Quote
"ashaar mein mafhum fasaane mein kahaani mat DhunD ki uljhaate hain alfaaz-o-maaani sad shukr vo taabir se mashrut nahin thiin bachpan mein sunaa karte the jo khvaab kahaani vo zindagi jo paane aur khone se sivaa ho zeb us ko nahin deti kabhi marsiya-khvaani fitrat ke taqaaze pe na kar raah-e-amal band iqbaal ki ye baat kisi ne bhi na maani takmil-e-junun ab bhi hai is misre se mashrut ai chaand mubaarak ho tujhe raat suhaani khush-haaliyaan dehli ki bajaa aaj bhi lekin yaad aati hai kalkatte ki vo shokh javaani pardes mein bas zehn se aabaad hai 'aasim' dil se nahin kar paayaa kabhi naql-e-makaani"
