein haath apnaa thamaa dete to achchhaa thaa miri betaab dhaDkan ko bhi aa jaataa qaraar aakhir mire khvaabon ki duniyaa ko sajaa dete to achchhaa thaa tumhaari be-rukhi par dil miraa bechain rahtaa thaa kabhi aadat ye tum apni bhulaa dete to achchhaa thaa kabhi is jald-baazi kaa samar achchhaa nahin hotaa koi din aur chaahat mein bitaa dete to achchhaa thaa 'safi' aansu bhi dushman ban gae hain dekh le aakhir na in ko zabt karte tum bahaa dete to achchhaa thaa"
Atiq Ur Rehman SafiAtiq Ur Rehman Safi
Quote
"koi nahin hamaaraa pursaan-e-haal ab ke pahle se bhi shikasta aayaa hai saal ab ke himmat to aa gai thi dukh jhelne ki lekin aayaa hai gham hi chal ke ik aur chaal ab ke ki hai bahut ibaadat furqat mein aansuon ne yazdaan tu kar le un kaa kuchh to khayaal ab ke baaton ki naghmagi sab aahon mein Dhal gai hai phailaa udaasiyon kaa kaisaa ye jaal ab ke do lakht ho gayaa hai ye dil nazaar apnaa uTThaa jo duriyon kaa phir se savaal ab ke barg-o-samar se aari tanhaa shajar ho jaise jivan ki hai 'safi'-ji aisi misaal ab ke"
Atiq Ur Rehman SafiAtiq Ur Rehman Safi
Quote
"an-ginat azaab hain ratjagon ke darmiyaan dard be-hisaab hain ratjagon ke darmiyaan ban chukaa hai dil savaal ab kisi ke hijr mein is pe laa-javaab hain ratjagon ke darmiyaan ashk rok rok ab shal hue hain hausle har samay itaab hain ratjagon ke darmiyaan kaash vo mile kahin to bataaun main use kis qadar saraab hain ratjagon ke darmiyaan sau charaagh jal bujhe tirgi na kam hui mustaqil hijaab hain ratjagon ke darmiyaan kyaa bataaun haal main us ko apne dard kaa vahshaton ke baab hain ratjagon ke darmiyaan vo jinhein khabar nahin qalb-e-naa-subur ki chaar-su janaab hain ratjagon ke darmiyaan ek gham chalaa gayaa dusre ne aa liyaa silsile shitaab hain ratjagon ke darmiyaan rakh-rakhaav mein sadaa rah ke aaj tak yahaan haalatein kharaab hain ratjagon ke darmiyaan zindagi ki dauD mein pichhli rut ke khvaab sab ab bhi ham-rikaab hain ratjagon ke darmiyaan aaj ye khulaa 'safi' jaan ke aur gham kai shaamil-e-nisaab hain ratjagon ke darmiyaan"
Atiq Ur Rehman SafiAtiq Ur Rehman Safi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar