SHAWORDS

kaash mil jaae mire dil ko mohabbat teri — Hina Abbas

HomeHina AbbasGhazal
"kaash mil jaae mire dil ko mohabbat teri mujh ko har shai se ziyaada hai zarurat teri itni ujlat mein na kar umr ke vaade mujh se do ghaDi baiTh ki main dekh luun surat teri chaahe jitnaa bhi tu chhup jaae miri nazron se main ne har ek mein dekhi hai shabaahat teri ai mohabbat na milaa mujh ko sila tujh se koi farz kar li hai magar khud pe ibaadat teri chaahe jo maang le mujh se hai sabhi kuchh teraa ye miri jaan ye miraa dil hai amaanat teri"
Urdu

کاش مل جائے مرے دل کو محبت تیری مجھ کو ہر شے سے زیادہ ہے ضرورت تیری اتنی عجلت میں نہ کر عمر کے وعدے مجھ سے دو گھڑی بیٹھ کہ میں دیکھ لوں صورت تیری چاہے جتنا بھی تو چھپ جائے مری نظروں سے میں نے ہر ایک میں دیکھی ہے شباہت تیری اے محبت نہ ملا مجھ کو صلہ تجھ سے کوئی فرض کر لی ہے مگر خود پے عبادت تیری چاہے جو مانگ لے مجھ سے ہے سبھی کچھ تیرا یہ مری جاں یہ مرا دل ہے امانت تیری

Hindi

काश मिल जाए मिरे दिल को मोहब्बत तेरी मुझ को हर शय से ज़ियादा है ज़रूरत तेरी इतनी उजलत में न कर उम्र के वा'दे मुझ से दो घड़ी बैठ कि मैं देख लूँ सूरत तेरी चाहे जितना भी तू छुप जाए मिरी नज़रों से मैं ने हर एक में देखी है शबाहत तेरी ऐ मोहब्बत न मिला मुझ को सिला तुझ से कोई फ़र्ज़ कर ली है मगर ख़ुद पे इबादत तेरी चाहे जो माँग ले मुझ से है सभी कुछ तेरा ये मिरी जाँ ये मिरा दिल है अमानत तेरी

kaash mil jaa.e mire dil ko mohabbat terī
Hina Abbas
Hina Abbas
Hina Abbas
poet24 quotes

More by Hina Abbas

View all →
Quote
"ab nahin koi rasta raasta banaanaa hai jitnaa ban sake utnaa raasta banaanaa hai ye nigaah jaati hai chaand aur taaron tak tu bataa kahaan tak kaa raasta banaanaa hai tisraa jo pahlu hai vo bhi dekhnaa hogaa aa gayaa hai doraahaa raasta banaanaa hai aur kyaa banaanaa hai khvaahishon ke jangal mein ghuum phir ke ik sidhaa raasta banaanaa hai ek aur duniyaa hai aasmaan ki us jaanib ab vahaan pe jaane kaa raasta banaanaa hai titliyaan banaani hain phuul bhi banaane hain aur tere aane kaa raasta banaanaa hai"
Hina AbbasHina Abbas

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari