"pyaar mein ziist mujhe raas kahaan aai hai mere hisse mein faqat aah-o-fughaan aai hai yaa-khudaa rakh le miri pusht-panaahi kaa bharam sar chhupaane mire gulshan mein khizaan aai hai bach ke jaataa hi nahin ‘aalam-e-faani se koi maut hi meri mujhe le ke yahaan aai hai dauD paDtaa huun tiri samt har ik aahaT par mujh ko lagtaa hai ki aavaaz-e-azaan aai hai chaahtaa huun ki kisi taur na ab aankh khule baa'd muddat ke mire khvaab mein maan aai hai ye bhi mumkin hai miri raah mein hon maah-o-nujum jab bulaane ko mujhe kaahkashaan aai hai aaj mausam ki navaazish kaa huun mamnun 'habib' khushbu-e-yaar liye baad-e-ravaan aai hai"
jo nazar se bayaan hoti hai — Hafeez Banarasi
"jo nazar se bayaan hoti hai kyaa hasin daastaan hoti hai pattharon ko na Thokarein maaro pattharon mein bhi jaan hoti hai jis ko chhu do tum apne qadmon se vo zamin aasmaan hoti hai be-piye bhi surur hotaa hai jab mohabbat javaan hoti hai zindagi to usi ki hai jis par vo nazar mehrbaan hoti hai jitne unche khayaal hote hain utni unchi uDaan hoti hai aarzu ki zabaan nahin hoti aarzu be-zabaan hoti hai jis mein shaamil ho talkhi-e-gham bhi kitni miThi vo taan hoti hai in ki nazron kaa ho fusun jis mein vo ghazal ki zabaan hoti hai khaar ki zindagi-e-be-raunaq phuul ki paasbaan hoti hai kaun detaa hai ruuh ko aavaaz jab haram mein azaan hoti hai ishq ki zindagi 'hafiz' na puchh har ghaDi imtihaan hoti hai"
جو نظر سے بیان ہوتی ہے کیا حسیں داستان ہوتی ہے پتھروں کو نہ ٹھوکریں مارو پتھروں میں بھی جان ہوتی ہے جس کو چھو دو تم اپنے قدموں سے وہ زمیں آسمان ہوتی ہے بے پیے بھی سرور ہوتا ہے جب محبت جوان ہوتی ہے زندگی تو اسی کی ہے جس پر وہ نظر مہربان ہوتی ہے جتنے اونچے خیال ہوتے ہیں اتنی اونچی اڑان ہوتی ہے آرزو کی زباں نہیں ہوتی آرزو بے زبان ہوتی ہے جس میں شامل ہو تلخئ غم بھی کتنی میٹھی وہ تان ہوتی ہے ان کی نظروں کا ہو فسوں جس میں وہ غزل کی زبان ہوتی ہے خار کی زندگیٔ بے رونق پھول کی پاسبان ہوتی ہے کون دیتا ہے روح کو آواز جب حرم میں اذان ہوتی ہے عشق کی زندگی حفیظؔ نہ پوچھ ہر گھڑی امتحان ہوتی ہے
जो नज़र से बयान होती है क्या हसीं दास्तान होती है पत्थरों को न ठोकरें मारो पत्थरों में भी जान होती है जिस को छू दो तुम अपने क़दमों से वो ज़मीं आसमान होती है बे-पिए भी सुरूर होता है जब मोहब्बत जवान होती है ज़िंदगी तो उसी की है जिस पर वो नज़र मेहरबान होती है जितने ऊँचे ख़याल होते हैं उतनी ऊँची उड़ान होती है आरज़ू की ज़बाँ नहीं होती आरज़ू बे-ज़बान होती है जिस में शामिल हो तल्ख़ी-ए-ग़म भी कितनी मीठी वो तान होती है इन की नज़रों का हो फ़ुसूँ जिस में वो ग़ज़ल की ज़बान होती है ख़ार की ज़िंदगी-ए-बे-रौनक़ फूल की पासबान होती है कौन देता है रूह को आवाज़ जब हरम में अज़ान होती है इश्क़ की ज़िंदगी 'हफ़ीज़' न पूछ हर घड़ी इम्तिहान होती है

More by Hafeez Banarasi
View all →"asar mein aataa gayaa main tiri sakhaavat ke daraaz hote gae haath meri haajat ke labon pe mauja-e-nikhat yunhi nahin raqsaan khile hain phuul mire dil mein teri chaahat ke tapish kuchh aisi thi khurshid-e-istaqaamat ki pasine chhuT gae sho'la-e-'adaavat ke ye baat-baat mein tark-e-ta'alluqaat ki baat bataao kyaa yahi aadaab hain mohabbat ke hamein bhi bakhsh sukun aa kabhi idhar bhi aa ki ham bhi hain mutamanni tiri ziyaarat ke navaazishein tiri haail agar nahin hotin to ham bhi karte nazaare sukun-o-raahat ke damak rahe hain jo daaman pe ban ke laa'l-o-guhar 'habib' ashk hain dar-asl vo nadaamat ke"
"kab hai had-e-imkaani mein rishta aag aur paani mein us kaa saraapaa likkhungaa aaj qalam hai ravaani mein chhoTaa miraa kirdaar sahi shaamil to huun kahaani mein mere maathe par ye shikan us ne di hai nishaani mein aaina hai zulm tiraa meri karb-bayaani mein daanaa karte hain jo kaam main ne kiye naadaani mein chori mere dil ki hui aankhon ki nigaraani mein baap ki dushvaari ke tufail bachche hain aasaani mein mashvara un kaa maanaa nahin maare gae man-maani mein kaaghaz ki hai naav 'habib' sina-sipar tughyaani mein"
"dhuup ko chhaanv likhun sang ko shisha likkhun maslahat kaa hai taqaazaa tujhe achchhaa likkhun kaun hai meri tabaahi kaa sabab kyaa likhun meraa khaama hai ba-zid naam tumhaaraa likkhun justuju meri safar hi mein rahegi kab tak ab to mil jaae koi jis ko main apnaa likkhun be-gharaz mujh pe nahin karte karam ahl-e-karam aur gharaz ye hai ki main un kaa qasida likkhun main ne bechaa hai na bechungaa kabhi apnaa zamir ghair mumkin hai ki qatre ko main dariyaa likkhun khud ubhar aaegi qirtaas pe naayaab ghazal ru-baru baiTh ki main teraa saraapaa likkhun apne maazi kaa qasida to bahut likkhaa 'habib' dil mein aataa hai ki ab haal kaa nauha likkhun"
"jab bhi tiri yaadon ki chalne lagi purvaai har zakhm huaa taaza har choT ubhar aai is baat pe hairaan hain saahil ke tamaashaai ik TuuTi hui kashti har mauj se Takraai maikhaane tak aa pahunchi insaaf ki rusvaai saaqi se hui laghzish rindon ne sazaa paai hangaama huaa barpaa ik jaam agar TuuTaa dil TuuT gae laakhon aavaaz nahin aai ik raat basar kar lein aaraam se divaane aisaa bhi koi vaada ai jaan-e-shakebaai kis darja sitam-gar hai ye gardish-e-dauraan bhi khud aaj tamaashaa hain kal the jo tamaashaai kyaa jaaniye kyaa gham thaa mil kar bhi ye aalam thaa be-khvaab rahe vo bhi ham ko bhi na niind aai"
"ye kaisi havaa-e-gham-o-aazaar chali hai khud baad-e-bahaari bhi sharar-baar chali hai dekhi hi na thi jis ne shikast aaj tak apni vo chashm-e-fusun-khez bhi dil haar chali hai ab koi hadis-e-qad-o-gesu nahin suntaa duniyaa mein vo rasm-e-rasan-o-daar chali hai taktaa hi nahin koi mai o jaam ki jaanib kyaa chaal ye tu ne nigah-e-yaar chali hai vo log kahaan jaaein jo kaafir hain na din-daar phir kashmakash-e-kaafir-o-din-daar chali hai baat aur bhi kuchh mai ki mazammat ke alaava ye baat to ai shaikh kai baar chali hai divaangi-e-shauq mein jo kar gae ham log meyaar-e-khirad ban ke vo guftaar chali hai saazish na ho kuchh dair o haram vaalon ki is mein suntaa huun ki mai-khaane mein talvaar chali hai kab yaad kiyaa ham ko 'hafiz' ahl-e-chaman ne jab ziist su-e-vaadi-e-pur-khaar chali hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"