"sapedi rang-e-jahaan mein nahin milaataa huun haqiqaton ko gumaan mein nahin milaataa huun sarishk-e-gham rag-e-jaan mein nahin milaataa huun main zahr aab-e-ravaan mein nahin milaataa huun jo kah diyaa ki tiraa huun to sirf teraa huun main jhuuT apne bayaan mein nahin milaataa huun tamaam-shahr tiri haan mein haan milaataa hai akelaa main tiri haan mein nahin milaataa huun tumhaaraa gham gham-e-duniyaa se duur rakkhaa hai kabhi main suud ziyaan mein nahin milaataa huun guzar gayaa jo tiri yaad ke baghair kabhi vo pal main umr-e-ravaan mein nahin milaataa huun sanvaartaa huun use raat jaag kar 'arshad' main khvaab khvaab-e-giraan mein nahin milaataa huun"
khvaab kyaa hai ki TuTtaa hi nahin — Arshad Jamal Hashmi
"khvaab kyaa hai ki TuTtaa hi nahin ik nasha hai ki TuTtaa hi nahin is ne kyaa kyaa sitam na toDe hain dil miraa hai ki TuTtaa hi nahin TuTtaa jaa rahaa hai ik ik khvaab silsila hai ki TuTtaa hi nahin rishte naate tamaam TuuT gae sar-phiraa hai ki TuTtaa hi nahin pau phaTi ang ang TuTtaa hai aur nasha hai ki TuTtaa hi nahin lahrein aa aa ke TuuT jaati hain ik ghaDaa hai ki TuTtaa hi nahin dil ke dariyaa mein kaisaa sang giraa daaera hai ki TuTtaa hi nahin naav TuuTi do-nim hai patvaar hausla hai ki TuTtaa hi nahin dhaagaa kachchaa sahi magar 'arshad' yuun bandhaa hai ki TuTtaa hi nahin"
خواب کیا ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں اک نشہ ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں اس نے کیا کیا ستم نہ توڑے ہیں دل مرا ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں ٹوٹتا جا رہا ہے اک اک خواب سلسلہ ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں رشتے ناطے تمام ٹوٹ گئے سر پھرا ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں پو پھٹی انگ انگ ٹوٹتا ہے اور نشہ ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں لہریں آ آ کے ٹوٹ جاتی ہیں اک گھڑا ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں دل کے دریا میں کیسا سنگ گرا دائرہ ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں ناؤ ٹوٹی دو نیم ہے پتوار حوصلہ ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں دھاگا کچا سہی مگر ارشدؔ یوں بندھا ہے کہ ٹوٹتا ہی نہیں
ख़्वाब क्या है कि टूटता ही नहीं इक नशा है कि टूटता ही नहीं इस ने क्या क्या सितम न तोड़े हैं दिल मिरा है कि टूटता ही नहीं टूटता जा रहा है इक इक ख़्वाब सिलसिला है कि टूटता ही नहीं रिश्ते नाते तमाम टूट गए सर-फिरा है कि टूटता ही नहीं पौ फटी अंग अंग टूटता है और नशा है कि टूटता ही नहीं लहरें आ आ के टूट जाती हैं इक घड़ा है कि टूटता ही नहीं दिल के दरिया में कैसा संग गिरा दायरा है कि टूटता ही नहीं नाव टूटी दो-नीम है पतवार हौसला है कि टूटता ही नहीं धागा कच्चा सही मगर 'अरशद' यूँ बँधा है कि टूटता ही नहीं
More by Arshad Jamal Hashmi
View all →"kuchh darja aur garmi-e-baazaar ho buland dil bechiye ki zauq-e-kharidaar ho buland baab-e-qubul band hai dast-e-talab par ab rab chaahtaa hai paa-e-talabgaar ho buland jhuk jaaegaa subu bhi koi jaam to uThaae daana hai muntazir koi minqaar ho buland dekhi thi jis ne pyaas vo paani to bah chukaa imkaan nahin ki parcham-e-inkaar ho buland naakhun bheDiyon ke to baDhte hi jaate hain koi kamaan uThe koi talvaar ho buland mujh ko ba-qadr-e-tesha nahin sang-e-rahguzaar 'arshad' mire liye koi kohsaar ho buland"
"aankhon mein khvaab rakh diye taabir chhin li us ne khitaab bakhsh ke jaagir chhin li gham ye nahin ki bakht ne barbaad kar diyaa gham hai to ye ki khvaahish-e-taamir chhin li dastaar-e-maslahat to yuun bhi sar pe bojh thi achchhaa kiyaa ki tum ne ye tauqir chhin li ye kis ki bad-duaa ki hai taasir yaa-khudaa jis ne miri duaaon se taasir chhin li qadr-o-qazaa kaa zikr kuchh is tarah se kiyaa vaaiz ne nok-e-naakhun-e-tadbir chhin li shohrat mili thi jurat-e-taqrir se jise shohrat ne us se jurat-e-taqrir chhin li but ban gayaa to us ki nami khatm ho gai bhakton ne us ki khaak se iksir chhin li andesha-e-itaab se yaar aur Dar gae qaatil se ham ne baDh ke jo shamshir chhin li be-nutq thi to kahti thi kyaa kyaa na daastaan goyaai ne to hairat-e-tasvir chhin li rahne lagaa hai vo baDaa chup chup saa in dinon 'arshad' se kis ne shokhi-e-taqrir chhin li"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"