SHAWORDS

khaak ho kar bhi aasmaan DhunDaa — Hina Abbas

HomeHina AbbasGhazal
"khaak ho kar bhi aasmaan DhunDaa tujh ko ham ne kahaan kahaan DhunDaa ham ne raaton ko jaag kar aksar TuuTe khvaabon kaa har nishaan DhunDaa zaat kaa apni kuchh siraa na milaa khud ko ham ne hai kal jahaan DhunDaa ishq haasil kabhi huaa hi nahin umr bhar tujh ko jaan-e-jaan DhunDaa tum ko raahat milegi kaise 'hinaa' tum ne ghar chhoD kar makaan DhunDaa"
Urdu

خاک ہو کر بھی آسماں ڈھونڈا تجھ کو ہم نے کہاں کہاں ڈھونڈا ہم نے راتوں کو جاگ کر اکثر ٹوٹے خوابوں کا ہر نشاں ڈھونڈا ذات کا اپنی کچھ سرا نہ ملا خود کو ہم نے ہے کل جہاں ڈھونڈا عشق حاصل کبھی ہوا ہی نہیں عمر بھر تجھ کو جان جاں ڈھونڈا تم کو راحت ملے گی کیسے حناؔ تم نے گھر چھوڑ کر مکاں ڈھونڈا

Hindi

ख़ाक हो कर भी आसमाँ ढूँडा तुझ को हम ने कहाँ कहाँ ढूँडा हम ने रातों को जाग कर अक्सर टूटे ख़्वाबों का हर निशाँ ढूँडा ज़ात का अपनी कुछ सिरा न मिला ख़ुद को हम ने है कल जहाँ ढूँडा इश्क़ हासिल कभी हुआ ही नहीं उम्र भर तुझ को जान-ए-जाँ ढूँडा तुम को राहत मिलेगी कैसे 'हिना' तुम ने घर छोड़ कर मकाँ ढूँडा

ḳhaak ho kar bhī āsmāñ DhūñDā
Hina Abbas
Hina Abbas
Hina Abbas
poet24 quotes

More by Hina Abbas

View all →
Quote
"ab nahin koi rasta raasta banaanaa hai jitnaa ban sake utnaa raasta banaanaa hai ye nigaah jaati hai chaand aur taaron tak tu bataa kahaan tak kaa raasta banaanaa hai tisraa jo pahlu hai vo bhi dekhnaa hogaa aa gayaa hai doraahaa raasta banaanaa hai aur kyaa banaanaa hai khvaahishon ke jangal mein ghuum phir ke ik sidhaa raasta banaanaa hai ek aur duniyaa hai aasmaan ki us jaanib ab vahaan pe jaane kaa raasta banaanaa hai titliyaan banaani hain phuul bhi banaane hain aur tere aane kaa raasta banaanaa hai"
Hina AbbasHina Abbas
Quote
"har ek shab ke guzarne pe muskuraati hai ye zindagi yuun mujhe hausla dilaati hai tumhaare haathon ne thaamaa hai jab se haath miraa har ek samt se ThanDi havaa hi aati hai jidhar bhi jaaun kisi samt bhi chalun chaahe hai jo bhi raah mujhe tum se hi milaati hai suneinge tujh ko bhi gar mil gai hamein fursat tu itnaa shor kyuun ai zindagi machaati hai zamaane bhar mein mire aib uchhaalne vaale tiri ye baat mujhe har ghaDi rulaati hai agarche der hui manzilon ko paane mein 'hinaa' har ek qadam azm se uThaati hai"
Hina AbbasHina Abbas

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar