sapedi rang-e-jahaan mein nahin milaataa huun
haqiqaton ko gumaan mein nahin milaataa huun
sarishk-e-gham rag-e-jaan mein nahin milaataa huun
main zahr aab-e-ravaan mein nahin milaataa huun …
kuchh darja aur garmi-e-baazaar ho buland — Arshad Jamal Hashmi
"kuchh darja aur garmi-e-baazaar ho buland dil bechiye ki zauq-e-kharidaar ho buland baab-e-qubul band hai dast-e-talab par ab rab chaahtaa hai paa-e-talabgaar ho buland jhuk jaaegaa subu bhi koi jaam to uThaae daana hai muntazir koi minqaar ho buland dekhi thi jis ne pyaas vo paani to bah chukaa imkaan nahin ki parcham-e-inkaar ho buland naakhun bheDiyon ke to baDhte hi jaate hain koi kamaan uThe koi talvaar ho buland mujh ko ba-qadr-e-tesha nahin sang-e-rahguzaar 'arshad' mire liye koi kohsaar ho buland"
کچھ درجہ اور گرمئ بازار ہو بلند دل بیچئے کہ ذوق خریدار ہو بلند باب قبول بند ہے دست طلب پر اب رب چاہتا ہے پائے طلب گار ہو بلند جھک جائے گا سبو بھی کوئی جام تو اٹھائے دانہ ہے منتظر کوئی منقار ہو بلند دیکھی تھی جس نے پیاس وہ پانی تو بہہ چکا امکاں نہیں کہ پرچم انکار ہو بلند ناخون بھیڑیوں کے تو بڑھتے ہی جاتے ہیں کوئی کماں اٹھے کوئی تلوار ہو بلند مجھ کو بقدر تیشہ نہیں سنگ رہ گزار ارشدؔ مرے لئے کوئی کہسار ہو بلند
कुछ दर्जा और गर्मी-ए-बाज़ार हो बुलंद दिल बेचिए कि ज़ौक़-ए-ख़रीदार हो बुलंद बाब-ए-क़ुबूल बंद है दस्त-ए-तलब पर अब रब चाहता है पा-ए-तलबगार हो बुलंद झुक जाएगा सुबू भी कोई जाम तो उठाए दाना है मुंतज़िर कोई मिंक़ार हो बुलंद देखी थी जिस ने प्यास वो पानी तो बह चुका इम्काँ नहीं कि परचम-ए-इंकार हो बुलंद नाख़ून भेड़ियों के तो बढ़ते ही जाते हैं कोई कमाँ उठे कोई तलवार हो बुलंद मुझ को ब-क़द्र-ए-तेशा नहीं संग-ए-रहगुज़ार 'अरशद' मिरे लिए कोई कोहसार हो बुलंद
More by Arshad Jamal Hashmi
View all →aankhon mein khvaab rakh diye taabir chhin li
us ne khitaab bakhsh ke jaagir chhin li
gham ye nahin ki bakht ne barbaad kar diyaa
gham hai to ye ki khvaahish-e-taamir chhin li …
khvaab kyaa hai ki TuTtaa hi nahin
ik nasha hai ki TuTtaa hi nahin
is ne kyaa kyaa sitam na toDe hain
dil miraa hai ki TuTtaa hi nahin …
More on Dil
View all →is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa
divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa
kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa
aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa …
muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai
daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas
jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa
ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas …
ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai
sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai
main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai
kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai …
dil shaad nahin karte aabaad nahin karte
mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte
naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte
kam-aql parindon ko aazaad nahin karte …
kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki
tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki
bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se
kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki …
bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa
ik tajassus darmiyaan rahne diyaa
ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo
main ne jis ko aasmaan rahne diyaa …