SHAWORDS

karein kis liye ham kisi kaa lihaaz — Jaimini Sarshar

"karein kis liye ham kisi kaa lihaaz kisi ko nahin jab hamaaraa lihaaz musaavaat us chiiz kaa naam hai ki uTh jaae chhoTe baDe kaa lihaaz lihaaz is kaa kuchh tum ko bhi chaahiye kiyaa ham ne kitnaa tumhaaraa lihaaz kisi ki koi baat suntaa nahin kisi ko nahin ab kisi kaa lihaaz khari baat kahne ke aadi hain ham na bejaa muravvat na bejaa lihaaz jo insaan zamaane ke kaam aaegaa usi kaa karegaa zamaana lihaaz na rutba na ohda na zar hai na zor kare kaun 'sarshaar' teraa lihaaz"
Urdu

کریں کس لیے ہم کسی کا لحاظ کسی کو نہیں جب ہمارا لحاظ مساوات اس چیز کا نام ہے کہ اٹھ جائے چھوٹے بڑے کا لحاظ لحاظ اس کا کچھ تم کو بھی چاہئے کیا ہم نے کتنا تمہارا لحاظ کسی کی کوئی بات سنتا نہیں کسی کو نہیں اب کسی کا لحاظ کھری بات کہنے کے عادی ہیں ہم نہ بے جا مروت نہ بے جا لحاظ جو انساں زمانے کے کام آئے گا اسی کا کرے گا زمانہ لحاظ نہ رتبہ نہ عہدہ نہ زر ہے نہ زور کرے کون سرشارؔ تیرا لحاظ

Hindi

करें किस लिए हम किसी का लिहाज़ किसी को नहीं जब हमारा लिहाज़ मुसावात उस चीज़ का नाम है कि उठ जाए छोटे बड़े का लिहाज़ लिहाज़ इस का कुछ तुम को भी चाहिए किया हम ने कितना तुम्हारा लिहाज़ किसी की कोई बात सुनता नहीं किसी को नहीं अब किसी का लिहाज़ खरी बात कहने के आदी हैं हम न बेजा मुरव्वत न बेजा लिहाज़ जो इंसाँ ज़माने के काम आएगा उसी का करेगा ज़माना लिहाज़ न रुत्बा न ओहदा न ज़र है न ज़ोर करे कौन 'सरशार' तेरा लिहाज़

kareñ kis liye ham kisī kā lihāz
Jaimini Sarshar
Jaimini Sarshar
Jaimini Sarshar
poet10 quotes

More by Jaimini Sarshar

View all →
Quote
"bahut khush the saahil qarib aa gayaa safina kinaare se Takraa gayaa hai behad khatarnaak bahr-e-jahaan jo insaan bhi is mein Duubaa gayaa tire Dar se chhup-chhup ke piite the ham gayaa shaikh ab vo zamaana gayaa mujhe zindagi ki duaaein na do main aisi duaaon se uktaa gayaa na samho kisi ki kisi baat ko tumhein kaun ye baat samjhaa gayaa vafaaein nahin vo jafaaein nahin nizaam-e-jahaan kuchh badal saa gayaa ye chhup chhup ke milnaa bhi hai ik azaab koi aa gayaa vo koi aa gayaa yahaan the to 'sarshaar' kyaa kuchh na the gae vo to khat bhi na bhejaa gayaa"
Jaimini SarsharJaimini Sarshar
Quote
"jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDaa ho mushkil mein insaan vo kyaa mar miTne kaa ehsaas na ho jis ke dil mein hansne kaa tariqa paidaa kar rone kaa saliqa paidaa kar hans phuul ki surat gulshan mein ro shama ki surat mahfil mein qaatil ke dil ki kamzori ne saaraa kaam bigaaD diyaa ham tishna-e-shauq-e-shahaadat the khanjar bhi thaa dast-e-qaatil mein mahfil ki mahfil behis hai taari hai jumud insaanon par uTh soz kaa aalam barpaa kar aur aag lagaa de har dil mein har qatra dariyaa banne ko betaab dikhaai detaa hai har mauj-e-ravaan bechain nazar aati hai firaaq-e-saahil mein 'sarshaar' vo kyunkar kahte hain ham qaum o vatan ke khaadim hain Daale na gae jo zindaan mein jakDe na gae jo salaasil mein"
Jaimini SarsharJaimini Sarshar
Quote
"be-hijaab aap ke aane ki zarurat kyaa thi yuun mire hosh uDaane ki zarurat kyaa thi ham se kahnaa thaa Dubo dete safina apnaa itne tufaan uThaane ki zarurat kyaa thi jab se aayaa huun yahaan mohr-ba-lab baiThaa huun mujh ko mahfil mein bulaane ki zarurat kyaa thi apne kirdaar-o-amal par jo bharosa hotaa aap ke naaz uThaane ki zarurat kyaa thi yuun bhi ho sakte the aabaad tire viraane ham ko divaana banaane ki zarurat kyaa thi ashk-e-khun baad mein 'sarshaar' bahaane the agar khun-e-ushshaaq bahaane ki zarurat kyaa thi"
Jaimini SarsharJaimini Sarshar

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar