"jo pinhaan thaa vahi har su 'ayaan hai ye kahiye lan taraani ab kahaan hai jo pahunche haath zanjiron ko toDein garche paanv apnaa darmiyaan hai chamak laa'l-e-badakhshaan ki miTaa de tire honTon pe aisaa rang paan hai tujhe kahtaa huun sun o vahshat-e-dil vahaan le chal jahaan vo dil-sitaan hai vo hon naazuk-mizaaj ai ham-safiro rag-e-gul mujh ko khaar-e-aashiyaan hai muaa jaataa huun main tarz-e-nigah se tire lab ki masihaai kahaan hai bulaa kar us se do baatein to sun le ye kahte hain ki 'goyaa' khush-bayaan hai"
kyaa hain shaidaa-e-qadd-e-yaar darakht — Goya Faqir Mohammad
"kyaa hain shaidaa-e-qadd-e-yaar darakht hain jo shabnam se ashk-baar darakht dekhein gar sarv-qad-e-yaar darakht khaak par loTein saaya-daar darakht ashk-baar un pe hain jo murgh-e-chaman pahne hain motiyon kaa haar darakht sar-kashi ki hai kyaa tire qad se kaaTe jaate hain be-shumaar darakht kyaa tire qad se duun misaal use ki hai angusht zinhaar darakht tire jalve se nakhl-e-tur bane hain jo baalaa-e-kohsaar darakht bed-e-majnun ko dekh o lailaa hai ye majnun kaa yaadgaar darakht dekh kar tujh ko bhuul jaaeinge gul khilaaenge be-bahaar darakht zindagi mein na main ne phal paayaa ho na mere sar-e-mazaar darakht faaeda bhi yahaan to nuqsaan hai sang khaate hain baar-daar darakht daagh-e-tan khil rahe hain surat-e-gul ham hain goyaa shagufa-daar darakht"
کیا ہیں شیدائے قد یار درخت ہیں جو شبنم سے اشک بار درخت دیکھیں گر سرو قد یار درخت خاک پر لوٹیں سایہ دار درخت اشک بار ان پہ ہیں جو مرغ چمن پہنے ہیں موتیوں کا ہار درخت سرکشی کی ہے کیا ترے قد سے کاٹے جاتے ہیں بے شمار درخت کیا ترے قد سے دوں مثال اسے کہ ہے انگشت زینہار درخت ترے جلوے سے نخل طور بنے ہیں جو بالائے کوہسار درخت بید مجنوں کو دیکھ او لیلیٰ ہے یہ مجنوں کا یادگار درخت دیکھ کر تجھ کو بھول جائیں گے گل کھلائیں گے بے بہار درخت زندگی میں نہ میں نے پھل پایا ہو نہ میرے سر مزار درخت فائدہ بھی یہاں تو نقصاں ہے سنگ کھاتے ہیں بار دار درخت داغ تن کھل رہے ہیں صورت گل ہم ہیں گویا شگوفہ دار درخت
क्या हैं शैदा-ए-क़द्द-ए-यार दरख़्त हैं जो शबनम से अश्क-बार दरख़्त देखें गर सर्व-ए-क़द्द-ए-यार दरख़्त ख़ाक पर लोटें साया-दार दरख़्त अश्क-बार उन पे हैं जो मुर्ग़-ए-चमन पहने हैं मोतियों का हार दरख़्त सर-कशी की है क्या तिरे क़द से काटे जाते हैं बे-शुमार दरख़्त क्या तिरे क़द से दूँ मिसाल उसे कि है अंगुश्त ज़ीनहार दरख़्त तिरे जल्वे से नख़्ल-ए-तूर बने हैं जो बाला-ए-कोहसार दरख़्त बेद-ए-मजनूँ को देख ओ लैला है ये मजनूँ का यादगार दरख़्त देख कर तुझ को भूल जाएँगे गुल खिलाएँगे बे-बहार दरख़्त ज़िंदगी में न मैं ने फल पाया हो न मेरे सर-ए-मज़ार दरख़्त फ़ाएदा भी यहाँ तो नुक़साँ है संग खाते हैं बार-दार दरख़्त दाग़-ए-तन खिल रहे हैं सूरत-ए-गुल हम हैं गोया शगूफ़ा-दार दरख़्त

More by Goya Faqir Mohammad
View all →"duaaein maangin hain muddaton tak jhukaa ke sar haath uThaa uThaa kar huaa huun tab main buton kaa banda khudaa khudaa kar khudaa khudaa kar duaa lab-e-jaam ne bhi maangi subu ne bhi haath uThaa uThaa kar hamaari mahfil mein aayaa saaqi khudaa khudaa kar khudaa khudaa kar dikhaayaa vahdat ne apnaa jalva dui kaa parda uThaa uThaa kar karun main sajda buton ke aage tu ai barahman khudaa khudaa kar hain ashk zakhmon se mere jaari na dekhi hogi ye ashk-baari bani hain chashm-e-pur-aab qaatil ye zakhm paani churaa churaa kar kahaan vo shaklein kahaan vo baatein kahaan vo jalse kahaan vo mahfil ye sab kaa sab khvaab kaa thaa saamaan chhupaa liyaa bas dikhaa dikhaa kar ba-rang-e-saaghar milaa diyaa munh jo munh se tere khafaa na honaa kiyaa hai behosh tu ne saaqi sharaab mujh ko pilaa pilaa kar uThaayaa yaaron ne par na uTThaa zamin se hargiz hamaaraa laasha ye kis ne ham ko hai maar Daalaa nazar se apni giraa giraa kar jo pahunchein ham murgh-e-naama-bar ko to chuTkiyon mein use uDaa de agar-che vo tifl kheltaa hai par-e-kabutar uDaa uDaa kar pas-az-fanaa bhi agar tu aae karun sag-e-yaar mehmaani ki ustakhvaanon ko apne tan mein rakhaa humaa se chhupaa chhupaa kar gire agar sar-kashi ho mujh se abhi falak ko zamin pe paTkun ki toD Daale main aise miine hazaaron shishe uThaa uThaa kar kabhi mire dil se karti hain bal kahi hain shaane se ye uljhtin gharaz ki zulfon ko tu ne zaalim bigaaDaa hai sar chaDhaa chaDhaa kar shikast likhtaa thaa naam dil kaa yahi thi tifli mein mashq teri banaa diyaa dil-shikan ye tujh ko moallimon ne likhaa likhaa kar baDe gile hain ajal ko tujh se masih ko bhi bahut hain shikve ki dam mein tu ne hain maar Daale hazaaron murde jilaa jilaa kar pilaanaa paani kaa jaam zaahid gunaah mashrab mein hai hamaare savaab letaa nahin hai kyuun tu sharaab mujh ko pilaa pilaa kar nahin koi raazdaar ham saa kiyaa na vahshat mein tujh ko rusvaa ki daagh maanind-e-khaar-e-maahi badan mein rakhe chhupaa chhupaa kar gale hazaaron ne apne kaaTe hazaaron be-vajh ho gae khuun bahut huaa phir tu yaar naadim kaf-e-hinaai dikhaa dikhaa kar nigah ki surat phiro na har su hijaab tum mardumuk se sikho ab aao aankhon mein sair dekho mizha ki chilman uThaa uThaa kar dikhaa ke gul se ezaar tu ne kiyaa dil-e-aashiqaan ko bulbul banaa diye gosh ghairat-e-gul sadaa-e-rangin sunaa sunaa kar gunaah kartaa hai barmalaa tu kisi se kartaa nahin hayaa tu khudaa ko kyaa munh dikhaaegaa tu zaraa tu ai be-hayaa hayaa kar chalaa hai mahfil se apne saaqi dikhaaun main apni ashk-baari karun bat-e-mai ko murgh-e-aabi abhi se dariyaa bahaa bahaa kar rulaae barson hansi tu jis se dikhaae gar zulf maar rakkhe kare tu dar-parda raah dil mein jo dekhe parda uThaa uThaa kar vahi asar hai junun kaa ab tak vahi hai laDkon ko ab bhi kaavish ki meri miTTi ke roz majnun bigaaDte hain banaa banaa kar ajab nahin naama-e-amal kaa dilaa ho kaaghaz agar khataa ke khataaein kiin main ne aashkaaraa kiye hain isyaan chhupaa chhupaa kar asar hai chaah-e-zaqan ki ulfat kaa baad-e-murdan bhi aah baaqi ki khelti hain hamaari miTTi ke Dol laDke banaa banaa kar kiyaa hai poshida ishq ham ne kisi se dar-parda hai mohabbat paDe hue bistar-e-alam par jo rote hain munh chhupaa chhupaa kar jo khauf tufaan-e-ashk se ab nahin hai jaataa na jaae qaasid ravaan karun su-e-yaar-e-jaani khaton ki naavein banaa banaa kar tiraa saa qad ban sakaa na hargiz tiri si surat na bin saki phir agar-che saane ne laakhon naqshe bigaaD Daale banaa banaa kar udhar mizha ne lagaai barchhi idhar nigaahon ne tiir maare shikast di fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne aankhein laDaa laDaa kar kaTi hai goyaa shab-e-javaani bas aan pahunchi hai subh-e-piri bahut si ki tu ne but-parasti ab ek do din khudaa khudaa kar"
"lab-e-jaan-bakhsh pe dam apnaa fanaa hotaa hai aaj iisaa se ye bimaar judaa hotaa hai zulf ko dast-e-hinaai se jo chhutaa hai vo shokh to giraftaar vahin dard-e-hinaa hotaa hai thaa giraftaar-e-shab-o-roz nigahbaani mein ham jo ab chhuTein hain sayyaad rihaa hotaa hai phir bahaar aati hai ai khaar-e-bayaabaan khush ho aaj kal phir guzar aabla-paa hotaa hai mar gae ham to sabaa laai javaab-e-naama vahi hotaa hai jo qismat mein likhaa hotaa hai"
"us ko ghaflat-pesha kah aate hain ham bhuul jaanaa yaad dilvaate hain ham zoaf se rahtaa hai ab paanv pe sar aap apni Thokarein khaate hain ham dil nahin us but ki ulfat chhoDtaa naa-samajh ko laakh samjhaate hain ham hai janaaza is liye bhaari miraa hasratein dil ki liye jaate hain ham baar-e-isyaan sar pe hai goyaa bahut kyaa uThaaein sar jhuke jaate hain ham"
"takallum jo koi kartaa hai faani hamaari aur tumhaari hai kahaani junun mein yaad hai ik bait-e-abru kahaan hai ab dimaagh-e-sher-khvaani maaal-e-aashiq o maashuq hai ek sunaa hai sham-e-sozaan ki zabaani nishaan ham be-nishaanon kaa na paayaa sabaa ne muddaton tak khaak chhaani vo aashiq huun na aae niind mujh ko sunun jab tak na yusuf ki kahaani nahin bachtaa hai bimaar-e-mohabbat sunaa hai ham ne 'goyaa' ki zabaani"
"nazaara-e-rukh-e-saaqi se mujh ko masti hai ye aaftaab parasti bhi mai-parasti hai khudaa ko bhuul gayaa mahv-e-khud-parasti hai tu aur kaam mein hai maut tujh pe hasti hai na gul hain ab na vo saaqi na mai-parasti hai chaman mein meinh ke 'evaz be-kasi barasti hai ye mulk-e-husn bhi jaanaan 'ajib basti hai ki dil si chiiz yahaan kauDiyon se sasti hai mah-e-siyaam mein go mana-e-mai-parasti hai magar huun mast ki har roz faaqa-masti hai ye be-sabaat bahaar-e-riyaaz-e-hasti hai kali jo chaTki to hasti par apni hansti hai bas ek raat kaa mehmaan charaagh-e-hasti hai sirhaane roegi ab sham' gor hansti hai dilaa ye gor-e-gharibaan bhi zor basti hai bajaae abr yahaan be-kasi barasti hai gayaa jo yaan se tah-e-khaak vo kabhi na phiraa zamin ke niche bhi dilchasp koi basti hai nahaa ke baal nichoDe to yaar kahne lagaa ghaTaa siyaah isi tarah se barasti hai bas ek haath mein do TukDe kar diyaa ham ko hamaare yaar ki ik ye bhi tez-dasti hai kiyaa hai chaak garebaan subh-e-mahshar tak ye apne josh-e-junun ki daraaz-dasti hai hamein to qatl kiyaa bas isi nazaakat ne ki vo uThaati hain tegh aur nahin ukasti hai dikhaa ke phuul se chehre ko dil liyaa khush ho jo badle gul ke mile 'andalib sasti hai ab ek tauba pe aati hai maghfirat tire haath kharid kar ki nihaayat ye jins sasti hai dikhaae jis ne ye surat hamein dam-e-aakhir usi ko dekhne ko ruuh ab tarasti hai na TuuTi shisha-e-mai meri sang-e-marqad se pas az fanaa bhi mujhe paas-e-mai-parasti hai asiir kar ke hamein khush na hoiyo sayyaad ki tu bhi yaan to giraftaar-e-daam-e-hasti hai 'ajab nahin dam-e-isaa se bhi jo gul ho jaate ki sham-e-subh hamaaraa charaagh-e-hasti hai vo maangtaa hai miri jaan ru-numaai mein yahi jo mol hai to jins-e-husn sasti hai kiyaa hai us ne to yusuf kaa chaak daaman-e-paak na puchho 'ishq ki jo kuchh daraaz-dasti hai kahun main vahi hai saaqi vahi subu vahi jaam mudaam-e-baada-e-vahdat ki mujh ko masti hai 'alam hai tegh-e-do-dam taire sar jhukaae huun main tiri gali mein bhi zaalim bulandi pasti hai jo chaahe rahmat-e-haq 'ijz kar shi'aar apnaa ravaan udhar ko hai paani jidhar ko pasti hai safed ho gai mu-e-siyaah ghaflat chhoD hui hai subh koi dam charaagh hasti hai har ik javaan kaa qad kham huaa hai piiri se maaal-e-kaar bulandi jahaan mein pasti hai vo apni jumbish-e-abru dikhaa ke kahtaa hai ye vo hai tegh ishaaron hi se jo kasti hai che khush bavad ki bar aayad bek karishma do kaar sanam baghal mein hai dil mahv-e-haq-parasti hai hai khuub pahle se 'goyaa' karun main tark-e-sukhan ki ek dam mein ye khaamosh sham-e-hasti hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"