"bahut mushkil hai paas-e-lazzat-e-dard-e-jigar karnaa kisi se ishq karnaa aur vo bhi umar bhar karnaa sar-e-mahfil tiraa vo pursish-e-zakhm-e-jigar karnaa miri jaanib ba-mushkil ik nazar karnaa magar karnaa musallam ho gai hai be-ikhtiyaari jazb-e-baatin ki mohabbat us se karnaa jis se nafrat is qadar karnaa yahaan baal-o-pari bhi ek surat hai asiri ki asir-e-baal-o-par ho kar ghurur-e-baal-o-par karnaa tujhe haq hai ki tu parda uThaae ru-e-raushan se ki tere husn ko aataa hai tahzib-e-nazar karnaa baDhaa kar haath taare aasmaan se kaun toDegaa 'jamil' ik kaar-e-naa-mumkin hai taqlid-e-qamar karnaa"
kab tak nibaahein aise ghalat aadmi se ham — Jameel Mazhari
"kab tak nibaahein aise ghalat aadmi se ham duniyaa hai 'mazhari' se khafaa 'mazhari' se ham bhaage zarur arsa-e-tang-e-khudi se ham nikle magar na daaira-e-aagahi se ham is zindagi ne aap se rakkhaa hai mujh ko duur kis tarah intiqaam na lein zindagi se ham har jaama-e-sifaat mein kyuun kar na jhol ho hai ye ki naapte hain khudaa ko khudi se ham tulte hain jis taraazu mein sim-o-zar o guhar kyaa zulm hai dilon ko bhi taulein usi se ham sairaabiyaan 'jamil' ko itnaa na de sakin jitnaa ki faizyaab hue tishnagi se ham"
کب تک نباہیں ایسے غلط آدمی سے ہم دنیا ہے مظہریؔ سے خفا مظہریؔ سے ہم بھاگے ضرور عرصۂ تنگ خودی سے ہم نکلے مگر نہ دائرۂ آگہی سے ہم اس زندگی نے آپ سے رکھا ہے مجھ کو دور کس طرح انتقام نہ لیں زندگی سے ہم ہر جامہ صفات میں کیوں کر نہ جھول ہو ہے یہ کہ ناپتے ہیں خدا کو خودی سے ہم تلتے ہیں جس ترازو میں سیم و زر و گہر کیا ظلم ہے دلوں کو بھی تولیں اسی سے ہم سیرابیاں جمیلؔ کو اتنا نہ دے سکیں جتنا کہ فیضیاب ہوئے تشنگی سے ہم
कब तक निबाहें ऐसे ग़लत आदमी से हम दुनिया है 'मज़हरी' से ख़फ़ा 'मज़हरी' से हम भागे ज़रूर अर्सा-ए-तंग-ए-ख़ुदी से हम निकले मगर न दाएरा-ए-आगही से हम इस ज़िंदगी ने आप से रक्खा है मुझ को दूर किस तरह इंतिक़ाम न लें ज़िंदगी से हम हर जामा-ए-सिफ़ात में क्यूँ कर न झोल हो है ये कि नापते हैं ख़ुदा को ख़ुदी से हम तुलते हैं जिस तराज़ू में सीम-ओ-ज़र ओ गुहर क्या ज़ुल्म है दिलों को भी तौलें उसी से हम सैराबियाँ 'जमील' को इतना न दे सकीं जितना कि फ़ैज़याब हुए तिश्नगी से हम

More by Jameel Mazhari
View all →"main kyaa bataaun ki tu kyaa hai aur kyaa huun main hujum-e-lafz-o-maaani mein kho gayaa huun main pinhaa de koi mohabbat ki ek kaDi zanjir ki qaid-e-farz se baahar nikal gayaa huun main savaab ko nai shaklein jo de rahaa hai tu gunaah ke nae saanche banaa rahaa huun main junun miraa khirad-aasuda-e-nataaej hai khud apne paanv ki zanjir Dhaaltaa huun main miri nazar mein tajalli ki kyaa haqiqat hai tajalliyon ki haqiqat ko dekhtaa huun main giraa chukaa thaa jise kal nazar se apni 'jamil' ghurur ab usi pasti pe kar rahaa huun main"
"kaho na ye ki mohabbat hai tirgi se mujhe Daraa diyaa hai patangon ne raushni se mujhe safina shauq kaa ab ke jo Duub kar ubhraa nikaal le gayaa dariyaa-e-be-khudi se mujhe hai meri aankh mein ab tak vahi safar kaa ghubaar milaa jo raah mein sahraa-e-aagahi se mujhe khirad inhi se banaati hai rahbari kaa mizaaj ye tajrabe jo mayassar hain gumrahi se mujhe abhi to paanv se kaanTe nikaaltaa huun main abhi nikaal na gulzaar-e-zindagi se mujhe zabaan-e-haal se kahtaa hai naaz-e-ishva-gari hayaa chhupaa na saki chashm-e-mazhari se mujhe baraae daad-e-sukhan kaasa-e-savaal ho dil khudaa bachaae 'jamil' is gadaagari se mujhe"
"parda haail jo thaa kahaan hai ab teraa jalva hi darmiyaan hai ab shama kahti rahi jise shab bhar khaatme par vo daastaan hai ab meri nazron ki ik thakan ke sivaa aur kyaa chiiz aasmaan hai ab sabr kaa mere imtihaan to huaa teri rahmat kaa imtihaan hai ab tu bhi meri tarah na ho naakaam fikr ye rab-e-do-jahaan hai ab kaamyaabi ke gur bataane lagi ishq par aql mehrbaan hai ab 'mazhari' pesh-e-kaarvaan thaa kabhi 'mazhari' gard-e-kaarvaan hai ab"
"kaun kahtaa hai baDhaa shauq idhar se pahle kis ne dekhaa thaa kise tirchhi nazar se pahle mutmain ho le zaraa ahl-e-nazar se pahle parde aankhon ke uThaa parda-e-dar se pahle abhi taalim-e-vafaa yaani jafaa kaa nahin vaqt tarbiyat shauq ki ho lutf-e-nazar se pahle haan mohabbat mein maza hai mujhe inkaar nahin magar ai zauq-e-khalish dard-e-jigar se pahle saalik-e-raah-e-vafaa hai dil-e-aashufta-mizaaj muzhda-e-gumrahi-e-shauq-e-safar se pahle jurat-e-arz-e-tamannaa pe khafaa ho lenaa muskuraao to zaraa nichi nazar se pahle mausam-e-kaif mein be-kaifi-e-jazbaat na puchh dil-e-bulbul hai fasurda gul-e-tar se pahle jumbish-e-muztarib-e-parda-e-ismat ki qasam jalve betaab hue zauq-e-nazar se pahle jin se badnaam hue ishq ke jazbaat-e-latif vo ishaare the idhar se ki udhar se pahle do iraadon mein jo haail the hayaa ke parde kis ne sarkaae ishaaraat-e-nazar se pahle kyuun koi pahlu-e-jaanaan mein jagah paae 'jamil' aaj ham bazm mein pahuncheinge qamar se pahle"
"'jamil' ko gumrahi mubaarak ki ab to saamaan bhi vahi hai jo dil ki vahshat kaa thaa taqaaza khirad kaa mailaan bhi vahi hai khudi mohabbat ke falsafe mein hai us ke jazbon ki maut lekin kuchh aur dil mein utar ke dekho to ishq ki jaan bhi vahi hai bani thi hamdard ishq ki jab to aql ko ye bhi dekhnaa thaa ki jis ko vo faaeda samajhti hai us kaa nuqsaan bhi vahi hai hamaari mizaan-e-aagahi mein yaqin kyaa hai gumaan ki shiddat jo shak ki aaghosh mein palaa ho usulan imaan bhi vahi hai 'jamil' kaisi khudaa-parasti vahi ghuTi khvaahishon ki masti Duboi jis ne hamaari kashti tumhaaraa tufaan bhi vahi hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"