SHAWORDS

kali kaa ruup chaman ko nikhaar hain ham log — Basit Azeem

HomeBasit AzeemGhazal
"kali kaa ruup chaman ko nikhaar hain ham log bahaar ham se hai jaan-e-bahaar hain ham log halaak-e-ranj hain gham kaa shikaar hain ham log zamaana biit gayaa be-qaraar hain ham log shikaar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kyaa hote harif-e-gardish-e-lail-o-nahaar hain ham log koi kahe gham-e-jaanaan ko kaise apnaaein ki mubtalaa-e-gham-e-rozgaar hain ham log bisaat-e-dahr pe kuchh apnaa ikhtiyaar nahin khudaa gavaah ki be-ikhtiyaar hain ham log uDaae phirti hai har-su havaa-e-dahr hamein havaa ke saath misaal-e-ghubaar hain ham log fazaa-e-dasht mein jaise ghazaal aavaara ravaan ravaan yunhi divaana-vaar hain ham log agarche shahr bhi apnaa hai mulk bhi apnaa 'azim' phir bhi gharib-ud-dayaar hain ham log"
Urdu

کلی کا روپ چمن کو نکھار ہیں ہم لوگ بہار ہم سے ہے جان بہار ہیں ہم لوگ ہلاک رنج ہیں غم کا شکار ہیں ہم لوگ زمانہ بیت گیا بے قرار ہیں ہم لوگ شکار گردش لیل و نہار کیا ہوتے حریف گردش لیل و نہار ہیں ہم لوگ کوئی کہے غم جاناں کو کیسے اپنائیں کہ مبتلائے غم روزگار ہیں ہم لوگ بساط دہر پہ کچھ اپنا اختیار نہیں خدا گواہ کہ بے اختیار ہیں ہم لوگ اڑائے پھرتی ہے ہر سو ہوائے دہر ہمیں ہوا کے ساتھ مثال غبار ہیں ہم لوگ فضائے دشت میں جیسے غزال آوارہ رواں رواں یوں ہی دیوانہ وار ہیں ہم لوگ اگرچہ شہر بھی اپنا ہے ملک بھی اپنا عظیمؔ پھر بھی غریب الدیار ہیں ہم لوگ

Hindi

कली का रूप चमन को निखार हैं हम लोग बहार हम से है जान-ए-बहार हैं हम लोग हलाक-ए-रंज हैं ग़म का शिकार हैं हम लोग ज़माना बीत गया बे-क़रार हैं हम लोग शिकार-ए-गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार क्या होते हरीफ़-ए-गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार हैं हम लोग कोई कहे ग़म-ए-जानाँ को कैसे अपनाएँ कि मुब्तला-ए-ग़म-ए-रोज़गार हैं हम लोग बिसात-ए-दहर पे कुछ अपना इख़्तियार नहीं ख़ुदा गवाह कि बे-इख़्तियार हैं हम लोग उड़ाए फिरती है हर-सू हवा-ए-दहर हमें हवा के साथ मिसाल-ए-ग़ुबार हैं हम लोग फ़ज़ा-ए-दश्त में जैसे ग़ज़ाल आवारा रवाँ रवाँ यूँही दीवाना-वार हैं हम लोग अगरचे शहर भी अपना है मुल्क भी अपना 'अज़ीम' फिर भी ग़रीब-उद-दयार हैं हम लोग

kalī kā ruup chaman ko nikhār haiñ ham log
Basit Azeem
Basit Azeem
Basit Azeem
poet19 quotes

More by Basit Azeem

View all →
Quote
"ye kis ne aatish-e-ehsaas ko havaa di hai ki meri ruuh mein ik aag si lagaa di hai asir-e-lazzat-e-duniyaa huaa to aap huaa mujhe numud ki khvaahish ne ye sazaa di hai main aise lamhon ko kyaa naam duun ki jab main ne khud apne aap ko shiddat se badduaa di hai nadaamatein mire maazi se kar rahi hain savaal vo maah-o-saal ki daulat kahaan luTaa di hai ajiib tarah ki vo daastaan hai ham ne jise kahin se yaad rakhi hai kahin bhulaa di hai ai rah-ravaan-e-rah-e-shauq khauf hai kaisaa jo raaste mein thi divaar vo giraa di hai"
Basit AzeemBasit Azeem
Quote
"har shakhs liye kaasa-e-ummid khaDaa hai mahsus ye hotaa hai koi qaht paDaa hai chehron pe ghubaar-e-gham-e-haalaat paDaa hai ham ahl-e-kharaabaat pe ye vaqt kaDaa hai ye sach hai tiraa qad to mire qad se baDaa hai lekin tu sar-e-vaadi-e-pindaar khaDaa hai ye vasl ke lamhe hain bahar-haal ghanimat 'isyaan ki talaafi ko baDaa vaqt paDaa hai us shakhs ko kis naam se mausum karun main saae ki tarah jo mire nazdik khaDaa hai ye kis ne samoi miri guftaar mein shokhi ye kaun pas-e-parda-e-alfaaz khaDaa hai alfaaz kaa marham nahin is zakhm kaa darmaan jo zakhm tire tarz-e-takallum se paDaa hai 'baasit' kabhi us mard-e-qalandar se bhi milte allaah-re vo shakhs ki jo khud se laDaa hai"
Basit AzeemBasit Azeem
Quote
"'ishq hotaa hai jaan-levaa bhi ai mire yaar tu ne sochaa bhi tum ne chehra to apnaa dekh liyaa kyaa huaa aaina jo TuuTaa bhi dast-e-farzaangi mein patthar the main ne dekhaa hai ye tamaashaa bhi hai jo shikva-guzaar-e-saaya-e-zulf zulf ke saae mein vo Thahraa bhi ghar mein rahnaa bhi ab nahin aasaan aur hai band raah-e-sahraa bhi hai bahut mujh ko 'umr-bhar ke liye teri chaahat kaa ek lamha bhi apni hi raushni mein chaltaa huun saath chaltaa hai meraa saayaa bhi ham to sau baar tark-e-'ishq karein sar se nikle magar ye saudaa bhi dekh 'baasit-azim' jhuuT na bol kahin hotaa hai yaar aisaa bhi"
Basit AzeemBasit Azeem
Quote
"kuchh is tarah se nizaam-exgul-o-bahaar chale ki eatibaar-e-mohabbat kaa kaarobaar chale nisaar dil ko to pahle hi kar chuke the ham bas ek jaan thi vo aaj tujh pe vaar chale huaa na aaj bhi haasil hamein tiraa didaar ham aaj bhi tire kuche se ashk-baar chale sukun yahaan bhi mayassar na ho sakaa dil ko tumhaari bazm mein aa kar bhi be-qaraar chale dil-o-nigaah hain ik mast-e-naaz ke bas mein dil-o-nigaah pe ab kis kaa ikhtiyaar chale raheinge ham shajar-e-saaya-daar ki surat riyaaz-e-dahr mein baad-e-khizaan hazaar chale khizaan-sifat tiri mahfil mein aae the lekin ham anjuman se tiri surat-e-bahaar chale chale 'azim' kuchh is tarah bazm se uTh kar ki jaise shahr-e-nigaaraan se shahryaar chale"
Basit AzeemBasit Azeem
Quote
"aise harjaai se koi kis tarah yaari kare bhuul kar apnon ko jo ghairon ki gham-khvaari kare sab ke aage to banaa phirtaa hai vo maasum saa jab hamaare saamne aae to makkaari kare vo clerki se taraqqi paa ke afsar ho gayaa harkatein lekin abhi tak vo bhi baazaari kare afsari ki dhaak kyaa kam thi ki shaair ho gayaa shaair-e-sarkaar hai kyon kaam sarkaari kare achchhe achchhe ki uchhal jaati hai pagDi ishq mein paas ho izzat kaa jis ko jaage ghar-daari kare kis qadar majbur hai insaan roTi ke liye ruup dhaare nit-nae kaisi adaakaari kare khud hi uksaae shariat ke liye vo mard-e-haq log jab maangein shariat to hadein jaari kare gaanv vaalon kaa gila hai shahr vaalon se 'azim' shahr vaale aish uDaaein mehnatein haari kare"
Basit AzeemBasit Azeem
Quote
"tiraa khayaal faqat meraa aaina kyon hai tu hi bataa miri fitrat mein ye vafaa kyon hai khizaan-nasib bahaaron kaa silsila kyon hai hamaare saath hi aakhir ye haadisa kyon hai amir-e-shahr se har aadmi hai ham-aahang gharib-e-shahr magar itnaa be-navaa kyon hai har ek lamha dikhaaegaa dard ki tasvir gae zamaane ki jaanib tu dekhtaa kyon hai agarche jhuuT hi me'yaar-e-sidq Thahraa hai to phir ye sach ke khudaaon ko pujtaa kyon hai khud apne aap ko tu ne bikher rakkhaa thaa ab apne aap ko aakhir sameTaa kyon hai vo jin kaa zikr bhi tauhin-e-aadamiyyat thaa ab aise khaak-nashinon kaa tazkira kyon hai hamein pata hai ki kyaa ‘arz-e-mudda'aa hogaa hamaare saamne tamhid baandhtaa kyon hai agar nahin hai asar meri aah-o-zaari mein sukut-e-shab mire naalon se TuTtaa kyon hai jab us se koi ta'alluq nahin 'azim' to phir hamaari samt mohabbat se dekhtaa kyon hai"
Basit AzeemBasit Azeem

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb