SHAWORDS

khabar nahin vo ziyaa-baar karne aayaa thaa — Anwar Shamim

HomeAnwar ShamimGhazal
"khabar nahin vo ziyaa-baar karne aayaa thaa ki aur raaste dushvaar karne aayaa thaa vo sab ko haq kaa taraf-daar karne aayaa thaa ki apnaa haashiya-bardaar karne aayaa thaa mujhe chaDhaa diyaa un sab ne mil ke suuli par main jin ko niind se bedaar karne aayaa thaa sulag rahi hai jo basti koi sabab hogaa fazaa ko koi to bimaar karne aayaa thaa supurdagi mein aqidat nahin thi hushyaari vo ik vasile ko hathiyaar karne aayaa thaa ye kyaa ki khud ise taaraaj karne vaalaa huun main jis zamin ko gulzaar karne aayaa thaa"
Urdu

خبر نہیں وہ ضیا بار کرنے آیا تھا کہ اور راستے دشوار کرنے آیا تھا وہ سب کو حق کا طرف دار کرنے آیا تھا کہ اپنا حاشیہ بردار کرنے آیا تھا مجھے چڑھا دیا ان سب نے مل کے سولی پر میں جن کو نیند سے بیدار کرنے آیا تھا سلگ رہی ہے جو بستی کوئی سبب ہوگا فضا کو کوئی تو بیمار کرنے آیا تھا سپردگی میں عقیدت نہیں تھی ہشیاری وہ اک وسیلے کو ہتھیار کرنے آیا تھا یہ کیا کہ خود اسے تاراج کرنے والا ہوں میں جس زمین کو گلزار کرنے آیا تھا

Hindi

ख़बर नहीं वो ज़िया-बार करने आया था कि और रास्ते दुश्वार करने आया था वो सब को हक़ का तरफ़-दार करने आया था कि अपना हाशिया-बरदार करने आया था मुझे चढ़ा दिया उन सब ने मिल के सूली पर मैं जिन को नींद से बेदार करने आया था सुलग रही है जो बस्ती कोई सबब होगा फ़ज़ा को कोई तो बीमार करने आया था सुपुर्दगी में अक़ीदत नहीं थी हुश्यारी वो इक वसीले को हथियार करने आया था ये क्या कि ख़ुद इसे ताराज करने वाला हूँ मैं जिस ज़मीन को गुलज़ार करने आया था

ḳhabar nahīñ vo ziyā-bār karne aayā thā
Anwar Shamim
Anwar Shamim
Anwar Shamim
poet13 quotes

More by Anwar Shamim

View all →
Quote
"kisi khalal mein nahin ham hain vasvase mein nahin hamaare chehron ke ab 'aks aaine mein nahin ghazab to ye hai ki ab apne haafize mein nahin kabhi kitaab the ham aaj haashiye mein nahin ham apne zehn ke andar vo apne jism mein qaid khulaa koi bhi kisi se mu’aanqe mein nahin har ek haath pe do gaz zamin hai likkhi hui mili kisi ko ziyaada mushaahide mein nahin varaq varaq vo hai sandal gulaab 'itr dhanak kitaab aisi jo aae mutaala’e mein nahin phir us ke baa'd bahut se buland-qad to hue mire husain ke lekin muqaable mein nahin"
Anwar ShamimAnwar Shamim
Quote
"havaa kabhi yuun bhi iThlaati aati thi paayal se santur bajaati aati thi aisaa khushk kinaaraa ye saahil kab thaa nadi yahaan tak bhi lahraati aati thi ek sitaaraa jagmag kartaa thaa chhat par kiran zamin tak badan churaati aati thi vahshi apni dhuul uDaataa jaataa thaa khalq-e-khudaa neze lahraati aati thi khule hue gulzaar si koi khush-badani shahar-e-sukut mein lahar uThaati aati thi shahzaadi phir shahr-e-sabaa ko lauT gai dasht mein jo sau shamein jalaati aati thi yahi nidaa-e-koh jo aati hai kal bhi bakht-buridon ko bahlaati aati thi"
Anwar ShamimAnwar Shamim
Quote
"hujum-e-gham-zadagaan sabr se mukar nahin jaae aur ittihaam usi bebasi ke sar nahin jaae nikalne hi ko hai mahtaab baadalon se abhi ye intizaar isi aasare pe mar nahin jaae bahut zaruri diyon kaa havaaon se hai bachaao ki saaz-baaz-e-havas kuchh kamaal kar nahin jaae main phuul baanTne niklun to Dar bhi saath phire lahu se kaasa-e-gul be-qayaas bhar nahin jaae ye kyaa hai aisaa ki sihran si saare jism mein hai kuein mein aag ke duniyaa kahin utar nahin jaae mili bhi saaat-e-qurbat to shaakh chhu na sake fishaar-e-khun badan mein kahin biphar nahin jaae sameTte to hain ham lakht-e-jaan pe sochte hain havaa-e-tund mein phir se makaan bikhar nahin jaae"
Anwar ShamimAnwar Shamim
Quote
"kyaa zaruri hai ki bas shor-o-shaghab mein rahaa jaae bhiiD ke saath chalein aur aqab mein rahaa jaae mujh mein dariyaa miraa kyon josh pe ab aataa nahin kab talak sabr se girdaab-e-adab mein rahaa jaae koi tadbir ki ye dasht bhi ho baagh-e-jinaan kuchh to is khaak ke bhi khair talab mein rahaa jaae koi ghaughaa hi uThaa chaahiye viraana-e-shab habs ye TuuTe kuchh is fikr-e-naqab mein rahaa jaae ik zaraa apne kuein se kabhi baahar ko jiein ik zaraa auron ke bhi dard-o-taab mein rahaa jaae sochtaa huun nayaa aabaad karun qarya-e-ishq aur phir shaan se is shahar-e-ajab mein rahaa jaae qarz miTTi kaa kabhi yuun adaa kar jaaein 'shamim' giit ban kar ke har ik ghuncha-e-lab mein rahaa jaae"
Anwar ShamimAnwar Shamim
Quote
"zamaana apni hi surat pe marne lag jaae to kyaa ab aaina khud se mukarne lag jaae kisi sadaa mein vo aahang-e-inqalaab to ho ki khaar-zaaron ki duniyaa sanvarne lag jaae hamein ye dhyaan to rakhnaa thaa baad-o-baaraan se qabl ki sail-e-aab na sar se guzarne lag jaae sitaara ab koi divaar-e-shab mein dar to kare ujaalaa dasht-e-siyah mein utarne lag jaae karoge kyaa jo na kashti-e-jaan Duboi gai tum ehtimaam karo ye ubharne lag jaae chalo na ham koi surat mufid si sochein fizaai baagh zaraa aur nikharne lag jaae"
Anwar ShamimAnwar Shamim

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb