SHAWORDS

nahin ki chaara-e-dard-e-nihaan nahin maalum — Jigar Barelvi

HomeJigar BarelviGhazal
"nahin ki chaara-e-dard-e-nihaan nahin maalum dil-e-hazin ko ho manzur haan nahin maalum le aai hai hamein vahshat kahaan nahin maalum savaad-e-dasht hai yaa gulistaan nahin maalum shahid-e-naaz ki mayyat chale hain dafnaane magar hai kucha-e-jaanaan kahaan nahin maalum hazaaron khaar chubhe hain hamaare talvon mein qadam hain kis liye ab bhi ravaan nahin maalum subut-e-ishq mein ham jaan de to dein lekin yaqin bhi laaegaa bad-gumaan nahin maalum azal se loTte angaaron par ham aae hain hai kab tak aur abhi imtihaan nahin maalum ilaaj kyaa karein ham aur kyaa bataaein haal kahin hai dard magar hai kahaan nahin maalum jalaa dil aur huaa raakh muddatein guzrin ye ab uThaa hai kahaan se dhuaan nahin maalum na jaane kaun si manzil pe hai ki gum hain havaas dil-e-hazin hai kahaan ham kahaan nahin maalum chaman mein ham na khas-o-khaar-e-aashiyaan baaqi lapak rahi hain ye kyuun bijliyaan nahin maalum gham-o-malaal se paayaa kabhi na dil ne faraagh qafas milaa ki hamein aashiyaan nahin maalum thi qaid-e-zist ki aaghosh-e-gham kisi ki 'jigar' ye ruuh jaae nikal kar kahaan nahin maalum kahaan gae vo shab-o-roz aur vo maah-o-saal kabhi 'jigar' bhi hue the javaan nahin maalum"
Urdu

نہیں کہ چارۂ درد نہاں نہیں معلوم دل حزیں کو ہو منظور ہاں نہیں معلوم لے آئی ہے ہمیں وحشت کہاں نہیں معلوم سواد دشت ہے یا گلستاں نہیں معلوم شہید ناز کی میت چلے ہیں دفنانے مگر ہے کوچۂ جاناں کہاں نہیں معلوم ہزاروں خار چبھے ہیں ہمارے تلووں میں قدم ہیں کس لئے اب بھی رواں نہیں معلوم ثبوت عشق میں ہم جان دے تو دیں لیکن یقیں بھی لائے گا بد گماں نہیں معلوم ازل سے لوٹتے انگاروں پر ہم آئے ہیں ہے کب تک اور ابھی امتحاں نہیں معلوم علاج کیا کریں ہم اور کیا بتائیں حال کہیں ہے درد مگر ہے کہاں نہیں معلوم جلا دل اور ہوا راکھ مدتیں گزریں یہ اب اٹھا ہے کہاں سے دھواں نہیں معلوم نہ جانے کون سی منزل پہ ہے کہ گم ہیں حواس دل حزیں ہے کہاں ہم کہاں نہیں معلوم چمن میں ہم نہ خس و خار آشیاں باقی لپک رہی ہیں یہ کیوں بجلیاں نہیں معلوم غم و ملال سے پایا کبھی نہ دل نے فراغ قفس ملا کہ ہمیں آشیاں نہیں معلوم تھی قید زیست کہ آغوش غم کسی کی جگرؔ یہ روح جائے نکل کر کہاں نہیں معلوم کہاں گئے وہ شب و روز اور وہ ماہ و سال کبھی جگرؔ بھی ہوئے تھے جواں نہیں معلوم

Hindi

नहीं कि चारा-ए-दर्द-ए-निहाँ नहीं मालूम दिल-ए-हज़ीं को हो मंज़ूर हाँ नहीं मालूम ले आई है हमें वहशत कहाँ नहीं मालूम सवाद-ए-दश्त है या गुलिस्ताँ नहीं मालूम शहीद-ए-नाज़ की मय्यत चले हैं दफ़नाने मगर है कूचा-ए-जानाँ कहाँ नहीं मालूम हज़ारों ख़ार चुभे हैं हमारे तलवों में क़दम हैं किस लिए अब भी रवाँ नहीं मालूम सुबूत-ए-इश्क़ में हम जान दे तो दें लेकिन यक़ीं भी लाएगा बद-गुमाँ नहीं मालूम अज़ल से लोटते अँगारों पर हम आए हैं है कब तक और अभी इम्तिहाँ नहीं मालूम इलाज क्या करें हम और क्या बताएँ हाल कहीं है दर्द मगर है कहाँ नहीं मालूम जला दिल और हुआ राख मुद्दतें गुज़रीं ये अब उठा है कहाँ से धुआँ नहीं मालूम न जाने कौन सी मंज़िल पे है कि गुम हैं हवास दिल-ए-हज़ीं है कहाँ हम कहाँ नहीं मालूम चमन में हम न ख़स-ओ-ख़ार-ए-आशियाँ बाक़ी लपक रही हैं ये क्यूँ बिजलियाँ नहीं मालूम ग़म-ओ-मलाल से पाया कभी न दिल ने फ़राग़ क़फ़स मिला कि हमें आशियाँ नहीं मालूम थी क़ैद-ए-ज़ीस्त कि आग़ोश-ए-ग़म किसी की 'जिगर' ये रूह जाए निकल कर कहाँ नहीं मालूम कहाँ गए वो शब-ओ-रोज़ और वो माह-ओ-साल कभी 'जिगर' भी हुए थे जवाँ नहीं मालूम

nahīñ ki chāra-e-dard-e-nihāñ nahīñ ma.alūm
Jigar Barelvi
Jigar Barelvi
Jigar Barelvi
poet50 quotes

More by Jigar Barelvi

View all →
Quote
"jazb-e-dil kaargar nahin hotaa us ke dil par asar nahin hotaa dard dil mein agar nahin hotaa baat mein kuchh asar nahin hotaa na kare tark pairvi jab tak raah-rau raahbar nahin hotaa rang laati nahin mohabbat kuchh soz jab tak sharar nahin hotaa nahin khultaa dar-e-nashaat-e-abad chaak jab tak jigar nahin hotaa baDhte jaate hain raah mein kaanTe yaarab aage safar nahin hotaa jaantaa huun maaal-e-betaabi dil pe qaabu magar nahin hotaa ho na jab tak usi kaa fazl-o-karam qatra dariyaa 'jigar' nahin hotaa"
Jigar BarelviJigar Barelvi
Quote
"ham ko taasir-e-gham se marnaa hai ab isi rang mein nikharnaa hai dil-e-muztar kaa khuun karnaa hai naala-e-gham mein dard bharnaa hai zindagi kyaa hai sabr karnaa hai khuun kaa ghunT pi ke marnaa hai jaan-nisaari qubul ho ki na ho ham ko apni si kar guzarnaa hai husn ho ishq ho junun ho ki hosh sab se begaana dil ko karnaa hai ab koi zahr de ki baada-e-naab ek paimaana ham ko bharnaa hai dekh li ham ne ishq ki miraas is se aage bhi ab guzarnaa hai mauj-e-dariyaa hain ham hamaaraa kyaa kabhi miTnaa kabhi ubharnaa hai DhunDhtaa phirtaa huun nigaah-e-khulus dil-e-murda ko zinda karnaa hai samm-e-qaatil 'jigar' nahin miltaa dil kaa qissa tamaam karnaa hai"
Jigar BarelviJigar Barelvi
Quote
"aah ham hain aur shikasta-paaiyaan ab kahaan vo baadiya-paimaaiyaan bahr-e-gham hai aur dil-e-khalvat-pasand baada hi baada hai aur gahraaiyaan ghaflatein ab su-e-manzil le chalin hoti jaati hain khajil daanaaiyaan mere talvon ke lahu kaa faiz hai ye kahaan thiin dasht mein raanaaiyaan farq kyaa hai zindagi o maut mein uf mohabbat ki qayaamat-zaaiyaan phir na ubhraa jo koi Duubaa yahaan uf-re bahr-e-ishq ki gahraaiyaan josh-e-tufaan hai ki maujon kaa kharosh ab liye hai god mein gahraaiyaan le uDaa nashsha khayaal-e-yaar kaa aa gaiin ham ko falak-paimaaiyaan donon aalam Duub kar gum ho gae allaah allaah qalb ki gahraaiyaan sar se unchaa ho gayaa paani 'jigar' muntazir thiin bahr ki gahraaiyaan"
Jigar BarelviJigar Barelvi
Quote
"kyuun aashnaa-e-gham dil-e-vahshat-asar nahin maanus-e-iltifaat vo zaalim agar nahin main huun talaash-e-raah-e-mohabbat hai dasht hai saaya nahin nishaan nahin ham-safar nahin phir raah-rau se letaa huun manzil kaa kuchh suraagh sab raahbar hain mere koi raahbar nahin phir andalib-e-zaar ne tinke uThaa liye shaayad chaman ujaDne ki is ko khabar nahin main aur jaam-o-naghma-o-mutrib se vaasta khush huun ki meraa bazm-e-tarab mein guzar nahin kyuun jal na jaae taab-e-rukh-e-yaar dekh kar dil hai ye koi chashm-e-haqiqat-nigar nahin auraaq-e-do-jahaan pe jo tahrir ho sake itnaa miraa fasaana-e-gham mukhtasar nahin zabt-e-junun ne Dhaai hain dil ki imaaratein ab is dayaar mein koi divaar-o-dar nahin dil ko supurd karte hain apnaa payaam-e-jaan ye mo'tabar nahin to koi mo'tabar nahin paivast hon na jis mein zamaane ke dil 'jigar' kuchh aur hai vo aap kaa tir-e-nazar nahin kaisi duaa kahaan kaa asar kis kaa muddaaa kuchh aag ke sivaa mire dil mein 'jigar' nahin"
Jigar BarelviJigar Barelvi
Quote
"lijiye taabaani-e-aalam ke saamaan ho gae dil ke zarre uD ke har jaanib pareshaan ho gae dard-e-tanhaai se mar jaanaa to kuchh mushkil na thaa kyaa kahein gham se magar kuchh ahd-o-paimaan ho gae iltifaat-e-dost kaa mumkin nahin koi sila kam hai jaan-o-dil jo sarf-e-shukr-e-ehsaan ho gae tujh se kyaa lein intiqaam ai khaak-e-be-barg-o-navaa vo kahaan hain mehr-o-mah tujh mein jo pinhaan ho gae daavat-e-jalva hai phir barq-e-nigaah-e-naaz ko jama phir hasti ke ajzaa-e-pareshaan ho gae ab main samjhaa sina-e-sozaan ke shaq hone kaa raaz aap pinhaan kyaa hue goyaa numaayaan ho gae jin ko honaa hi na thaa raah-e-mohabbat mein ghubaar kis tarah vo khaak ke putle phir insaan ho gae khaak-e-dil ke chand zarre uD gae the ek din ban ke taare aasmaanon par darakhshaan ho gae kuchh khayaal-e-dost aayaa thaa ki aa pahunchi bahaar jis taraf dekhaa gulistaan hi gulistaan ho gae husn ne roz-e-azal jab rukh se sarkaai naqaab chand jalve rang ban kar bazm-e-imkaan ho gae chhaa rahaa hai rang har jaanib bahaar-e-husn kaa vaa hain jin ke dida-e-dil gul-badaamaan ho gae rafta rafta aarzu-e-rastagaari miT gai rah ke zindaan mein 'jigar' aazaad-e-zindaan ho gae"
Jigar BarelviJigar Barelvi
Quote
"teri be-iltifaati kyaa koi kam hoti jaati hai tabi'at rafta rafta khugar-e-gham hoti jaati hai hazaaron chaara-gar hain aur gham baDhte hi jaate hain jo surat dekhiye tasvir-e-maatam hoti jaati hai tasalli aap ne di farq hai haan dil ki haalat mein jo tham tham kar khalish hoti thi paiham hoti jaati hai jo chingaari thi pahle ab vo bijli ban gai baDh kar mohabbat 'umr Dhal jaane se kyaa kam hoti jaati hai nazar kyaa aap ki badli mizaaj-e-zindagi badlaa jo pahle jaan-fazaa thi mai vahi kam hoti jaati hai kisi kaa gham samoe jaataa hai rag rag mein rang aise ki apni zindagi husn-e-mujassam hoti jaati hai na ehsaas-e-gham-e-jaanaan na ehsaas-e-gham-e-dauraan to kyuun maanus-e-girya chashm-e-pur-nam hoti jaati hai sab ulTi paD rahi hain shaayad aazaadi ki tadbirein ki zanjir-e-mohabbat aur mohkam hoti jaati hai 'jigar' kyaa taab laa saktaa hai koi dil mein zakhmon ki magar kuchh ghaib se tadbir-e-marham hoti jaati hai"
Jigar BarelviJigar Barelvi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar