Quote
"jazb-e-dil kaargar nahin hotaa us ke dil par asar nahin hotaa dard dil mein agar nahin hotaa baat mein kuchh asar nahin hotaa na kare tark pairvi jab tak raah-rau raahbar nahin hotaa rang laati nahin mohabbat kuchh soz jab tak sharar nahin hotaa nahin khultaa dar-e-nashaat-e-abad chaak jab tak jigar nahin hotaa baDhte jaate hain raah mein kaanTe yaarab aage safar nahin hotaa jaantaa huun maaal-e-betaabi dil pe qaabu magar nahin hotaa ho na jab tak usi kaa fazl-o-karam qatra dariyaa 'jigar' nahin hotaa"
