"is tarah aap ne nudrat se nikhaare alfaaz aap hi jhuum uThe fakhr ke maare alfaaz harf-e-raushan se sar-e-bazm ujaalaa hogaa sho’la-e-nutq se phuTein jo sharaare alfaaz kis tarah husn ko tere ye bayaan kar paate chaand chehra hai tiraa aur sitaare alfaaz ek din ban ke baheinge ye tumhaare aansu ek din yaad karoge ye hamaare alfaaz ab to is saath ko lafzon ki zarurat hi nahin ban gae hain tiri aankhon ke ishaare alfaaz us ki tausif ke alfaaz nahin mil sakte jis ne insaan ke siine pe utaare alfaaz kaaT sahnaa bhi baDi baat huaa karti hai ye miri shaakh-e-hunar aur ye aare alfaaz main tasaavir banaane mein magan thaa 'sayyad' ki achaanak mire andar se pukaare alfaaz"
koi shaaista-e-afkaar-o-ma'aani na milaa — Farhan Saiyed
"koi shaaista-e-afkaar-o-ma'aani na milaa matla'-e-jaan na huaa misra'-e-saani na milaa dekh ashkon se mire gham mein kami hoti hai tu mire jaam-e-gham-e-hijr mein paani na milaa qissa-e-qais nahin hai ye haqiqat hai miri meri rudaad-e-alam se vo kahaani na milaa is tarah zulf ko chehre pe giraanaa hai ghalat is shab-e-taar se tu shaam suhaani na milaa daar-e-hijrat mein kahaan shaam-e-vatan ki khushbu kaaghazi phuul se tu raat ki raani na milaa apne andaaz mein ash'aar kahaa kar 'sayyad' 'mir' ke dard mein tu lahja-e-faani na milaa"
کوئی شائستۂ افکار و معانی نہ ملا مطلع جاں نہ ہوا مصرع ثانی نہ ملا دیکھ اشکوں سے مرے غم میں کمی ہوتی ہے تو مرے جام غم ہجر میں پانی نہ ملا قصۂ قیس نہیں ہے یہ حقیقت ہے مری میری روداد الم سے وہ کہانی نہ ملا اس طرح زلف کو چہرے پہ گرانا ہے غلط اس شب تار سے تو شام سہانی نہ ملا دار ہجرت میں کہاں شام وطن کی خوشبو کاغذی پھول سے تو رات کی رانی نہ ملا اپنے انداز میں اشعار کہا کر سیدؔ میرؔ کے درد میں تو لہجۂ فانی نہ ملا
कोई शाइस्ता-ए-अफ़्कार-ओ-म'आनी न मिला मतला'-ए-जाँ न हुआ मिसरा'-ए-सानी न मिला देख अश्कों से मिरे ग़म में कमी होती है तू मिरे जाम-ए-ग़म-ए-हिज्र में पानी न मिला क़िस्सा-ए-क़ैस नहीं है ये हक़ीक़त है मिरी मेरी रूदाद-ए-अलम से वो कहानी न मिला इस तरह ज़ुल्फ़ को चेहरे पे गिराना है ग़लत इस शब-ए-तार से तू शाम सुहानी न मिला दार-ए-हिजरत में कहाँ शाम-ए-वतन की ख़ुशबू काग़ज़ी फूल से तू रात की रानी न मिला अपने अंदाज़ में अश'आर कहा कर 'सय्यद' 'मीर' के दर्द में तू लहजा-ए-फ़ानी न मिला

More by Farhan Saiyed
View all →"gham-e-dil raaegaan rakkhaa huaa hai phir us ko be-karaan rakkhaa huaa hai bahut DhunDaa hai main ne is nagar mein sukun jaane kahaan rakkhaa huaa hai kisi ne naa-tavaan kandhon pe mere zamir-e-kaarvaan rakkhaa huaa hai baDi pur-lutf hai duniyaa hamaari par is par aasmaan rakkhaa huaa hai ziyaa'-e-vaqt hai aisi ziyaa bhi bahut is mein ziyaan rakkhaa huaa hai kabhi to ho main apne dil kaa puchhun koi kah de ki haan rakkhaa huaa hai hai 'sayyad' shukriya is gham kaa is mein miraa zor-e-bayaan rakkhaa huaa hai"
"dil kaa mujhe to dil ko hasinon kaa rog hai goyaa ki har makaan ko makinon kaa rog hai insaan ko justuju hai sadaa aasmaan ki ahl-e-falak ko khaak-nashinon kaa rog hai lahron pe Dolti hui kashti ki khair ho dariyaa ko zer-e-aab safinon kaa rog hai ik saa’at-e-visaal ki qimat hain kitne gham karnaa jinhein shumaar mahinon kaa rog hai maalik bhi hai jahaan bhi jaan-e-jahaan bhi hai 'sayyad' ko is tikon mein tinon kaa rog hai"
"main kisi aur ke gumaan mein thaa meraa dushman miri amaan mein thaa jis kaa dhaDkaa lagaa rahaa shab bhar vo darinda miri machaan mein thaa mere lahje mein zahr thaa shaayad par ziyaada tumhaare kaan mein thaa baat honTon pe ruk nahin paai tiir jaise tani kamaan mein thaa intiqaaman sanvar ke aai thi ik tamaashaa saa aan-baan mein thaa aastin kaa jo saanp thaa 'sayyad' ye qasida usi ki shaan mein thaa"
"patthar bhi dastaras mein hai shisha bhi dastyaab bikhre na jis kaa 'aks vo chehra bhi dastyaab maujud hai hamaare yahaan har tarah kaa zakhm gahraa bhi dastyaab hai taaza bhi dastyaab jitnaa tumhaaraa zarf hai mil jaaungaa tumhein dariyaa bhi meraa ruup hai qatra bhi dastyaab main bhi thakan se chuur thaa lambe safar ke baa'd us ke saraa-e-dil mein thaa kamra bhi dastyaab ham ko bhi shauq thaa ki chunein raasta kaThin aur thaa mukhaalifat ko zamaana bhi dastyaab saakin huaa jo 'ilm ke is shahr mein use hogaa na ik sukun kaa lamha bhi dastyaab 'sayyad' mazid kitni suhulat tujhe mile koh-e-giraan hai saamne tesha bhi dastyaab"
"nafrat se huun main tang mohabbat se tang huun fitrat hai ye miri ki main kasrat se tang huun apne 'adu ki talkh-mizaaji bhi hai giraan yaaraan-e-khush-mizaaj ki sohbat se tang huun mullaa kaa bhi vujud samajh mein na aa sakaa suufi tire bhi qissa-e-vahdat se tang huun un ko bhi e'tiraaz hai surat pe kuchh miri main bhi janaab-e-shaikh ki sirat se tang huun itne jatan se bhi vo bhulaayaa na jaa sakaa haalaanki bhuul jaane ki 'aadat se tang huun milti nahin hai chiiz koi bhi jagah pe ab main apne ham-safar ki nafaasat se tang huun itne baras ke baa'd bhi uThti hai ik kasak itne baras ke baa'd bhi hijrat se tang huun kuchh bhi nahin hai mere bayaan mein Dhakaa-chhupaa sab ko bataa diyaa hai saraahat se tang huun 'sayyad' navaa-e-vaqt ye sunte nahin kabhi darbaariyon ke husn-e-samaa'at se tang huun"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"