SHAWORDS

koi ehsaas mukammal nahin rahne detaa — Ambarin Salahuddin

"koi ehsaas mukammal nahin rahne detaa dard kaa saath musalsal nahin rahne detaa hosh ki sard nigaahon se take jaataa hai kaun hai jo mujhe paagal nahin rahne detaa vaqt tufaan-e-balaa-khez ke gardaab mein hai sar pe mere miraa aanchal nahin rahne detaa haath phailaaun to chhu letaa hai jhonke ki tarah ek pal bhi mujhe be-kal nahin rahne detaa khvaab ke taaq pe rakkhi hain ye aankhein kab se vo miri niind mukammal nahin rahne detaa mere is shahr mein ik aaina aisaa hai ki jo mujh ko us shakhs se ojhal nahin rahne detaa"
Urdu

کوئی احساس مکمل نہیں رہنے دیتا درد کا ساتھ مسلسل نہیں رہنے دیتا ہوش کی سرد نگاہوں سے تکے جاتا ہے کون ہے جو مجھے پاگل نہیں رہنے دیتا وقت طوفان بلا خیز کے گرداب میں ہے سر پہ میرے مرا آنچل نہیں رہنے دیتا ہاتھ پھیلاؤں تو چھو لیتا ہے جھونکے کی طرح ایک پل بھی مجھے بے کل نہیں رہنے دیتا خواب کے طاق پہ رکھی ہیں یہ آنکھیں کب سے وہ مری نیند مکمل نہیں رہنے دیتا میرے اس شہر میں اک آئنہ ایسا ہے کہ جو مجھ کو اس شخص سے اوجھل نہیں رہنے دیتا

Hindi

कोई एहसास मुकम्मल नहीं रहने देता दर्द का साथ मुसलसल नहीं रहने देता होश की सर्द निगाहों से तके जाता है कौन है जो मुझे पागल नहीं रहने देता वक़्त तूफ़ान-ए-बला-ख़ेज़ के गिर्दाब में है सर पे मेरे मिरा आँचल नहीं रहने देता हाथ फैलाऊँ तो छू लेता है झोंके की तरह एक पल भी मुझे बे-कल नहीं रहने देता ख़्वाब के ताक़ पे रक्खी हैं ये आँखें कब से वो मिरी नींद मुकम्मल नहीं रहने देता मेरे इस शहर में इक आइना ऐसा है कि जो मुझ को उस शख़्स से ओझल नहीं रहने देता

koī ehsās mukammal nahīñ rahne detā
Ambarin Salahuddin
Ambarin Salahuddin
Ambarin Salahuddin
poet20 quotes

More by Ambarin Salahuddin

View all →
Quote
"rasta rokti khaamoshi ne kaun si baat sunaani hai raat ki aankhein jaan rahi hain kis ke paas kahaani hai aankh ne vahshat oDhi hai yaa manzar mein hairaani hai dasht ne daaman jhaaD ke puchhaa ab kaisi viraani hai manzar hai khiDki ke andar yaa hai khiDki se baahar gardun ki giraai hai yaa khaak ne chaadar taani hai kaunde se lapke paDte hain chuTki bhar nilaahaT se taaron mein manzar khulne se pahle ki hairaani hai saare sang-e-mil bhi manzil ho sakte hain bhed khulaa haathon ki rekhaaon mein har manzil ek nishaani hai aap kahein to tiin zamaane ek hi lahr mein bah niklein aap kahein to saari baaton mein aisi aasaani hai roz-o-shab ke bandhan khol ke vaqt kaa dariyaa chal nikle aap kahein to daanaai hai ham kah dein naadaani hai raat ki chaadar tah hone tak dhuup kaa jaadu khulne tak darvaaze ke band kivaaDon se ik baat chhupaani hai jitne pul tak raqs kareingi kirnein barf ki qaashon par kohsaaron ke daaman mein bhi tab tak ek kahaani hai"
Ambarin SalahuddinAmbarin Salahuddin
Quote
"us ke dhyaan ki dil mein pyaas jagaa li jaae ek bhi shaam na phir us ke naam se khaali jaae aaankhon mein kaajal ki parat jamaa li jaae sakhiyon se yuun priit ki jot chhupaa li jaae ret hai suraj hai vusat hai tanhaai lekin naan is dil ki khaam-khayaali jaae aaankhon mein bhar kar is dasht ki hairaani vahshat ki umda tasvir banaa li jaae aap ne pahle bhi to mujh ko dekhaa hogaa! aap ke munh se aap ki baat churaa li jaae sochon mein girdaab se paDne lag jaaein aaankhon se phir aaTh pahar na laali jaae dil-aazaari ki miTTi se istaada ghar un be-faiz daron tak kaun savaali jaae"
Ambarin SalahuddinAmbarin Salahuddin
Quote
"asir-e-khvaab nai justuju ke dar kholein havaa pe haath rakhein aur apne par kholein sameTe apne saraabon mein baarishon kaa jamaal kahaan kaa qasd hai ye raaz khush-nazar kholein use bhulaane ki phir se karein nai saazish chalo ki aaj koi naama-e-digar kholein ulajhti jaati hain girhein adhure lafzon ki ham apni baaton ke saare agar magar kholein jo khvaab dekhnaa taabir khojnaa ho kabhi to pahle raat ke lipTe hue bhanvar kholein ik iinT saamne divaar se nikaalein ab chalo ki phir se nayaa koi dard-e-sar kholein"
Ambarin SalahuddinAmbarin Salahuddin
Quote
"ham sitaaron mein tiraa aks naa Dhalne deinge chaand ko shaam ki dahliz pe jalne deinge aaj chhu leinge koi arsh mire vahm-o-gumaan khvaab ko niind ki aankhon mein machalne deinge ham bhi dekheinge kahaan tak hai rasaai apni dil ko bahlaaeinge ham aur naa sambhalne deinge shab ki aaghosh mein phailein na gumaan ke saae ab nigaahon mein koi khauf naa palne deinge ho na jaae kahin anjaam se pahle anjaam is kahaani ko isi taur se chalne deinge aks-dar-aks mileinge tujhe manzar manzar tu jo chaahe bhi kahaan tujh ko badalne deinge naqsh-dar-naqsh hue jaaeinge bas khaak yahin khuud ko is dasht-e-gumaan se naa nikalne deinge"
Ambarin SalahuddinAmbarin Salahuddin

More on Dard

View all →
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"haath mein gar asaa nahin hotaa bahr mein raasta nahin hotaa niyyatein paak agar nahin hon to koi sajda adaa nahin hotaa chaar nazrein agar nahin hotin dard-e-dil yuun baDhaa nahin hotaa haar jaataa agar main ye baazi yaar mujh se khafaa nahin hotaa tum gar apnaa ziyaan nahin karte dusron kaa bhalaa nahin hotaa ishq ki aag gar nahin lagti is qadar dil jalaa nahin hotaa ham sanvarne ko bhi taras jaate ru-ba-ru aaina nahin hotaa bech dete zamir apnaa jo zulm mujh par ravaa nahin hotaa tum adan mein hi rahte ai 'saarim' tum se gar vo khafaa nahin hotaa"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"qismat se jis kisi ko tiraa aastaan mile us kaa mizaaj farsh-e-zamin par kahaan mile har ek ko ye rutba-e-aali kahaan mile vo khush-nasib hai jise dard-e-nihaan mile sahbaa-e-ishq maarifat-e-haq mile mujhe phir kuchh yahaan mile na mujhe kuchh vahaan mile tufaan ki zad pe rakkhi hui shama ki tarah ham log be-amaan hain hamein bhi amaan mile maa'lum ye huaa ki tiri anjuman thi vo ahl-e-zabaan bhi ham ko jahaan be-zabaan mile naadaan hisaar-e-zaat se baahar nikal ke dekh gum-karda kaaenaat kaa shaayad nishaan mile 'hamza' bhaTak rahe hain bhalaa kis dayaar mein chaliye vahaan zamin se jahaan aasmaan mile"
A
Ameer Hamza Aazmi