SHAWORDS

khaak aur khvaab ki dahliz se baahar ho kar — Shaheen Abbas

HomeShaheen AbbasGhazal
"khaak aur khvaab ki dahliz se baahar ho kar ham ne manzar ko jilaa di pas-e-manzar ho kar kaisi aasaani mein hain donon kinaare dil ke mauj anjaam ko pahunchi hai samundar ho kar masala aan paDaa hai qad-o-qaamat kaa ise dil ki dam legaa kahin dard baraabar ho kar vahi aansu tar-o-taaza khabar-aaraa dekhe jab bhi dekhaa hai kabhi ghaar ke andar ho kar naqs jaate rahe Duube hue din ke 'shaahin' shaam aankhon se nikal aai hai behtar ho kar"
Urdu

خاک اور خواب کی دہلیز سے باہر ہو کر ہم نے منظر کو جلا دی پس منظر ہو کر کیسی آسانی میں ہیں دونوں کنارے دل کے موج انجام کو پہنچی ہے سمندر ہو کر مسئلہ آن پڑا ہے قد و قامت کا اسے دل کہ دم لے گا کہیں درد برابر ہو کر وہی آنسو تر و تازہ خبر آرا دیکھے جب بھی دیکھا ہے کبھی غار کے اندر ہو کر نقص جاتے رہے ڈوبے ہوئے دن کے شاہینؔ شام آنکھوں سے نکل آئی ہے بہتر ہو کر

Hindi

ख़ाक और ख़्वाब की दहलीज़ से बाहर हो कर हम ने मंज़र को जिला दी पस-ए-मंज़र हो कर कैसी आसानी में हैं दोनों किनारे दिल के मौज अंजाम को पहुँची है समुंदर हो कर मसअला आन पड़ा है क़द-ओ-क़ामत का इसे दिल कि दम लेगा कहीं दर्द बराबर हो कर वही आँसू तर-ओ-ताज़ा ख़बर-आरा देखे जब भी देखा है कभी ग़ार के अन्दर हो कर नक़्स जाते रहे डूबे हुए दिन के 'शाहीन' शाम आँखों से निकल आई है बेहतर हो कर

ḳhaak aur ḳhvāb kī dahlīz se bāhar ho kar
Shaheen Abbas
Shaheen Abbas
Shaheen Abbas
poet76 quotes

More by Shaheen Abbas

View all →
Quote
"dil ho charaagh ho ki sitaara koi to ho qaaem-maqaam yaa'ni tumhaaraa koi to ho kab shor saa uThegaa kab uTTheingi ungliyaan ham hain bhi aur nahin bhi ishaara koi to ho ik surmai uchhaal ho aisi ki jaise shaam din Dubtaa hai din kaa sahaaraa koi to ho teri taraf se koi rukaavaT nahin magar teri tarah se yaad dobaara koi to ho do aansuon mein ek to maanein ki hai jo hai do paaniyon mein paani gavaara koi to ho Thokar hi jhuT-muT ki khaaun Thahar to jaaun ab is gumaan-guzar kaa kinaara koi to ho dil aise ek dil ki binaa aur bhi rakkhein yaa'ni hamaare baa'd hamaaraa koi to ho"
Shaheen AbbasShaheen Abbas
Quote
"khvaabida hain is lams mein imkaan kuchh aise main harf-e-digar huun mujhe pahchaan kuchh aise is baar sabhi chup hain mujhe rokne vaale main sab ko kiye jaataa huun hairaan kuchh aise ye jaise mire rang-e-ravaan ki nigaraan hai har aan miraa dhuup mein hai dhyaan kuchh aise main jaise koi khaak-ba-sar khvaab-e-safar huun raste mein paDaa hai miraa saamaan kuchh aise ham fard-e-junun khol ke mushkil mein na paD jaaein is fard mein kar rakkhi hai mizaan kuchh aise aainon ke is karb mein ham apni kahein kyaa aaina hai aaine pe hairaan kuchh aise"
Shaheen AbbasShaheen Abbas
Quote
"naqsh kartaa ram-o-raftaar inaan-gir ko main kaisaa chhankaataa huaa chaltaa huun zanjir ko main ghaib-o-ghaflat kaa idhar jashn manaa luun to chalun abhi taakhir samajhtaa nahin taakhir ko main khaamushi meri kuchh aisi hadaf aagaah nahin baat be-baat chalaa detaa huun is tiir ko main saatvaan din magar achchhaa nahin guzraa meraa chhe din ulTaataa rahaa parda-e-taamir ko main mauj-e-khun mujh se bas ab shaam ki duuri par hai kitne din aur bachaa saktaa huun shamshir ko main darmiyaan meraa ilaaqa hai bataaun na bataaun ek tasvir kaa dukh dusri tasvir ko main phir vo satr aati hai jab asal likhi jaati hai mujh ko tahrir miTaa aati hai tahrir ko main kahaan le jaane ko thi paanv ki zanjir mujhe kahaan le aayaa magar paanv ki zanjir ko main nazm ho baiThaa huun aahang-daron ke haathon nazm kartaa huaa ik naala-e-shab-gir ko main"
Shaheen AbbasShaheen Abbas
Quote
"is gali mein kuchh nahin bas ghaTtaa baDhtaa shor hai ik makin ki khaamushi hai ik makaan kaa shor hai shaam-e-shor-angez ye sab kyaa hai be-hadd-o-hisaab itni aavaazein nahin duniyaa mein jitnaa shor hai ek mazmun hai par aapas mein sabaq miltaa nahin apni apni khaamushi hai apnaa apnaa shor hai naql karti hai mire chalte mein viraani miri ye jo mere shor-e-paa se miltaa-jultaa shor hai main ye kyaa yaktaa-e-hangaama huun apne chaar-su kyaa akeli haa-o-hu hai kaisaa tanhaa shor hai khaali dil phir khaali dil hai khaali ghar ki bhi na puchh achchhe khaase log hain aur achchhaa-khaasaa shor hai saamne ki yaad juDti hai bahut pichhe kahin sab 'aqab se aa rahaa hai aage jitnaa shor hai"
Shaheen AbbasShaheen Abbas

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud