Quote
"ek kahaani khatm hui hai ek kahaani baaqi hai main be-shak mismaar huun lekin meraa saani baaqi hai dasht-e-junun ki khaak uDaane vaalon ki himmat dekho TuuT chuke hain andar se lekin man-maani baaqi hai haath mire patvaar bane hain aur lahrein kashti meri zor havaa kaa qaaem hai dariyaa ki ravaani baaqi hai gaahe gaahe ab bhi chale jaate hain ham us kuche mein zehn buzurgi oDh chukaa dil ki naadaani baaqi hai kuchh ghazlein un zulfon par hain kuchh ghazlein un aankhon par jaane vaale dost ki ab ik yahi nishaani baaqi hai nai nai aavaazein ubhrin 'paashi' aur phir Duub gaiin shahr-e-sukhan mein lekin ik aavaaz puraani baaqi hai"
