"bahalne lagi hai zaraa si nami se bharosa hi uThne lagaa tishnagi se bahut be-niyaazi dikhaai thi ham ne so vo bhi judaa ho gayaa be-rukhi se bahut din kaa ghussa utaaraa kisi ne achaanak alag ho gayaa zindagi se tumhein ham sunaate hain apni kahaani magar is kaa charchaa na karnaa kisi se tumhaare liye gham uThaane paDeinge tumhein ham ne chaahaa hai apni khushi se ab us ke palaTne kaa imkaan nahin hai vo uTh kar gayaa hai baDi be-dili se hamein aaj apne andhere mile hain mukhaatib hue hain nai raushni se"
kuchh udaasi shaam ki halki karo — Manish Shukla
"kuchh udaasi shaam ki halki karo aa bhi jaao yaar ab jaldi karo paD gayaa phir se ujaalon kaa akaal aa ke thoDi raushni jaari karo saari baatein naa-munaasib hain yahaan khud ko kis kis baat pe raazi karo raat ke pahlu mein rahnaa hai to phir raat ki farmaaishein puuri karo chaand se parda haTaao abr kaa be-sabab ye raat mat kaali karo tum ko jaldi hai pahunchne ki magar moD par raftaar to dhimi karo baam-o-dar kitne puraane ho gae vaqt hai ab tum ye ghar khaali karo"
کچھ اداسی شام کی ہلکی کرو آ بھی جاؤ یار اب جلدی کرو پڑ گیا پھر سے اجالوں کا اکال آ کے تھوڑی روشنی جاری کرو ساری باتیں نا مناسب ہیں یہاں خود کو کس کس بات پہ رازی کرو رات کے پہلو میں رہنا ہے تو پھر رات کی فرمائشیں پوری کرو چاند سے پردہ ہٹاؤ ابر کا بے سبب یہ رات مت کالی کرو تم کو جلدی ہے پہنچنے کی مگر موڑ پر رفتار تو دھیمی کرو بام و در کتنے پرانے ہو گئے وقت ہے اب تم یہ گھر خالی کرو
कुछ उदासी शाम की हल्की करो आ भी जाओ यार अब जल्दी करो पड़ गया फिर से उजालों का अकाल आ के थोड़ी रौशनी जारी करो सारी बातें ना-मुनासिब हैं यहाँ ख़ुद को किस किस बात पे राज़ी करो रात के पहलू में रहना है तो फिर रात की फ़रमाइशें पूरी करो चाँद से पर्दा हटाओ अब्र का बे-सबब ये रात मत काली करो तुम को जल्दी है पहुँचने की मगर मोड़ पर रफ़्तार तो धीमी करो बाम-ओ-दर कितने पुराने हो गए वक़्त है अब तुम ये घर ख़ाली करो

More by Manish Shukla
View all →"har lamha nam-dida rahne ki aadat le Duubi ranjida rahne ki aadat ab apnaa chehra begaana lagtaa hai ham ko thi sanjida rahne ki aadat aakhir ham ko be-zaari tak le aai har shai par girvida rahne ki aadat rafta rafta uryaani tak aa pahunche jin ko thi poshida rahne ki aadat dikh jaate hain yuun hi kuchh rangin manzar achchhi hai khvaabida rahne ki aadat ham haami hain sidhi-saadi baaton ke aur us ko pechida rahne ki aadat aakhir-kaar varaq ke chithDe kar degi har mausam bosida rahne ki aadat"
"muntashir kar ke kabhi khud ko murattab kar ke ham ne dekhaa hai kai baar yahi sab kar ke apni tanhaai mein har roz chhalak lete hain apne ehsaas ke kaase ko labaalab kar ke apni yak-rang tabi'at ko ravaan karte hain sarkashi kar ke kabhi khud ko mohazzab kar ke roz ham khud se savaalaat kiyaa karte hain jaane kis kis ko khayaalon mein mukhaatab kar ke ham sunaate hi chale jaate sahar tak lekin tum ne qissa kiyaa dushvaar kahaan kab kar ke ik siyaahi si nigaahon mein utar aaegi din ko dekhoge agar roz yunhi shab kar ke"
"hausla ab naa-tavaan hone lagaa main sharik-e-kaarvaan hone lagaa be-khudi had se ziyaada baDh gai apne hone kaa gumaan hone lagaa ab miri barbaadiyaan nazdik hain ab main khud par mehrbaan hone lagaa ab main us ki dastaras mein aa gayaa ab vo mujh se bad-gumaan hone lagaa jab main khud se faasla rakhne lagaa tab se mujh pe main 'ayaan hone lagaa bujhte suraj ne na jaane kyaa kahaa shaam kaa chehra dhuaan hone lagaa chaand taare aasmaan par aa gae raat kaa qissa ravaan hone lagaa"
"aankhon ko pur-nam hasrat kaa darvaaza vaa rakkhaa hai apne TuuTe khvaab ko ham ne ab tak zinda rakkhaa hai 'ishq kiyaa to Tuut ke ji bhar nafrat ki to shiddat se apne har kirdaar kaa chehra ham ne ujlaa rakkhaa hai jo aayaa baazaar mein vo bas jaanch-parakh kar chhoD gayaa ham ne khud ko soch-samajh kar thoDaa mahngaa rakkhaa hai thaa e'laan kahaani mein ik roz nadi bhi aaegi ham ne is ummid mein ab tak khud ko pyaasaa rakkhaa hai aksar shirin ki chaahat ne koh-kani karvaai hai aksar parbat ke siine par ham ne tesha rakkhaa hai ham se baatein karne vaale uljhan mein paD jaate hain ham ne apne andar khud ko itnaa bikhraa rakkhaa hai tum ne lahja miThaa rakh kar tikhi baatein boli hain ham ne baatein miThi ki hain lahja tikhaa rakkhaa hai duniyaa vaalon ne to puuri koshish ki Thukraane ki lekin apni zid mein ham ne khud ko manvaa rakkhaa hai"
"tamaashaa khatm ho jaane ke thoDaa baa'd aate ho tabhi har bazm se tum baarhaa naashaad aate ho jahaan par shaad rahnaa hai vahaan ghamgin rahte ho jahaan ghamgin honaa hai vahaan se shaad aate ho kabhi tum mauj-e-dariyaa ki tarah sairaab dikhte ho kabhi tum khushk honThon par liye fariyaad aate ho tumhaare hijr ke maare hue ghamgin to honge tum apne hijr ke maare huon ko yaad aate ho bahut din tak bhaTaktaa huun akelaa hi khalaaon mein magar phir tum achaanak bar-sar-e-rudaad aate ho haqiqat mein mire gham mein izaafa kar ke jaate ho bazaahir chaaraagar tum baa'is-e-imdaad aate ho ye digar baat hai hans kar nazar-andaaz karte hain hamein tum yaad to aksar dil-e-barbaad aate ho"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"