"koi ho dard musalsal to niind aati hai badan mein ho koi halchal to niind aati hai hamein sukun mayassar nahin hai ik pal bhi tumhaari yaad ho pal pal to niind aati hai talab nahin hai kisi aur khush-badan ki hamein tumhaaraa paas ho aanchal to niind aati hai kabhi na tum se rahi guftugu adhuri si ghazal ho jab bhi mukammal to niind aati hai ajiib khauf saa laahaq hai bastiyon se hamein qarib ho koi jangal to niind aati hai pasand hai hamein shorish fasaad-e-gird-o-navaah agar ho shahr moattal to niind aati hai badal diyaa hai zamaane ne yuun hamaaraa mizaaj sajaa huaa ho jo maqtal to niind aati hai kaDak rahi ho jo bijli to Dar nahin lagtaa garaj rahe hon jo baadal to niind aati hai koi bhi khvaab Daraataa nahin hai ab 'aatir' dikhaai de hamein daldal to niind aati hai"
kitni dilchasp lagi sokhta-jaani meri — Dr. Yasin Aatir
"kitni dilchasp lagi sokhta-jaani meri sab ko apni si nazar aai kahaani meri shahr mein phir se hue ishq ke charche mere phir se mashhur hui naql-e-makaani meri bas mein hotaa to muqaddar ki marammat kartaa par koi kiil hathauDi na kamaani meri tum to pal-bhar mein mujhe shefta kar lete ho tum pe kyon baar guzarti hai giraani meri jis ko paDhne se galaa sukhne lag jaataa hai vo ghazal saamne laao na puraani meri log kab khol ke dekhein mire dil ko 'aatir' vo to DhunDein mire chehre pe javaani meri"
کتنی دلچسپ لگی سوختہ جانی میری سب کو اپنی سی نظر آئی کہانی میری شہر میں پھر سے ہوئے عشق کے چرچے میرے پھر سے مشہور ہوئی نقل مکانی میری بس میں ہوتا تو مقدر کی مرمت کرتا پر کوئی کیل ہتھوڑی نہ کمانی میری تم تو پل بھر میں مجھے شیفتہ کر لیتے ہو تم پہ کیوں بار گزرتی ہے گرانی میری جس کو پڑھنے سے گلا سوکھنے لگ جاتا ہے وہ غزل سامنے لاؤ نہ پرانی میری لوگ کب کھول کے دیکھیں مرے دل کو عاطرؔ وہ تو ڈھونڈیں مرے چہرے پہ جوانی میری
कितनी दिलचस्प लगी सोख़्ता-जानी मेरी सब को अपनी सी नज़र आई कहानी मेरी शहर में फिर से हुए इश्क़ के चर्चे मेरे फिर से मशहूर हुई नक़्ल-ए-मकानी मेरी बस में होता तो मुक़द्दर की मरम्मत करता पर कोई कील हथौड़ी न कमानी मेरी तुम तो पल-भर में मुझे शेफ़्ता कर लेते हो तुम पे क्यों बार गुज़रती है गिरानी मेरी जिस को पढ़ने से गला सूखने लग जाता है वो ग़ज़ल सामने लाओ न पुरानी मेरी लोग कब खोल के देखें मिरे दिल को 'आतिर' वो तो ढूँडें मिरे चेहरे पे जवानी मेरी

More by Dr. Yasin Aatir
View all →"an-ginat phuul intikhaab gulaab aadatein kar gayaa kharaab gulaab vo hai naaraaz us ki chaukhaT par le ke jaaungaa be-hisaab gulaab nazr jo kar sakungaa us ke huzur shahr mein kab vo dastiyaab gulaab us ki rangat hai kyaa badan kaisaa in savaalon kaa hai javaab gulaab aise lagtaa hai ahl-e-dil ke liye ban gayaa ishq kaa nisaab gulaab har nae phuul mein tajassus hai kis tarah se hai kaamyaab gulaab patti patti bikhar gayaa kyunkar kar na le meraa ehtisaab gulaab"
"hai kitnaa saliqa tiri guftaar ke andar inkaar bhi poshida hai iqraar ke andar sachchaai bhi kahne ke tariqe hain bahut se par khaana-kharaabi mire izhaar ke andar us tarah se mastur mohabbat mire dil mein jaise ho koi daaera parkaar ke andar yaaro mujhe izzat mire allaah ne di hai tum khaamiyaan DhunDo mire kirdaar ke andar ye tamkanat-o-mansab-o-pindaar-o-raunat sab chhoD diyaa kucha-e-dildaar ke andar ab apne masihaa ko vo kis tarah bataae jo dard chhupaa hai kisi bimaar ke andar"
"dil mein achchhaa qayaas pahnaa kar mere milne ki aas pahnaa kar teri rangat pe khuub khiltaa hai zaafraani libaas pahnaa kar apne naazuk gulaab honTon par guftugu mat udaas pahnaa kar aaj-kal shahr mein nikalte hue saare hosh-o-havaas pahnaa kar sab se behtar yahi hai dil ke liye ik yaqin ki asaas pahnaa kar meraa chehra ho teri aankhon mein bas yahi lutf-e-khaas pahnaa kar ab ye mausam badal gayaa 'aatir' garmiyon mein kapaas pahnaa kar"
"tamaam shahr mein yaktaa ye meri zaat na kar ki Dhalti umr hai ab itnaa iltifaat na kar ye qurbatein bhi mayassar huiin nasibon se ta'alluqaat mein ab aur tajrabaat na kar ye aur baat ki main qadr-aashnaa huun magar nisaar jism ke mujh pe javaaharaat na kar tire hi husn pe ik nazm likh rahaa huun abhi tiri hi soch mein huun aaj mujh se baat na kar mujhe khabar hai koi tere intizaar mein hai bas apne ghar ko chali jaa tu itni raat na kar"
"koi ho dard-e-musalsal to niind aati hai badan mein ho koi halchal to niind aati hai hamein sukun mayassar nahin hai ik pal bhi tumhaari yaad ho pal-pal to niind aati hai talab nahin hai kisi aur khush-badan ki hamein tumhaaraa paas ho aanchal to niind aati hai kabhi na tum se rahi guftugu adhuri si ghazal ho jab bhi mukammal to niind aati hai ajiib khauf saa laahaq hai bastiyon se hamein qarib ho koi jangal to niind aati hai pasand hai hamein shorish fasaad gird-o-navaah agar ho shahr moattal to niind aati hai badal diyaa hai zamaane ne yuun hamaaraa mizaaj sajaa huaa ho jo maqtal to niind aati hai kaDak rahi ho jo bijli to Dar nahin lagtaa garaj rahe hon jo baadal to niind aati hai koi bhi khvaab Daraataa nahin hai ab 'aatir' dikhaai de hamein daldal to niind aati hai"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"